a well maintained house keeping say moraad yeh hai k:
1) har cheez, item, equiopment etc ki aik moqar.rarah (allotted
2) yeh moqar.rarah jagah, a) mauzoo /suitable bhi honi chhaiyeh aur b) mahfooz / safe bhi.
3) aur sab say aham baat yeh k har cheez har waqt apnay apnay moqarrarah jagah par rakhi honi chahiyeh.
ab aap apnay kitchen ko iss nazar say dekhaiN k wahaaN maujood 'har shaii' ki koi moqar.rarah jagah hai bhi yaa naheeN ... agar naheeN hai to moqarrar karaiN ... agar hai to to har cheez apni apni jagah par payee jati hai ... aur kia woh moqar.rarah jagah suitable, khush.nomaa aur mahfooz bhi hai yaa naheeN... agar naheeN to aisa karnay ki koshish karaiN.
sirf 'zaroorat' k moqay paR cheezouN ko oski jagah say haTa.aiN.... aur zaroorat 'poori' hotay hi fauran ossay saaf karkay apni jagah par rakh daiN..... aik saath bahoot see cheezouN ko oski apni jagah say nah haTayaiN......... aap kopshish karkay dekhaiN.... practice kar kay dekhaiN iss tarah aap ka kitchen works zeyadah asaani say honay lagay gaa aur bikhree howee cheezaiN dekh kar pareeshani, kitchen say allergy bhi naheeN hogi.
'house keeping' per koi sawaal /comments / discussion

