Ham maiN say taqreeban sab yeh jantay haiN kay Mush ka Front-Man yeh cheif negotiator Ch. Shuaja'at hi hay.
in ka intaykhaab Mush Sarkar nay aisay hi nahi kya... is key buhat sari wajohaat theeN...
kehtay haiN gher ka bhedi lanka Dhay'e...
Ch. sahib nay bhi yehi kiya... pehlay app Nawaz Shreef kay DayaiN haath samjhay jatay thay.. aur issi rutbay key wajaah PML (N) key haleef jamatooN key nazr maiN aaj bhi ahtayraam key nazr say daikhaiN jatay haiN.
in key issi position key wajah say inhay Mush sahib nay mojooda uhda inayat kiya hay. In ka kirdar khuli kitab key taraah hay.. MMA agr kisi bill per koy aitraaz kertay haiN tu CH. Hakomat key tarf say un say muzakaraat kertay haiN... MMA kay rehnuma'ooN kay samnay koy naya chehra ho tu shayad woh log apnay mo'aqaf say eak qadam peechay na haTaiN per Ch. Sahib key baat aur hay.. MMA walay murawat maiN maray jatay haiN...
yehi case Bugti sahib kay saath tha, Mush nay yahaN bhi inhay agay kiya aur ju kerna tha woh tu kiya per muhlaat inhi nay lay ker dee...
So strategically speaking, hamaray Ch. Sahib mush key time-taking tactic-machine bhi haiN...
manzer nama tabdeel ho chuka hay.. Ch. Sahib jitna ker saktay thay inhooN nay kiya... ab in haal bilkil lanGray key uss booseeda bai'saki jaisa hay... jis say langRa her dam nijaat hasil kernay key fikr maiN rehta kyoN kay yeh kabhi bhi kaheeN bhi dhoka day saktee hay...
Hamaray Muhtaram Mush sahib ko bhi ab apni nayee' bai'saki nazr aa gayee ju kay TWO-IN-ONE hay ju na sirf Punjab aur NWFP maiN mush ko support kernay key ahl hay balkay MQM ko bhi nath Dalnay key qabliyat rakhtee hay... jee haaN uss nayee bai'saki ka naam hay Benazir Bhutto...
Ch. Sahib iss sabk'doshi kay baad mera nahi khayal kay syasat maiN rahaiN per woh kehtay haiN na kay Zalim choTti nahi munH say lagee howi so yeh kisi na kisi taraah in rehnay key koshish karaiN gay..ab daikhaiN yeh nayee paRty banatay haiN... Hamid Nasir ChaTTa kay pass ja ker apna rona rotay haiN ( aakhir ko door paray say dono gara'yeeN haiN) ya wapis Nawaz Shareef kay pass aa jatay haiN ( aakhir ko business partner reh chukay haiN )
per jis kay pass bhi jayaiN gay yeh baat tu tay hay kay ChoudriooN ka arooj khatam ho chuka... shayad Mush PPP ko nath Dalay rakhnay kay liya inhay Punjab maiN zyada ba raGray...