Naey Saal Kay QadmooN Ki AahaT Qareeb Tar Hoti Ja Rahi Hai... Dil KhushiyoN Aur UmangooN Say Bharay HaiN...Aik Umeed Liay Kay Jaisay Aanay Waalay Saal MeiN Achanak Hi Zindagi MeiN Bahot Saaray Khush-Numa Rang Shaamil Ho JaayeN Gay Jo Beetay Saal MeiN Nahi Thay.GhaRi Ki SuiyooN Kay Ghoomnay Kay Saath Hi Zindagi Bhi Apna Pairhan Tabdeel Kar Lay Gi...Har Tarf Bahaar Ka Raaj Ho Gaa.... PhooL Apni Khushboo BakhaireN Gay.
To Aaiay Dosto....Beetay Saal Ki Takleef-Deh BaateN Bhulaatay Huway Aanay Waalay Saal Ka Naey Jazbay, Nayi Umeed, Aur Nayi RoshniyoN Kay Saath Istaqbaal KareN Magar Jaanay Say Pehlay Zara Humaray Kuch SawaaloN Ka Jawaab Dena Mat Bhooliay Ga.