QUOTE(Khalish @ Jan 6 2007, 01:17 PM) [snapback]2218337[/snapback]

MaiN ne Saddam Hussain ki phansi ke voh clips daikhe haiN jo tv per nahi dikhaey jaa sakte. Uss jaggah sirf vohi kalma parh raha tha, baaqi Allah humma salle ala muhammad was aal.e.muhammad ke naaray laga rahe the. Aur phaansi ke baad yeh shoor aur bhi buhot ziyaadah ho gaya tha.Sunna maiN nay bhi yehi hay!!!
Jab Bani Israel Darya-e-Neil ya Red Sea cross ker chukay aur pani ko dobara mil janay ka hukm aya tu uss Fir'on bhi yehi kehta paya gaya kay maiN Mousa (AS) kay Khuda per imaan lay aya hooN...
Kaha jata hay kay jab Insaan ka aakhri waqt aa jata hay tu uss kay liya touba kay darwazay band ho jatay haiN...
Yeh Shakhs 30 saal tak hukumraaN raha... issay eak Islami Mumlikat key hakomat sonpi gayee, Allah ta'la nay iss kay kandhooN per aisi muslmaanoooN kay eak baRi abadi key zimdari Daali.. per iss nay kya...
Puray Iraq maiN shayad hi aisa koy ho jisay her dam apni jaan ka khatra na rehta hoo... Iraqi awam kay liya Allah aur Uss kay Rasool (SAAW) key koy ahmiyat na rahi.. haaN agr kisi nay Sadam kay khilaf kuch keh diya tu uss ka naam.o.nishan bhi nahi mila...
Aisay shakhs kay Kalimay aur NamazaiN, Rozay aur Zakat aur Hajj iss ka zati fa'el haiN ju sawal iss say hooNgay woh yehi hooNgay kay TUMHAY HAKOMAT DEE GAYEE, TUM NAY KIYA KYA???
mera nahi khayal kay Sadam kay pass iss ka koy jawab hoga....
waisay sadam ko agr phansi na bhi dee jatee tu iss say kisi ko koy farq nahi paRna tha.. piTa howa muhra kisi ko nuqsaan nahi puhancha sakta...