Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Anokhi Qurbani Ii
HulChul.NET > Science, Arts & Culture > Human Relationships, Society & Culture
khan_amer
Abu Adnan
yeh koi new 'ijtehaad' pahlay bhi baarhaa iss qism k 'sugar coated fatway' saamnay aatay rahay haiN.... bila shubah jawaid chaudhry achcha likhtay haiN aur onki tahreeraiN dil maiN otar jati haN lekin iska yeh matlab naheeN k mottafiqah islami sha'aa'er par haath saaf kia jaye.....

sirf qurabani par hi kia mauqoof ... iss say zeyadah "paisouN ka zeya" to HUJ par hotaa hai. iss saal koi 30 lacs muslims nay huj kiyeh. per haaji agar ausatan 2 lacs bhi kharch kiyeh (jo yaqeenan kam say kam sharah hai to .... hisaab laga laiN k iss saal ketna paisa 'waste' howa ... koi 500 arab howay ... iss khateer raqam say ketnay muslims k basic masaa'il hull kiyeh jasaktay haiN....

80s ki dahayee maiN aik jagah maiN nay kaheeeN paRha tha k muslims 'fazoolyaat' maiN waqt bahoot 'zaya' kartay haiN ... jaisay din bhar maiN 5 auqaat maiN kam o besh 50 rekaat namaaz k zariyeh khoda ko yaad kartay haiN ... agar fee rekaat 2 mint bhi lagay to har muslim rozanah 100 minutes zaya karta hai. dunya bhar k muslims maiN say agar aadhay log bhi namaz regular paRhtay houN to hissab laga laiN k 75 caror x 100 minutes say hum ketnay man-hours daily 'zaya' kartay haiN ...

rozay qurbani, qurbani karnay say afzal koi aur kaam naheeN....... haaN albatta yeh baat qaabilay ghaur hai k hum maiN say aksar log jo mahaz dekhaway ki gharz say laakhouN rs k jaanwer khareedtay haiN oskakoi jawaaz to kuja, qurbani bhi naheeN hoti. agar logouN ki tawajjah ss janib delayee jaye k woh aik aust darjay k jaanwer ki qurbani say zayad hasiyat rakhtay houN to baqya raqam .... above mentioned ... qurbani funds ... k zariyeh mustahqeen maiN taqseem kardaiN... qurbani ka fareezah bhi ada hojayega aur khalqay khoda ka bhala bhi ....
khan_amer
Buhat arsay baad iss bar maiN Eid.ul.Adha per gher gaya tha... Lahore maiN yeh waba phailtee nazr aa rahee hay.. khud hamaray kuch rishtay'daar iss say mutasir nazr aatay haiN. go un say behas bhi howi kuch qayel howay bhi lakin.. yeh baat tay hay kay agay chal ker eak khatner'naak fitna hamaray samnay anay wala hay.

I agree kay kisi key madad kerna afazal tareen hay per at the same time farz ibadataiN bhi apni jagah mojood haiN aur mojood rahaiN gee.

yahaaN per amooman ju daleel dee jatee hay woh qurbani kay janwarooN kay mehnga honay key hay... i agree kay qurbani kay janwar mehngay hotay ja rahay haiN

per so is the Car, Clothes and other accessories, ham log unhaiN choR ker tu kisi key madad nahi kertay.. balkay kayee accessories tu aisi haiN jin kay baghair zinda rehnay ka taswur hi khatam ho chuka hay.. like mobile phones... eak andazay kay mutabiq her gher maiN min. 2 mobile phones haiN jin key qeemat aur salana akhraajaat behrhaal qurbani key bakray key qeemat say kam haiN...

per kisi maiN jurat nahi woh keh sakay kay bhai eak mobile phone sale ker kay kisi key madad ker do... haaN sara ghusa qurbani aur Haj per nikalta hay
Abu Adnan
sirf krachi maiN 2006 maiN 50,000 mobile phone chori honay /chinay janay ki report howee hai ... jabkay asal tadaad iss say kaheeN zeydah hai... khud meri family maiN kam az kam 5 phone gun point par chinay gayee /chori howay. aur sab nay new lay bhi liyeh ... goya hum nah sirf mobile phone afford karsaktay haiN balkay chori honay par fauran doosra lay bhi saktay haiN ... jab kay iskay beghair pahlay bhi kaam chal raha tha aur ab bhi chal sakta hai ... aur qurbani / Hajj sirf saahebay hasiyat par hi farz hai. aur farz ki aadaayegi k liyeh laakhouN k jaanwer khareednay ki zarooorat naheeN ... 5/6 hzaar maiN bakra aur 3 hazaar maiN baRay jaanwer maiN hissa mil jata hai ... farz pahlay ada karaiN aur phir nafli sadqa khairaat jetnay marzi karaiN.... 1-jokes.gif
khan_amer
QUOTE(Abu Adnan @ Jan 9 2007, 10:12 AM) *
sirf krachi maiN 2006 maiN 50,000 mobile phone chori honay /chinay janay ki report howee hai ... jabkay asal tadaad iss say kaheeN zeydah hai... khud meri family maiN kam az kam 5 phone gun point par chinay gayee /chori howay. aur sab nay new lay bhi liyeh ... goya hum nah sirf mobile phone afford karsaktay haiN balkay chori honay par fauran doosra lay bhi saktay haiN ... jab kay iskay beghair pahlay bhi kaam chal raha tha aur ab bhi chal sakta hai ... aur qurbani / Hajj sirf saahebay hasiyat par hi farz hai. aur farz ki aadaayegi k liyeh laakhouN k jaanwer khareednay ki zarooorat naheeN ... 5/6 hzaar maiN bakra aur 3 hazaar maiN baRay jaanwer maiN hissa mil jata hai ... farz pahlay ada karaiN aur phir nafli sadqa khairaat jetnay marzi karaiN.... 1-jokes.gif



agr bakray bhi kiis Multinational key product ho tu phir daikhaiN kaisay yeh fitna thanDa paRta hay handlebars.png
Abu Adnan
QUOTE(khan_amer @ Jan 9 2007, 12:27 PM) *
agr bakray bhi kiis Multinational key product ho tu phir daikhaiN kaisay yeh fitna thanDa paRta hay handlebars.png


well said ....

Allah say maafi maangiyeh!
iss subject k tehat abhi abhi maiN nay pahli martabah javed ch ko e.mail kia hai aur above apna aur aap k comments copy paste kardiya hai.... pata naheeN woh issay paRh bhi pata hai yaa naheeN... aur agar paRhta hai to kia radday amal zaahir karta hai... coz bah qaul aik maroof column nigaar k woh apnay naam aayee howee Daak ko direct dust bin maiN Daal detay haiN.
breakface1.gif
tihami
javaid choudhary say is kisam ka column.......... poster_oops.gif



doosraay insaanoon ki khidmat karna n mali imdaad karna bohat achi baat hay,.. laikin is k liya zarooree naheen k qurbani k paisay hi use kiyaay jayain,......

jaisay zakaat daina farz hay laikin woh SADQA dainay say naheen rooktee,,, deen k faraiz pooray karain aur us k ilawa say lougoon ki imdaad karain tu baat bhi hay...

yah tu aisay hi hay k koi kahay k medical college janay say time zaaya houta hay n main us time ko apnaay room main baith kar parhta rahoon ga... ..... tu attendence pooree na hounay par us ka admission bhi nahen jaay ga...............tu atleast deen k farayez pooree kar k ham apni atendence tou pooree karain .. baki jitnee ALLAH toufeeq day ....
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2008 Invision Power Services, Inc.