QUOTE(Ghazal khushboo @ Jan 11 2007, 02:16 PM)

Sultan Ba'yazeed Yaldaram ka hi waqaya hay.. jin dinooN yeh Europe key rayasatooN per Bijli ban ker TooT rahay thay.. Centrel Asia maiN Taimoor Lang ka dor dora tha...
Sultan Ba'yazeed nay Qaisar-e-Rome ko dhamki dee ya sandesa bhaija ya Qaisar ko Sultan say khatra mehsoos howa kay ab Sultan Qastantun'ya per hamla ker kay iss per qabza ker lay ga...
anyway qisa mukhtasir, Qaisar nay Taimoor Lang ko khat likha aur kaha kay meri sultanate App (SAAW) kay dor say chali aa rahee hay, aur Sultan Ba'yazeed issay khatam kernay kay dr'pay kay puray maghrib maiN sultan ka koy muqabil nahi Mashriq maiN app kay illawa koy aur Sultan say takaR laynay key jurat nahi ker sakta.. lehaza meri madad ki jiye aur Sultan ko uss kay iraday say baaz rakhaiN...( kuch aisi hi wording thee iss khat key)
Taimoor nay khat paRhnay kay baad Qaisar key madad ka faisla kiya aur Sultan ko mana kernay kay koshish key sultan nay inkaar kiya aur dono fareeqooN maiN khoon'raiz laRai howi maiN jis maiN Taimoor fatah'yaab howa aur Sultan qaid ho'gaya...
baad azaan Taimor ko apni ghalati ka ehsaas howa aur uss nay Aalim-e-Islam ko puhanchnay walay iss nuqsaan key talafi kay liya China per hamla kernay key Thani per qudrat nay ussay muhlat na dee aur China key tarf paish.qadmee kay doran hi Taimoor apnay Khaliq-e-haqeeqi say ja mila...
(ref: MaiN hooN Taimoor by Taimoor Lang)
Usmani iss shikast kay baad arsay tak na uTh sakay, phir later ghaliban Sultan Ba'yazeed kay potay nay Qastun'tunia per qabza kiya aur iss ka naam Istambol rakha...