zia ul haq k daur say naafezul amal "hadood ordinance" par musharraf ki parliment ka tarmeemi bill parliment say manzoor hogaya hai. iss par kuch log /halqay khush hain aur kuch naraaz ... aik aam shahri nah to qaanooni maahir hota hai aur nah hadood Allah ki bareekiyouN par mabni fiqhee masail say ossay aagaahi hoti hai. lehaza tarmeemi bill achcha hai, tarmimi bill kharaab hai k shor maiN ossay samajh nahee aati k asal haqeeqat kia hai.
aisay tamaam log sirf yeh dekhaiN k kaun log mush k iss action ki hamayat kar rahay haiN aur kaun mokhalfat.... bus aap sirf hami o mokhalfeen ki 2 alag alag list bana laiN.... sab kuch saaf aur wazah hojayega. hadood Allah aik quranic hukm hai. agar mush ka tarmimi bill as par quran o sunnat hai to zara dekhiyeh to sahi k iss "quranic qanoon saazi" ki hamayat kaun kaun kar raha hai.
HAMAYAT karnay walay:
1. usa n usa media
2. tony blair aur eoropian media
3. PPP n benazir
4. MQM n Altaf hussain
5. Musharraf n co
6. GEO n Jang Group (400 million us $ ka package lay kar)
7. DAWN group
8. show biz say wabistah afraad
9. pakistan k upper class ki woh khawateen jo islam say door haiN
10. pakistani aqliyati firqouN /mazahab say wabistah scholars /writers
11. mush govt k mafadaat hasil karnay walay
12. secular minded NGOs
13. NAB zadah wuzraa
14. asmat faroshi /fahashi ki tijarat say wabistah afraad
15. aqliati groups ki nomaindagi karnay walay chand ulemaa o mashaikh
MUKHALFAT KARNAY WALAY"
1. MMA, JI, JUP, JUI aur deger deeni jamataaiN
2. PML-N,
3. iss issue par hakoomat-MMA ki moshtarkah taur par qaim ulema committee
4. muneebur rahman, chairman hilaal comitte
5. pakistan bhar k deeni madarus /darul aloom say wabistah asaatzah / students
6. pakistani k awaam ki nomaindagi karnay walay ulemaa ki bhari aksariyat
7. pakistan ka print media aur print media k non-aqliati / non secular writers n scholars ki bhari aksariyat
aap last week k akhbaaraat ko saamnay rakh kar above list main ezafah kartay jayaiN. aur agar meri list maiN koi mistake ho to ossay bhi correct kartay jayaiN... apnay haath say fahrist khud banayaiN aur dekh lai|N k (mobayyanah) haqooqay niswaaN bill ko as pe quran o sonnat qaraar denay walay, aur iski manzoori par khush honay walay log kaun haiN .... aur iski mokhalfat karnay walay, issay khelaafay quraan kahnay walay kaun log haiN.......
now it's up to you k aap kinn logouN ki saf maiN shamil hona pasandf kartay haiN..... yeh wazah rahay k quran o sunnat par mabni kissi issue par agar 2 group ban jayaiN to aap jiss group maiN shamil houngay, tawaqqah hai k rozay hashar bhi aap onhi logouN k saath oThaye jayengay. aur kia khabar k Allah aap ka anjaam bhioi onhi logouN k saath kar day.

