QUOTE(Abu Adnan @ Dec 2 2006, 02:39 PM)

Walekum Assalam !
maiN to kahta houN jiss ghar maiN choTay choTay upto school going bachchay houN, oss ghar maiN cable /dish ki sahoolat honi hi nahee chahiyeh.... issi tarah net ki sahoolat tak kidz ki access uncontrolled nah ho... yehi haal mobile ka bhi hai... sirf onhi bachchouN ko dee jaye jissay iski waqe'ee zaroorat ho .... aur issay bhi aksar o beshtar mssg check kartay rahna chahiyeh...
mera talluq media say honay k bawajood meray ghar maiN cable naheeN hai... ummay adnan bhi starting hi say iskay haq maiN naheeN thee... ab ptv bandah ketna dekhega.... issi tarah net ki sahoolat go awwal roz say hai ... magar kidfz issay freely use nahee karsaktay.... aur akelay maiN to hargiz naheeN.... issi tarah aik martabah matric mai zeray taleem beTay ki mobile k messages check kar raha tha to kuch jokes ghair meyari niklay.... saza k taur par aik maah k liyeh cell phone zabt karlia.
kahnay ka maqsad yeh hai k parents apni see har mumkin koshish karaiN to phir bachchay aisee raahouN maiN janay say bach saktay haiN, jinka ooper zikar hai. Allah hum sab ko iss janib tawajjah ki taufeeq day. aamen.
Apki post bohat achi hay

Itni achi kay jawab diye bagair na bani.
Jahan tak is tehreer ka taluk hay to yakeenan media ko mukamal jamhooriyat hasil hay aur honi bhi chahiye. Umeed hay aap meri baat samajh rahay hain.
Jahan tak apkay is reply ka taluk hay to pleasze zara meray nazriyat jaan kar rehnumai farmain
Goh meri koi ulaad nahi par meri aik choti behan hay jo mujh say 12 saal choti aur meri taraf say meri ulaad ka hi darja rakhti hay. Kio kay ma khud bhi apnay maa baap ki ulaad hoon so apnay nazriyat paish karnay ki jisarat kar rahi hoon.
Aap nay kaha kay aap nay ghar may cable nahi lagai. Meray khiyal say jaab bachay 10 saal kay ho jatay hain osi umar say unko thora bohat exposure dena chahiye. Kio kay is umar kay bachoon may tajasus ah jata hay aur asal may ye
tajasus hi hay jo gum'rahi ka bais banta hay. Ma apnay walid sahib kay sath baith kar CNN, BCC, Animal planet aur discovery channels bohat shook say daikhti thi. Aap yakin kijie mujhay bachpan say hi cartoons nahi pasand thay aur ye jo soap's tv par chalatay hain ye bohat boring lagtay thay. Haan ganay sunay ka mujhay bohat shook tha so Walid sahib nay Ghalib ki video la di. Nusrat ko bhi may nay bohat shook say suna. Kahnay ka maksaad ye hay kay Baba nay kabi tv daikhnay ya ganay sunay say mana nahi kia. Mujhay nahi pata kesay lakin baba nay media ko meray liye knowledge may badal dia. Os umar may mujhay to samajh nahi atti thi par agar kabi kisi dost ka ghar phone ah jata tha to meray waladain aas pass hi hotay thay aur jab ma phone rakhti thi to piyar say poochtay thay balkay shook say suntay thay kay kia baat hoi. Mujhay mahsoos bhi nahi hota tha kay meri CID ho rahi hay. Mera koi bhi dost bana meray ghar waloon nay unkay waldaain ko janay ki koshish ki.
Kabi kabi ma soochti hoon kay mujhay over-exposure mila kia hay jo mujhay nahi pata ya konsa gaandh ankhoon nay nahi daikha, ma koi 'saint' nahi par waldaain ki tarbiyat esi thi kay yakeen say kah saktin hoon kay bohatoon say behtar hoon.
Aab meri behan jawan ho rahi hay. Mera meri behan say bohat dostana rishta hay. Wo kabi bhi mujh say zamanay ki unch neech poochti hay to mera kaam hay osay samjhana. Jawani may insaan siraf jazbaat say soochta hay aur achay buray ka farak nahi janta. Ma nay kabi osko saza nahi di hamesha samjhaya hay. Peechlay dino os nay aik chat site dhoondi aur foran mujhay bataya kay os nay kitnay achay dost banaye hain wahan. Dil to karta tha computer utha kar bahir phaink doon. Par may nay osko kaha 'bohat achi baat hay kion kay achay dost aik naimat hain' phir ma nay batoon batoon may net ki do char achi bataain batain kay ham net ko kis tarhan positive way may use kartay hain aur chats par kia kia hota hay. Ma nay osay directly na to mana kia na hi roka balkay net kay baray may ahgahi di aur faisalah oskay hath may chora. Meri nazar may ye bohat ahem hay kay insaan khud faislah lay. Aur wo meray itemaad par pora utri.
Aaj kal kay bachoon ko aap 'manipulate' nahi kar saktay. Kahan kahan say bachain gay? Zaroorat is baat ki hay kay unhain 'nafs ki jihad' ka hunar bakshain. Burai ko chupanay say ya saza denay say baat nahi banti, burai say larna sikhain. Isi tarhan ye jo larki ka zikar is article may howa hay jo kay 8 mah hamilah hay aur waldain nay os par apnay ghar kay darwazay baand kar dijie hain. Ye aik gair insaani aur jahilana harkat hay. Burai say munh mor kar unho nay burai ko faroog dia hay. Jis tahan say aaj wo larki darbadar hay kal no umar hay kal ko apnay bachay ka pait bharnay kay liye bazar'e husan ki zeenat banay gi. Ghalati kis say nahi hoti, dil aur hoslay bulaand rakhnay chahiye !
Apkay wakt ka shukriya
-Shokh