kiss moqay pay kaun saa dress hona chhahiyeh, yeh baat khawateen say behtar kaun jaan sakta hai. hasiyat ho to woh har moqay k liyeh alag alag dress banwati haiN.... aajkal mard bhi khawateen say iss maamlay maiN peechay naheeN... woh bhi moqa mahal k motabiq alag alag dresses ki raah pay chal paRay haiN.... lekin jiss 'dress' maiN yahaaN zikar karnay chala houN, woh maiN nay pahli martabah soni hai.
west ki aik non-muslim khatoon mosalmaan howeeN to onhouN nay sharayee pardah hijaab, niqaab karna shoooroo kardia aur saum o salat ki paband hogayeeN. aik interview maiN onhouN nay batlaya k woh kufria ahad maiN aik khush lebaas khatoon theeN. islam laanay k baad onhouN nay makhloot taqareeb maiN to jana choR dia aur out door activities bhi kam say kam karkay indoor activities maiN dil laag lia. lekin khush lebasi ka zauq maand nah paRa.... chunanchah onhouN nay Allah k hazoor haazri denay ki khatir bahoot say aalaa aqsaam o design k sharayee lebaas mahaz namaaz paRhnay ki khatir silwaye. aur woh har namaaz aik behtareen lebaas maiN intehayee khashoo o khazoo k saath ada karti haiN.
aap nay kabhi sona k hum maiN say kissi nay kabhi mahaz namaaz k liyeh lebaas banwaya ho... zeyadah say zeyadah woh males jo shalwaar qameez naheeN pahantay eidain k liyeh aik aadh shalwaar qameez yeh kah kar banwatay haiN k yeh eid ki namaz ka joRa hai.... hum namaaz k liyeh waisay bhi ordinary lebaas choose kartay haiN... gharouN maiN kaam kaaj maiN masroof khawateen to khas taur par aam lebaas hi maiN namaaz ada karnay maiN easy feel karti haiN albatta agar onhaiN zara bahar jana ho yaa bahar say kissi nay ghar aanaa ho to woh fauran khoob say khoob tar lebaas choose karti haiN... kabhi hum nay socha k Allah k hazoor haazri denay ki khatir bhi omdah aur khasoosi lebaas zebay tan karaiN....agar nahee socha to zara sochiyeh....


