QUOTE(Rehbar @ Jan 15 2007, 03:16 PM) [snapback]2222339[/snapback]
Es ka kia matlab hay kay aur identities dekhna hongi es tarah tu aap se bhi aur identities talb ki jasakti hain.
Agar kisi ko etraz na ho tu eik identity ka naam likh doon? Jis ka taluq Nai(barber) se bhi hota hay......................................
Log tu naqab pehan kar aur jhot bul kar Makka aur Madina bhi jatay hain eik rule un ko pakranay ka agar wo os se bahir hain tu Allah ki lathi tu be-awaz hay hi. Aap ku fikarmand hain
nahi janab logooN ko apni identities bayan kernay per yahaaN koy pabandi nahi hay.. app nay jis tarah quoted reply maiN apni identity bayaan key hay baqi sab bhi ker saktay haiN iss say kisi ko koy farq nahi paRta...
Sawal yeh nahi kay Allah key laThi bay-awaz hay kay nahi.. sawal yeh hay kay app Amr bil'maroof wa nahi an'ul munker per kitna amal pera haiN.. yaad rahay Muslam key bunyad hi is sper qayam hay.. agr her baat Allah per choR rahay haiN tu iss ka matlab ham her amal ko kisi bhi shakhs ka zati amal qaraar day rahay haiN.. doosray lafzooN maiN keh rahay haiN kay hamay kiya...
Kashti maiN eak aadmi sorakh kerta hay Dob saray hi jatay haiN... talab maiN eak machli gandi hoti hay per talab sara hi ganda ker dayta hay. phalooN kay DhaiR maiN rak SaRa howa phal saray phal kharaab ker dayta hay... insan ko aqal.o.sha'oor hi issi liya diya gaya hay woh ghalat aur sahi maiN tameez ker sakay... issi liya tu iss say hisab liya jaye ga..
Muslmani ausaaf yani ju Islam nay diya haiN woh kisi bhi Aadmi ko Insaniyat kay aalaa tareen darajaat per fa'iz kertay haiN.. yani Muslmaan eak aisa shakhs hay ju JhooT nahi bolta, ju wada khilafi nahi kerta, ju MilawaT nahi kerta, ju kisi key ko baghair sha'ree wajah qatal nahi kerta.. ju her mamlay maiN insaaf kerta hay... ju apnay bhai kay liya bhi wohi cheez pasand kerta hay ju ussay apnay liya pasand ho, ju paRosi ko takleef nahi dayta...
puray Pakistan maiN ghoom ker dekh laiN.. app ko bhaant bhaant kay log milaiN gay... koy Punjabi hoga, koy paThan, koy Mahajir ka nara laga raha hoga tu koy baloch honay ka dawa ker raha hoga.. in maiN say shayad hi kisi maiN above ausaaf paye jatay hooN.. halankay above ausaaf kay muraqay ko hi Muslmaan kaha ja sakta hay ( provided woh Allah tala key wahdaniyat per bhi iman laye aur App (SAAW) ko Allah ka aakhri nabi manay)
ab ju log naqab pehan ker jatay haiN.. tu un maiN itni jurat sirf iss liya hay kay ham jantay howay bhi unhaiN yeh keh ker ignore ker daytay haiN kay yeh Allah ka aur un ka mamla hay... halankay bura'i ko bura kehnay aur ussay roknay ka wazah hukm hay.. per ham khud iss maiN lat'pat haiN kisi ko kaisay rokaiN gay.. issi liya maiN nay kaha kay kham'kha khud ko muslmaan keh ker pehlay waqtooN kay muslmanooN key kirdar.kushi na key jaye...