Abu Adnan
Dec 30 2006, 09:55 AM
~Saraj~
Jan 1 2007, 01:27 PM
Waiting 4 new episode................
AikBacha
Jan 2 2007, 01:01 PM
Good one... waiting for the next part...
Abu Adnan
Jan 5 2007, 12:17 PM
QUOTE(AikBacha @ Jan 2 2007, 01:01 PM) [snapback]2216407[/snapback]
Good one... waiting for the next part...
yeh laiN .....
ZeeShan Ansari
Jan 6 2007, 02:51 AM
yeh tau haqeeqat hay JI pakistan ki mukhalif thi,yeh baat record per hay sirsyed ki sub sey ziydha mulviyoon nay hi mukhalfat ki thi,kyoon key sirsyed nay english ki taleem aur jaddeed aloom sikhnay ko kha tha,mulviyoon ney english ko hraam kha jadeed aloom sikhnay ki tau door ki baat hay(yeh baat record per hay),aur JI jab tau nahi thi mager ,Sirsyed key baray main achay alfaaz nahi rakhti hay,iss ka mujhay baar baar school main experience hoa hay.yeh bhi record main hay JI nay Pakistan ki Himayiat main vote cast nahi kiya tha.
nazir naji ka tau mujhay maloom nahi ,mager JI ka maloom hay
* phelay America ki himayiti thi,America ko Ahel`Kitaab khey tay thay,Abb sub americans Kafir say tau kum tau hay hi nahi(record per hay),Abb rusia acha lagnay laga hay
* JI ,Army Government ko bherpoor suport ker chucki hay aur ministry key mazey bhi lootay hay (record per hay)
phelay apnay ya JI key ghreybaan main jhaank layian (Farooqi sahib)
Abu Adnan
Jan 6 2007, 08:51 AM
QUOTE(ZeeShan Ansari @ Jan 6 2007, 02:51 AM) [snapback]2218110[/snapback]

1. yeh baat to apni jagah durust hai k pakistan movement maiN JI ka koi hissa naheeN.
2. yeh baat bhi durust hai k JI nay (aur JUI nay bhi, jo ab JUI aur JUP k naam say maujood hai) qayaamay pakistan ki "haami" nahee thee. magar yeh dounouN group muslim league ya pakistan movement ki waisay "mokhalif bi nah thay jaisay k congress walay thay...... JI / JUI pakistan movement say alag thalag rahtay howay apnay apnay program k motabiq kaam kartay rahay ... waisay bhi 1947 say qabal united india maiN inki koi baRi hasiyat nah thee.
3. pakistan bannay k baad JI /JUI k jiss group nay pakistan ko QABOOL kia woh pakistan chalay aaye ... JI k to baani bhi pakistan ko opt karkay pakistan chalay aaye aur oss waqt tahreekay pakistan ki qayadat maiN say kissi nay bhi inn logouN ko pakistan aanay say iss bina par naheeN roka k yeh "anti pakistan" log haiN...
4. pakistan bannay k baad JI pakistan aur JUI pakistan (inkay aik aik idian wing bhi thay jo ab bhi india maiN active haiN) nay dil say pakistan ko accept kia aur pro pakistan hi rahay...
5. hatta k jab 1971 maiN east pakistan ki separation ki tahreek chali to JI woh wahid party thee jiskay urdu /bengali bolnay walay workers pak army k saath milkar indian army / alahdagi psandouN say laRtay rahay.... kia yeh JI ki pro-pakistan ka saboot naheeN...
6. Theek yehi sooratay haal aaj bengladesh maiN JI ki hai. wahaaN bhi log JI ko BD ki mokhalif jamaat kahtay haiN... aaj JI, BD ki teesri baRi seyasi quwwat hai. BD bannay say qabal to inhi JI walouN (including bengali speaking) nay BD bannay ki mokhalfat ki ... lekin BD bannay k baad inlogouN nay (bengali JI walouN nay) issay QABOOL kia aur aaj JI BD ki mohibbay watan party hai...
7. aaj k pakistan maiN bhi balocistan ho yaa pakhtoonistan yaa sindhu desh ho yaa jiye mohajir walouN ka jinnah poor (separate karachi estate) .... inn sab jaghouN par JI actively maujood hai aur pak army k saath milkar pro-pakistan ka role ada kar rahi hai ... agar khoda nah khaastah inn maiN say koi hissa bhi pakistan say alag hogaya to alag honay walay hissay ki JI ko phir yehi taanaa milega jo JI pakistan, JI BD ko mil raha hai .... JI ka safar to aik nazaryati safar hai jo kissi WATAN k gird naheeN ghoomta.... wazah rahay k mosawwaray pakistan hazrat Allam Iqbal RA bhi WATAN k ghair islami concept k khelaaf thay.
