QUOTE(Abu Adnan @ Jan 8 2007, 03:27 AM) [snapback]2219071[/snapback]
welcome back shafaq sis!
janam bhoomi ka trip kaisa raha ... eid to mazay ki rahi hogi ... agar monasib samjhaiN to bharat yaatra ki tafseelat say HCians ko agaah karaiN. yaqeenan hum sab mahzooz houNgay.
kabaab cheeni to yaqeenan daar-cheeni hi hai jo miss type howa hai.... 'pepree' mera khayaal hai k black pepper (kaali mirch) hai ... english alfaaz ko urdu maiN likhnay say iss qism ki mistakes ho hi jati haiN.
wassalam
shukriya Abu Adnan bhai

yaatra 'sukh maye" ( khushgawar) thee Allah ka shukr.

itna khuloos itni apnaiyat ,saadgi,inkisaari ke tabi'at khush ho gayi ( 5 saal se zayed ho gaye guzashta trip ko) khuloos ki garmi yun zyadah mehsoos hui ke 7 saal se canada mein rehte huwe mujhe yahan aur wahan ka muwaaznah karne ka mauqa mile.yahan ki masheeni zindagi,waqt hai naheen logon ke paas,sab masroof aur bahoton ke shayed sard mulk mein jazbaat bhi sard ho gaye hain.mujhhe apne mein hi farq laga aur jana ke khatir daari pyaar o mohabbat ki selfless baarish karne mein hamaare azeez o dost bahot aage hain,canada mein rehte huwa hamein laga ham aage hain canada ke jo hain lekin waqai ham peecche hain ,to seekh ke bhi bahot kucch aaye aur usi par amal dar'aamad karne ka faisla kiya hai inshaAllah-
ham jis shaher ke hain wahan do nadiyaan ganga aur jamna aakr milti hain ( sangam) aur dono daryaaon ke paani ka rung bilkul alag ahi aur jahan in nadiyon ka milaap yaani sungam hota hai wahan ek bahot waaze line hai.boating karne gaye the wahan,baitthne mein hi boat hili aur ham dare

mallah kehta hai "ghabraane ki koi baat naheen" phir bade wishwas se kehta hai "main hoon na" bahot hansi aayee uski baat par.dauraan e guftugu maloom huwa ke is boat par baqaul mallah "aftaab bacchan" ( amitabh bachan) bhi baitth chuke hain. baherhal bahot lutf aya.ittifaq se amitabh bhi haamre shaher ka hai. jawahar lal nehru ka ghar "anand bhawan" bhi waheen hai jo ke 24 ghante bahot hi neat condition mein rehta hai,tourist spot bana diya gaya hai.
sab se badi baat "azaanein" sunaayee deen,fajr ke waqt raunaq,meelad munajaat sunne ko mila,har subah bahot acchee hoti thee.
bas ek baat accheee naheen lagee woh yeh ke agar kaheen meelad ya mehfil hai to woh log chaumukhi loudspaeker lagwa dete hain.ab koi beemar hai,students ke imtihaan hain ya raat gaye log sona chah rahe hain wahan full blast loudspeakr chal raha hai,bas yahi naheen accha laga,ek meelad ke dauraan loudspeaker ka rukh ghanton hamare hi makaan ki taraf raha,hasrat rahi ke koi Allah ka banda iska rukh mod de

anyway baqi sab bahot accha raha,log hamse mil kar khush huwe ham logon se.
yeh lijiye kaafi kucch likh diya, ab yahan likhna tha ya kahan yeh aapki zimmedaari,aapne pooccha tha isliye yaatra ka pitaara yaheen khol diya

khush rahiye
be happy and keep happy.