QUOTE(tihami @ Oct 5 2006, 03:17 PM) [snapback]2187461[/snapback]
usuf bhai in sab halaat k houtaay hoaay bhi aap yah samajhtaay haain k lougoon ko wapis apnay watan aana chahyay,,,,,,,,,,so called mulk ki taraqqee main hath batanay k liya,,
aap nay yeh sawaal karkay mera mouNh band kar dia hai
lekin ab bairoonay watan western countries bhi to ab pakistaniyouN k liyeh koi jannat naheeN rahi jaisa 9/11 say pahlay thee yaa kam az kam samjhee jati thee...
apnay watan maiN apnouN k beech dukh aur pareeshani ko face karna bahar haal 'asaan' hota hai ... bah nisbat ..... pakistan maiN sakht say sakht 'zulm' iss qism ki iqtesadi rokawtaiN, nazarbandi yaa qaid o band ki saoobtaiN haiN.... jabkay bahar gawatamobay
hai ... jahaaN kissi bhi pakistani / muslim ko beghair kissi saboot k bheja jasakta hai aur 2/4 saal baad adam saboot ki bina par rehaa kia jasakta hai.....
pakistan maiN jo 'zulm' dr. qadeer k saath horaha hai woh kam to naheeN.... lekin agar yeh dr. sb bahar k kissi mulk maiN issi 'jurm' maiN amerikan k haththay chaRh jatay to kia al-qaidah / laden say nathee karkay inhaiN bhi gawanta mobay naheeN bheja jasaktaa thaa...
aap mulla zaeef (last amabassadar of taliban govt in islamabad) ki book zaroor paRhiyega ... woh gawatamobay ki qaid say "baa.izzat baree" honay k baad afghanistan pahonch gaye haiN........QUOTE(MJB @ Oct 5 2006, 03:55 PM) [snapback]2187481[/snapback]
Usuf bhai,,, is column se ziada yeah post anti-mussharf lagti hey
baharhaal kuch sawalaat hain
kya Punjab govt Islamabad main transport chalney ki ijazaat de sakti hey
Kya Uzma Gull ke itney declared assets they wo itni bari transport company bana sakey( uskey walid sb tu 1 general they,,, kya unkey khandani resources they,,,, agar unkey itney resources they tu wo fauj main khawar kion hotey rahey. Uzma Gull ke husband ke resources aur family ke barey main ham nahin jantey, agar aap jantey hoon tu zaroor barye ga)
Uzma gull bairoon mulk ke transport system se mutsir thiin,,, lakin VARAN kahin se bhi koi international system nahin laga,,, siwaye iskey ke
VARAN ke karaye apney hotey they
iska amla rudly treat kerta tha,,, jis ko sahna awam ki majboory tha,,,, kion ke Isb/Pindi ka major route inkey pass tha aur wahan pe baqi ki sari vans band ker di gai thin,,,, aap ko alternate available nahin tha,,, garz ke totally VARAN ki monopoly thi,,, aur awam majboor they
In routes pe monopoly ki wajah se buses aur stops har waqt rush se bharey rahtey they,,,, aap ka ghalban kabhi iteefaq nahin hua wahan ke hallat janney ka
Aur shaid iss coulmn main Ch. sb un halkatoon ka zikar kerna bhool gye hain,,, jo VAran taley aa ke huin,,,,,,,,,,, exact figure mujhey yaad nahin,,,, magar dunya-e-sahfaat main rahtey hue shaid aap ki nazroon se bhi yeah khberain guzarti rahi hoon gi, tawater ke sath halakatoon ke baad awaam ke ahtajaajoon aur hartaloon ke baad VARAN band hui thi,,,,,,,, Mush ke kahney pe nahin
Lakin jin logon ko mushaaraf phobia ho chuka hey,,, wo haqaiq nahin daikhtey,,, ya jantey hue bhi anjaan ban jatey hain
u r rite k mujh jaisay logouN ko mush-fobia hogaay hai ... lekin bhai sb shah say zeyadah shaah ki wafadaari bhi to koi achchi baat naheeN .... uzma gul par honay walay iss zulm k khelaaf to khud mush k tarafdaaraan bhi ehtejaaj kar rahay haiN... aap nay ghaleban hassan nisaar ko naheeN paRha
aap k sawaalaat oss waqt meaningful hotay agar hakoomat uzma /hameed gull par corruption ka case karti yaa onhaiN nab k hawalay karti...... iskay bar.aks jo raasta ekhteyaar kia hai, khaah mush nay raast kia ho .. ya oskay shaah say zeyadah shaah k wafaadaaraan nay ... yeh amal bil.aakhir mush k khelaaf hi jayegaa