Abu Adnan
Jan 6 2007, 09:06 AM
ZeeShan Ansari
Jan 7 2007, 12:27 AM
app phir two points ko bhool gayiea
* phelay America ki himayiti thi,America ko Ahel`Kitaab khey tay thay,Abb sub americans Kafir say tau kum tau hay hi nahi(record per hay),Abb rusia acha lagnay laga hay
* JI ,Army Government ko bherpoor suport ker chucki hay aur ministry key mazey bhi lootay hay (record per hay)
farooqi sahab ,nazir naji ko girgit khay rahey hain,above points key mutabiq tau JI bhi girgit say kum nahi hay
iss ka bhi jawaab dayain......................................thanks
Abu Adnan
Jan 7 2007, 09:21 AM
QUOTE(ZeeShan Ansari @ Jan 7 2007, 12:27 AM) [snapback]2218566[/snapback]
app phir two points ko bhool gayiea
* phelay America ki himayiti thi,America ko Ahel`Kitaab khey tay thay,Abb sub americans Kafir say tau kum tau hay hi nahi(record per hay),Abb rusia acha lagnay laga hay
* JI ,Army Government ko bherpoor suport ker chucki hay aur ministry key mazey bhi lootay hay (record per hay)
farooqi sahab ,nazir naji ko girgit khay rahey hain,above points key mutabiq tau JI bhi girgit say kum nahi hay
iss ka bhi jawaab dayain......................................thanks
aap abhi tak 'murGhay ki wohi aik Taang' ... yani sab record par hai par aTkay howay haiN
bhai meray JI walouN ka nah pahlay amerika mahboob tha nah ab russia mahboob hai ... tareekh ko sahi tanazur maiN dekhnay ki koshish karaiN....
1. us & ussr dounouN aik doosray k dushman thay.
2. pak amerikan lobby maiN aur india & afghanistan russian lobby maiN tha.
3. ussr ki army afghanistan maiN enter howee to afghani mujahedeen nay 3 saal tak tanhaa russian army say chaapaah maar jang ki.
4. russia pak ko capture karta howa garam pani tak jana chaahta tha.
5. paak govt (bhutto n zia both) dounouN ussr ki iss khahish k khelaaf thay k iss tarah pakistan tabaah o barbaad hojata. chunanchah ussr k khelaaf afghan policy bhutto nay banayee... afghan mohajereen ko pakistan maiN panaah denay aur onki support ka aghaaz bhutto nay kia.
6. zia nay issi policy ko barqarar rakha aur aur pak army ki support bhi afghan mujahedeen ko dee .... zia /army k barsaray iqtedaar aanay say hakoomatay pakistan nay arab country say maali help /support maangi jo onhouN nay dee.
7. zia /army nay pakistani awaam /political parties say bhi support maangee.... ppp nay to support naheeN kia k zia nay oski hakoomat ka takhtah ulta tha ... muslim league, aur JI nay full support ki... hakoomat ki bhi (zia kabina maiN gaye) aur army ki bhi k pak army ko civil razaakaar /pakistani mujahedeen diyeh jo front line par afghanistan maiN laray ... jaisaa woh east pakistan maiN kar chukay thay.
8. afghna mujahedeen, arab maali /mujahedeen ki support / pak army ki support / pak hakoomat ki support / JI ki support ... in sab nay milkar ussr army ko afghanistan hi maiN uljha dia aur woh pak ki taraf pesh qadmi karnay nah paaye.
