QUOTE(Khalish @ Dec 27 2006, 02:52 PM) [snapback]2214321[/snapback]
Puraane mahaveray meiN se fil.haal murgha nikaal kar 'bakra' khara kar diya gaya hai.
BTW yeh kaam ISI aur hukoomat ka he hai keh molviyouN ko iss tarah larwa kar unki 'mitti paleed' kar di jaaey .. taake voters ke saamne vote deyne se pehle yeh tasveer khoob acchi tarah paish ki jaa sake.
App nay bilkul sahi kaha Khalish bhai,
per kiya yeh molvi itnay hi andhay haiN kay hamay aur app ko ju baat saaf nazr aa rahi hay unhaiN samajh nahi aa rahi...
kiya jata Serhad hakomat ka agr woh Markazi Ro'yeet-e-halal Committee kay faislay ko tasleem ker laytee... iss taraah daiRh key masjid khaRi kernay ka koy jawaz bher;haal kisi bhi aalim/mufit ya molvi pass hergiz nahi hoga...
on 2nd thought, agr yeh molivi apnay jaisay ISI key syasat aur tadbeerooN key kaT nahi ker paa rahay tu Yahoodi aur Essa'iyooN key syasat tu iss say kaheeN zyada gandi aur khaternaak hay...
kaha jata hay kay na'ahl afraad hi sazishooN ka shikar hotay haiN kyoN kay un key hi kisi na kisi maslayhat ya kamzoori kay sabab sazish kernay wala kamyaab hota hay...