QUOTE(Where U Can Find Me @ Jan 11 2007, 02:10 PM)

Not Others Jst Muslim World, Hum logon ko Qafer lara ker alag karyga aap assi mesaal Iran or Iraq ki war say he laga sakty ho or abe Afghanistan or Iraq or Somalia say be andaza laga sakty hoo or pher ahesta ahesta wo Muslim world ko apna gulam banany ki koshesh karyga,jo ka i Daam sure nahin hoga INSHAALLAH, wasy Hum bohot ziada jhuk choky hain kerta koe hy elzam Pakistan or other Muslim countries
bha jan
app key baat durust hay kay Muslim qom per ghlaba panay key koshishaiN Ahl-e-Maghrib key aaj key nahi sadiyooN purani haiN...
go kay muslmaanooN Saleebi JangooN maiN kamyaabi hasil howi per in jangooN ka zyada faida behrhaal ahl-e-maghrib ko hi howa... unhooN nay in jangooN kay nateejay maiN honay walay mahidaat key wasatat say Muslim duniya say ilm aur hunr hasil kiya jisaay unhooN nay wapis apnay illaqooN maiN ja ker mazeed baRhaya... yahaaN tak kay 14 th century onwards muslim duniya maiN Scientists key tadaad na honay kay braber reh gayeee aur kon nahi janta kay 14th century onwards ko hi jadeed ijadaat ka dor kaha jata hay jis nay Europe key duniya hi badl Daali... Sanati taraqi aur research nay na sirf un key jangi taqat ko na.qabil-e-taskheer bana diya balqay research aur development nay un key sha'oor ko uss nehajh per puhancha diya aqal.o.fiqar maiN ham un say kaheeN peechay reh gay aur yehi surat-e-haal aaj bhi qayam hay...
ham logooN key apas maiN laRnay key bunyaadi wajaah hamari jahalat hay.. hamaray zehn sadiyooN key ghulamnaaN raw'ish say zang'alood ho chukay haiN... iss zang'alood dimagh ka mehwar kisi hay'wan key tarah sirf roti hi reh gaya hay.. iss say agay na tu yeh sochnay key salahiyat rakhta hay aur na samjhnay key koshish... iss kirdar key khas baat yeh hay kay jahaaN per iss key roTi per zad paRay wahaaN per yeh paralize ho jata hay...
Ab masla yeh hay kay Maghrib apni aqal.o.danish aur hikmat say rizq kay iss khazanay ka bila shirkat-e-ghairay malik hay... ussay devta ka darja hasil ho chuka hay... hamaray kerta dharta ju ghulam zehniyat ka behrteen Shahkaar haiN, woh apnay rizq kay hasool kay liya apnay iss devta kay qadmooN ko muslim khoon say nehlatay rehtay haiN.. kabhi yeh khoon Shia-Sunni platform per hota hay tu kabhi rang.o.nasl aRay aa jate hay.. Islam key woh rassi ju kalay aur goray ka farq mita ker sab ko eak saf maiN khaRa kerti hay arab kay hi sehra maiN kaheeN gum ho chuki hay...
ham logooN key(duniya'v) falaah issi maiN hay key kohlo kay bail key taraah issi circle maiN ghoomtay rahaiN aur sham ko araam say Chara kha ker soo rahaiN...
Izzat key zindagee key qemaat buhat zyada hotee hay.. aur ham log abhi tayaar nahi haiN aisi kisi payment kay