Kabhi aap kehtay hain k aisay ilzaam lagao jin mein haqeeqat ho, bay-saropa ilzaam na lagao aur kabhi khud hi fazlur rehman ko mullah diesel keh rahay ho :d yani ilzam se mana bhi aur khud bhi ilzam laganay mein shaamil........iss tarz e amal ko kya kehtay hain, aap achhi tarha jaantay hain meine bataya to aap mind kar jaain gay

Aap zara saboot pesh karein zardari aur fazlur rehman k khilaaf, balkeh aap to geo ya musharraf k khilaaf bhi saboot pesh nahi kar sakain gay.......
Janab har cheez k liye saboot ki zarurat nahin hoti, halaat ki gardish khud bata deti hai k kya ho raha hai, warna aaj k chor itnay nikammay nahin k saboot bhi chhortay jaain..... jesay kuch logon ko halaat ye khabar detay hain k musharraf american agenday k liye kaam kar raha hai ya fazlur rehman mullah diesel hai ussi tarha loag jamat e islami aur america ki imdaad k mutallik bhi jaantay hain..........
Taat par baithne walay meine mahawratan use kia tha aap beech mein chair ko le kar aa gaye :d :D :D
So plz dont indulge into someother topic, if u have something to say about this topic , come with ur points