QUOTE
chalien app ki bat maan lee...ab iss ka hel kia hai..hath pe hath dherey mutazir ferda rehein ya kuch amal kerein...Heq pe chelna aor sath dena asaan nahi..but ager abedi izat chahyaa to sirf yehi rasta hai nijat ka..
bakee abaadi say kuch nahi hota...munkir her dor mein zyada aor salheeen kam rehey hain...ab yeh hum pe hai k kiss group mein apna naam shamil kertey hain..
Allah nay apna kaam kerwana hi hota hai...aor koi ussay nahi rok sekta ..ager arab kamzor hoyaa...Baghdaad ki saltinant khatem hoee to mangol hi islam ki takat ka sabab beney aor saltinat Usmania uthee...
khair ab app betyaaein hum matam kerein ya galti sahi kerein..aor kasay..???
yeh howi na baat!
bhai jan matam kernay walooN ka tu maiN buhat baRa mukhalif hooN aur agr app nay kabhi meri posts paRi hooN tu maiN "muntazir-e-farda" ka bhi buhat baRa mukhalif hooN...
ab baat aati hay kay ham karaiN kiya
bhai jan App (SAAW) key Makki zindagee say zyada tough time yeh hargiz nahi hay...
hamay App (SAAW) key startegy hi apna'ni hay... iss waqt ham kuffar kay muqabalay maiN buhat kamzoor haiN.. infact agr woh chahaiN tu ham per bijli kay kisi eak purzay ka ban laga daiN aur ham log andherooN maiN Dob jayaiN...
iss waqt hamay ussi nasab key tarf loTna hay jis say Al-baironi aur Bu Ali Sina paida hooN... ham iss waqt maghloob haiN 300 sala ghulami nay azadi aur khudari ka lafz bima ehsaas hamari dictionary say kharij ker diya hay...
hamay iss waqt sirf aalaa taleem key zaroorat hay... iss maiN app aur ham contribute ker saktay haiN...
awal tu yeh hona chahiyee kay ju ista'aat rakhtay haiN woh jadeed aloom ko West say Pakistan maiN transfer karaiN. jisay technical terms maiN Knowledge transfer kehtay haiN.
dom ju ista'at rakhtay haiN woh apnay khandan, paas paRoss aur aqarib maiN un bachooN key kafalaat ka zima uThayaiN ju ba'wajooh taleem hasil nahi ker saktay.
soom, atleast soceity maiN awarness paida kernay key koshish karaiN.. logooN maiN iss key ahmiyat bayaan karaiN aur iss kay fuqdaan kay nuqsaanaaat bayan karaiN... aur un awamil ka bhi zikr karaiN jinhooN nay hamay iss muqaam per la'khaRa kiya hay..
agr her sahib ista'at above per amal karay ( ju kay unrealistic bhi nahi hay) tu anay walay kuch salooN kay baad hamaray yahaaN taleemi inqaylaab aa jaye ga aur yeh hamaray sha'oor key tarbiyat ( as a nation) kernay maiN madad'gaar hoga...
(Above article maiN un maiN say sirf eak ka zikr hay)