MMA k zeray hakopomat soobah sarhad maiN eidul fitar ki tarah eidul azhaa bhi 3 days tak manayee jarahi hai... saturday ko afghan mohajereen nay eid manayee... sunday ko sobbayee hakoomat k followers nay aur sunday ko federal hakoomat kay followers nay .........
eidaian mananaa mosalmaanouN ka aik deeni masla hai ... agar kissi mumlekat maiN islami nezaam naafiz nah ho to mosalmaanouN k groh apnay apnay aqeeday k motabiq deeni faraaiz ada kartay haiN.
masalan zakaat aik deeni fareezah hai. pakistani hakoomat bhi banks k muslim khaatay daarouN say zabardasti zakaat deduct karleti hai ... lekin ahlay tash'ee yeh declaration day kar k onkay haaN zakaat naheN... lehaza hamaray account say zakaat nah kaaTi jaye.... hakeemoat onkay mazhab ka ehteraam kartay howay onkay accounts say zakaat naheeN kaaT.ti. jabkay baqya saraay muslims say zabardastizakaat kaaTleti rahi hai ... (ab kuch exceptions bhi haiN)
pakistan mai|N bohra beradri k log fatmeed callender par amal kartay howay eidain manatay haiN jo pakistan k sarkaari eid say 1/2 roz qabal hoti hai aur yeh hamesha say hota aa raha hai.... iss saal bhi sataurday ko bohra firqay nay karachi / pakistan / poori dunya maiN eid manayee aur qurbani dee...... hakoomat ko iss par koi etraaz naheeN nah kissi ko hona chahiyeh.
kahnay ka matlab yeh hai k mazhabi fareezah log apnay apnay aqaaid k motabiq manatay haiN... iskay liyeh woh hakoomat ki dictation qabool nahee kartay... pakistan maiN MMA say qabal bhi 2 eidaiN manayee jati rahi haiN .... bhutto k daur maiN bhi 2 eidaiN manayee gayeeN ... hum rozay say thay aur hamaray azeez hum say eid milnay aaye howay thay....... nah hum apnay azeezouN say laRay nah woh hum say .... lekin ab media aur hakoomat sirf MMA par ungli oTha rahi hai k woh 2 eidaiN kiyouN mana rahi hai.... iss say pata chalta hai k etraaz karnay walay mahaz bughzay mo'aawiya /mma ka shikaar haiN .... warnah onhaiN bohra firqay par bhi etraaz karna chhaiyeh tha etc etc.