QUOTE(Abu Adnan @ Dec 6 2006, 06:51 AM)

aap hassan k 100 column paRh laiN... shayad hi 2/4 column maqool aur to the topic ho baqi sab bay par ki bakwaas... aur idhar odhar ki laayaani baatouN par mushtamil hota hai. zeray nazar column aur iskay dalail bhi kuch aisay hi haiN. jin ka nah koi sar hai nah paouN.

Phir kya wajah hey ke pahley yeah jang ke liye likhtey rahey,,,, aur jab Jang se kuch coloumn nigaar (jin main apkey pasandeedah hazraat bhi shamil hain),,, yeah bhi chaley aye,,,,,,,,,, kya yeah donon akhbaraat Pakistan ke farigh tareen akhbaroon main se hain,,,, jin ko apney safhaat bharney ke liye aisey bay par ki bakwas ka sahara laina parta hey
waisey jahan tak mujhey yaaad parta hey ke ghalban 90 ki dihai main JI waloon ka pasandeeda coloumn nigar hua kertey they,,,,, jo unki soch aur nuqta-e-nazar ke ain-mutabiq tahareeer likha kertey they,,,,, aj kal ka mujhey nahin pata