9. jab ussr afghanistan maiN ulajh kar rah gaya to usa ko apna wetnaam ka zakham yaad aagay aur oss nay afghan mahaaz par ussr ko maza chakhanay ka faislah kia..... dushman ka dushman dost hota hai .... pakistan ko rond kar garam pani tak pahonvhnay k liyeh ussr ki surkh army pakistan ki sarhadouN tak aan pahonchi thee aur pak army tanhaa ussr army ka moqaablah nah karsakti thee ... lehaza pak army nay usa ki imdaad qabool karnay ka faislah kia jissay afghan mujahedeen nay bhi qabool kia.... youN 3/4 baras baad amerikan asleha /support say pak army, aur mujahedeen nay ussr army ko wapis janay balkay ussr k Tukray Tukray kardiyeh.... iss game maiN JI bhi shamil rahi.......... yeh target poora hotay hi,
10. now u can see k JI nay akelay naheeN balkay afghan mujahedeen, pak hakoomat aur pak army k saath usa ki support ko gawara kia... jab ussr apnay anjaam ko pahoncha to oss nay apna mahaaz usa k khelaaf khol dia takay afghanistan /pak par usa k manhoos saayaa nah paRay magar benazeer, nawaz aur phi mush hakoomat nay usa ki etni support ki k aaj ka manzar sab k saamnay hai ... ab JI ko ussr ki mokhalfat ki zaroorat naheeN k ab woh lanGra loolha hochuka hai ... ab usa k mouNh maiN lagaam denay ki zaroorat hai ... chunaancah ab JI ka saaraa zor usa aur oskay agents k khelaaf hai ... aagay Allah ki marzi.... chaahay usa /oskay agent kaamyaab houN yaa JI aur oskay ittehadi
ZeeShan Ansari
Jan 8 2007, 01:11 AM
mujhay eik baat samjh main nahi aayie,farooqi sahab ka mazmoon post kernay ka kiya purpose tha!!!!!!!!!...................farooqi nay jo jo ilzaam nazeer naji ko lagayian hain,wo hi ilzaam JI per bhi hain,aur aap nay inn batoon ka inkaar bhi nahi kiya,sub taslim bhi kiya hey,bulkay detail key saath taslim kiya hay...................................................
please wajha bata dayain,taa kay hum topic per say bhi na hateyain,aur discussion bhi ho jayai
Abu Adnan
Jan 8 2007, 07:59 AM
QUOTE(ZeeShan Ansari @ Jan 8 2007, 01:11 AM) [snapback]2219016[/snapback]
mujhay eik baat samjh main nahi aayie,farooqi sahab ka mazmoon post kernay ka kiya purpose tha!!!!!!!!!...................farooqi nay jo jo ilzaam nazeer naji ko lagayian hain,wo hi ilzaam JI per bhi hain,aur aap nay inn batoon ka inkaar bhi nahi kiya,sub taslim bhi kiya hey,bulkay detail key saath taslim kiya hay...................................................
please wajha bata dayain,taa kay hum topic per say bhi na hateyain,aur discussion bhi ho jayai
"asal wajah" aap ko iss liyeh maloom naheeN k nazeer naaji nay haal hi maiN jang maiN apnay aik column maiN JI k hawalay say wohi ghesa piTa ilzaam dohraya thaa ... jiska jawaab jang hi k columns maiN azeem server (radio walay) sahab nay day dia tha.... ittefaq say woh diounouN column maiN yahaaN post naheeN karsaka.
jasarat JI ka tarjumaan akhbaar hai (ummat naheeN hai) farooqi ka mazmoon dar asal nazeer naaji k column ka jawaab hai. chounkay farooqi ki access jasarat tak hi mahdood hai aur jang walay apnay columnists k khelaaf matter publ;ish bhi nahee kartay lehaza farooqi nay jalay phaphoolay jasarat maiN phoray ... yaani nazeer naaji ko oski apni auqaat yaad delayee ossi tarah jaisay kissi bhains nay aik cow par tanz kia tha k guy ray guy teri dum kaali ...
ZeeShan Ansari
Jan 8 2007, 08:45 PM
Oh i see...............................
mager app ki apni kiya raaiye hey
farooqi sahi hey ya naji
ya phi doono hi glat
i think both are correct(naji bhi girgit hain aur "wo" bhi jiss ki farooqi ney side li hey )
kyoon!!!!!!!!
Khalish
Jan 9 2007, 03:14 AM
Siyasat meiN expert : Chaudhry Shujat HussaiN
Sahafat meiN expert : Nazeer Naji
nang.e.millat, nang.e.deiN, nang.e.watan
Iss mumlikhat.e.khuda.daad per kya guzri hai:
nairangiey siyasat.e.douraaN tu daikhiye
manzil unhaiN mili jo shareek.e.safar na the
Jeeve, jeeve, jeeve Pakistan.
*Akhtar*
Jan 9 2007, 04:22 AM
QUOTE(Khalish @ Jan 9 2007, 07:14 AM) [snapback]2219420[/snapback]
Siyasat meiN expert : Chaudhry Shujat HussaiN
Sahafat meiN expert : Nazeer Naji
nang.e.millat, nang.e.deiN, nang.e.watan
Iss mumlikhat.e.khuda.daad per kya guzri hai:
nairangiey siyasat.e.douraaN tu daikhiye
manzil unhaiN mili jo shareek.e.safar na the
Jeeve, jeeve, jeeve Pakistan.
