tum apnay mowakkil ko bata do k agar oss nay naan nufqay ki mad maiN aik din ka kharchah bhi roka to maiN wapis aajoungi.
(*) talaq k khahishmand shakhs say moqadmay k dauraan judge nay poocha k tum kiss bunyaad par alahd.gi chaahtay ho.
shauhar nay jawab dia: jiss ki ayeen maiN yaqeen dahani karayee gayee hai my lord ... ezhaaray roy ki azaadi ki ... jo mujh say shadi k baad cheen lee gayee hai...
(*) judge: tum log talaq ki bajaye yeh maamlah adalat say bahar kiyouN naheeN nimTa letay
shauhar /biwi: hum yehi kar rahay thay my lord jab police nay aakar hamaiN aik doosray say choRaya aur giraftaar kar lia...