QUOTE(eyes2good @ Oct 22 2006, 02:01 PM)

Sir aap ny sab ko kuch na kuch deea
per mayray leeay kuch bhee nahi hai
wo asay k na tu main gubaray laynay wala bacha hoon naa main batee bhen
na bazurg main young hoon 21 ka aap ny hamaray leeay kuch nahi deea
Sir aap keune pershaan hotay hain main ny bhee nahi kee eid bahar ye mayree dosree eid
hai ju main bahar ker raha hoon koe nahi jee Allah malik hai
Allah aap ke ye Eid kushi k her rang sy bhar day Ameen

Array Diya to hay, Paisay

jayain Aish karain, aur agr bach jayain to Chotay bhaiyoon ko bhi is main say Eidee day dijiye ga
Bhui aap ki dosri hay, aadat pakki ho gayee ho gi, Lakin meri to pehli hay, Waisay Aaj Meri Eid hay aur Bohaaaat Acchi Guzri

QUOTE(barish aur gulab @ Oct 22 2006, 03:06 PM)




mujhe ye meeney wali chooyaa.n nai leni hei.n
aap mujhe laal kanch ki chooriyaa.n la k dei.n
aaj yaad se
ley ana
q k kal hamari bhi Eyd hi InshAllah
OK, Lakin aaj to Yahan Eid hay, Shops band hain, Aap ki Choriyaan Kanch Wali - Udhaar raheen

Waisay yea bhi kaanch hi ki to hain

QUOTE(shafaq @ Oct 22 2006, 11:37 PM)

eid ki mubarakbaad aapko Abdullah bhai

dili dua hai ke inshaAllah agli edi family ke saath ho Ameen.
aur gift mein chhoriyaan behtareen gift hai mere liye,almost all colors

khush rahien bahot aap bhi aur aapki family bhi.
aur itni acchee post ke liye shukriya

Bohat Shukriya, Insha Allah aisa hi hoga jaisa aap nay kaha
Bhui aap meri taraf say phool bhi rakh lain Warna mera Dil (bacha kucha ) toot jaye ga

QUOTE(Shokh @ Oct 23 2006, 10:10 AM)

Kheer Mubarkaan
Udaas kiyon hoti hain bhui Eid koi udaasi ka naam hay, yea to Khushi ka naam hay
Eidee main paisay ziada to nahi mil gayee

jo behtreen keh rahi hain
QUOTE(*Kainaat* @ Oct 23 2006, 04:11 PM)

Salaam,,,
kuch bacha hai ke nahi,, sab kuch le liya sab ne
Ye churyian hain
churyian iss terha ke.... kab se ho gayee hain
Bhui yea sab items wafir miqaar main mojood hain, aap fikr na karain
Aaj kal aisi chooriyoon ka hi fashion hay, mujhay pata nay to aap ko nahi maloom