Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Signature Guideline - Chand Sawalat
HulChul.NET > UrduPoint / HulChul > Mashwaray, Tajaweez, Shikayat
faisal_rwp
Guideline walee post k hawaly say chand guzarishaat aap moderator hazraat kee khidmat main arz hain .. umed hay k gawab milay gaa naa kay .. esay move/delete kar diaa jaye !!

(From Post)Hulchul ki zeenat.o.aaraaish, raftaar aur mazeed chand batoon ko mad e nazar rakhtay hoye yea faisla kiya gaya hay kay hamaray signatures makhsoos gudielines kay mutabiq hoon.
As hulchul is a public form to bahter hay k faisaley jin kaa direct tayaluq user k sath ho, un ko pahley kisee policy discussion forum main users k sath discuss kar liaa jaye and then jis raye par ziada user mutafiq hoon woh ikhtiaar kee jaye.


(From Post) Agr aap kay is silslay main koi sawalat hain jaisa kay koi cheez board rules ke tehat qabil e qabool hay ya nahi? Please kisi bhi Moderating Team Member ko PM kar kay pooch lijiay.
Yahan phir main yahee kahoon gaa k personal message kyun ???
discuss it openly takey sarey users shareeek e behas hon.

Es k ilawa agar raftaaar (jaisaa k pahlee line main kaha gaya) ko mad e nazar rakhnaa hay to aap log google adds kee tadaad kam kar dain to yeh bahter ho gaa naa kay users ko force karney par k woh apney style main change laain.

Khalish
[quote name='faisal_rwp' date='Dec 20 2006, 05:07 PM' post='2211498']
Guideline walee post k hawaly say chand guzarishaat aap moderator hazraat kee khidmat main arz hain .. umed hay k gawab milay gaa naa kay .. esay move/delete kar diaa jaye !!

[b]Aap ki post ko sahi section meiN move kar diya gaya hai. Aur maiN aap ke pooche sawalooN ka jawaab deyne ki koshish karooNga.



(From Post)Hulchul ki zeenat.o.aaraaish, raftaar aur mazeed chand batoon ko mad e nazar rakhtay hoye yea faisla kiya gaya hay kay hamaray signatures makhsoos gudielines kay mutabiq hoon.

As hulchul is a public form to bahter hay k faisaley jin kaa direct tayaluq user k sath ho, un ko pahley kisee policy discussion forum main users k sath discuss kar liaa jaye and then jis raye par ziada user mutafiq hoon woh ikhtiaar kee jaye.

Public Forum se aap ki kya muraad hai, maiN shayed samajh nahi saka keh aap kya kehna chahte haiN. Public Park, Public Beach waghra tu suna hai .. lekin yeh nahi suna keh wahaan ka intizaam bhi public khud he karti hai? Albatta wahaan shikayaat box zaroor rakha jaata hai keh kisi intizaam ko mazeed improve karne ke liye unka mashvaraa aur shikayaat qabool ki jaati haiN aur unnper hasb.e.maqdoor amal bhi kiya jaata hai. Jo qadam hum ne board ki behtari ke liye uthaaya hai ussmeiN buhot se members ki aaraa ko mad.e.nazar rakha gaya hai.

[/b] (From Post) Agr aap kay is silslay main koi sawalat hain jaisa kay koi cheez board rules ke tehat qabil e qabool hay ya nahi? Please kisi bhi Moderating Team Member ko PM kar kay pooch lijiay.
Yahan phir main yahee kahoon gaa k personal message kyun ???
discuss it openly takey sarey users shareeek e behas hon.

Es k ilawa agar raftaaar (jaisaa k pahlee line main kaha gaya) ko mad e nazar rakhnaa hay to aap log google adds kee tadaad kam kar dain to yeh bahter ho gaa naa kay users ko force karney par k woh apney style main change laain.



Meraa khayyal hai keh free public service ke liye bhi kisi na kisi ko kaheiN na kaheiN kuch na kuch tu kharch karna he parta hai. Public parks aur beaches per bhi sign boards nazar aate he haiN. Waise bhi HC ki saari zimme.daari Urdupoint ke paas hai aur urdupoint he un akhrajaat ko bardaasht karta hai jo HC facility provide karne meiN uthtay haiN.
Abdullah

Guideline walee post k hawaly say chand guzarishaat aap moderator hazraat kee khidmat main arz hain .. umed hay k gawab milay gaa naa kay .. esay move/delete kar diaa jaye !!


Hulchul Signature Guidelines wali post isi liye open section main lagaye gaye hay kay aap us par apnay comments day sakain. Is liye aap kay in mashwaroon ko move / delete karnay ka sawaal hi nahi paida hota, Bay fikr rahain


As hulchul is a public form to bahter hay k faisaley jin kaa direct tayaluq user k sath ho, un ko pahley kisee policy discussion forum main users k sath discuss kar liaa jaye and then jis raye par ziada user mutafiq hoon woh ikhtiaar kee jaye.

Sab say pehlay yea deekh lain kay in ko Guidelines kaha gaya hay Rules nahi. aur in ki waja bhi saaf bata di hay , jis say sab ka kaam bhi ho jaye aur Asaani bhi ho. baqi detail to Khalish bhai bata hi chukay hain



Yahan phir main yahee kahoon gaa k personal message kyun ???
discuss it openly takey sarey users shareeek e behas hon.



Es k ilawa agar raftaaar (jaisaa k pahlee line main kaha gaya) ko mad e nazar rakhnaa hay to aap log google adds kee tadaad kam kar dain to yeh bahter ho gaa naa kay users ko force karney par k woh apney style main change laain.


PM sirf yea pochnay kay liye kay aaya koi cheez board rules ke tehat qabil e qabool hay ya nahi? Waisay to sab kuch Signature Guidelines wali post main clear hay hi lakin phir bhi koi shak ho to.Is kay ilawa wo post bhi open hay, wahan bhi pooch saktay hain. Adds kay mutaliq Khalish bhai bata chukay hain.


Hamain to khushi hogi kay aap loog apni marzi kay style rakhain, lakin sab chezoon ko saath lay kar chalna hay, is liye kuch panay kay liye Kuch khona bhi parta hay
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2008 Invision Power Services, Inc.