Jeeve , Jeeve, Jeeve Pakistan
Mera Pakistan MaHaan
Pakistan , Aaj kay Daur Ka Taiz Tareen Taraqqi Karnay Wala Mulk bann chuka hai ,
Islami Iss liye nahi likha kay " ISLAM " kay baghair Taraqqi nahi Balkay TARAK raha hai aur Jamhooriya iss liye nahi likha kay Meri Paidaaesh se lay kar abhi aakhri lafz likhnay takk Dictator ( Aamar) hukmaraan hai ,iss liye
Mera Pakistan Mahaan
Pakistan ka matlab kiaa
La'Ey la ha Il'lal'lah
ka wajood nazar nahi aa raha
Shaaed ye nazam hamaray liye hee likhi gaie thi , khud ko 60 saal peechay lay jaaen ya phir 1400 saal peechay ,ye Faisla aap khud kar lain .
Kabhee aisaa huaa hai ?
Safar se thak-kar,
aik padaav peh rukkar
tum soch rahe ho
manzil tau abhee
bahot door hai.
Phir muD keh dekhtay ho
tau pataa chaltaa hai
manzil tumhaaree
door zaroor hai
magar tumhaaray
aagay nahiN
tum usay apnay
peechhay kaheeN
door bahot door
chhoR aaye ho.
Kabhee aisaa huaa hai ?
Abu Adnan
Jan 9 2007, 08:40 AM
QUOTE(Khalish @ Jan 9 2007, 03:14 AM) [snapback]2219420[/snapback]
Siyasat meiN expert : Chaudhry Shujat HussaiN
Sahafat meiN expert : Nazeer Naji
nang.e.millat, nang.e.deiN, nang.e.watan
Iss mumlikhat.e.khuda.daad per kya guzri hai:
nairangiey siyasat.e.douraaN tu daikhiye
manzil unhaiN mili jo shareek.e.safar na the
Jeeve, jeeve, jeeve Pakistan.
seyasat maiN ch shujaa'at expert ho yaa nah ho .... lekin yeh nazeer naaji kab say sahafat ka expert hogaya ... as a sahafi iskay credit maiN agar koi baat / kaarnaamaa ho to zara hamaiN bhi batlayaiN.... sahafat maiN 'head clerky' woh bila suhubah barsouN say kar rahay haiN ... iskay elawah kuch kia ho to zaroor batlayaiN....
Abu Adnan
Jan 9 2007, 08:49 AM
QUOTE(ZeeShan Ansari @ Jan 8 2007, 08:45 PM) [snapback]2219341[/snapback]
Oh i see...............................
mager app ki apni kiya raaiye hey
farooqi sahi hey ya naji
ya phi doono hi glat
i think both are correct(naji bhi girgit hain aur "wo" bhi jiss ki farooqi ney side li hey )
kyoon!!!!!!!!
meri roy
kia piddi kia piddi ka shorbah
nazeer naaji kaa farooqi say mia moqaablah .... nazeer naaji aik azaaad munush 'sahafi' hai jo chaar aanay k faaiday k liyeh koi bhi qalabazi khaa kar saahibay power ko raam kar sakta hai...
jabkay farooqi meri nazar maiN koi sahafi naheeN ... nah hi jasarat koi akhbaar hai .... ji haaN jasarat JI ka newsletter hai jiss maiN degers ki news bhi JI point of view say publish hoti haiN ... albatta jasarat kabhi kabhi aisay haqaaiq bhi publish karta hai, jissay chaapnay ka doosray akhbaar soch bhi nahee saktay...
farooqi JI k news letter jasarat ka aik desk clerk hai ... wohi kuch likhta hai, jissay likhnay ka ossay kaha jaye yaa jo matter ossay dia jaye ossay hi re-write karleta hai, n that's enuf 4 him. issi ki ossay tankhaah milti hai aur yehi honar ossay aataa hai... farooqi ka nazeer naji say kia moqaablah....
Abu Adnan
Jan 9 2007, 08:52 AM
Karachiwala
Jan 13 2007, 12:05 PM
Khalish
Jan 13 2007, 01:32 PM
QUOTE(Abu Adnan @ Jan 9 2007, 06:40 AM) [snapback]2219460[/snapback]
seyasat maiN ch shujaa'at expert ho yaa nah ho .... lekin yeh nazeer naaji kab say sahafat ka expert hogaya ... as a sahafi iskay credit maiN agar koi baat / kaarnaamaa ho to zara hamaiN bhi batlayaiN.... sahafat maiN 'head clerky' woh bila suhubah barsouN say kar rahay haiN ... iskay elawah kuch kia ho to zaroor batlayaiN.... 
MaiN in jahilooN ko expert kahaaN qaraar dey raha hooN ... maiN tu yeh kehna chahta tha keh yeh baz'm.e.khud expert haiN, tab hi tu mulk ka baira gharaq ho raha hai
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please
click here.