Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Ghaltiyaan
HulChul.NET > Science, Arts & Culture > History
khan_amer
Iss post maiN un ghalatiyooN key tarf hergiz ishara nahi jis maiN hukumraaN ya sultan hi na'ahl thay... sirf un ghalaityooN ko parkha jaya ga ju un pur'azam sultanoooN say howi jin key intentions ghalat na theeN..bus chand ghalat faislay un key shikast ka sabab banay...

Sab say pehlay Shah-e-Khawazam Jalal.ud.din Khawarzami ka zikr kertay haiN...

App Janab woh pehlay hukumraaN thay jinhooN nay tatariyooN kay azeem khatray ka sahi idraak kiya aur iss sailaab kay agay band bandnay key koshish key... app key jad.o.jehd ka samr hi tha kay tatariyooN ka sailab khawarzam tak hi mehdood raha...

in sab kay ba'wajood Jalal.ud.din khawarzam apni fouj maiN woh walwala aur hosla paida na ker sakay jis key uss waqt zaroorat thee.. nateeja'tan Difa'ee jang laRna paRi.. aur wohi howa ju Difa'ee jang laRnay walooN kay saath hamesha say hota aya hay.. yani Ghadaari aur Shikast...

Insaani Fitrat buhat hi ajeeb hoti hay.. lakh chahnay kay bawajood woh sab say pehlay apnay bacha'oo kay baray maiN sochtee hay... aur iss kay liya kabhi kabhi ( aur hamari tareekh maiN zayada'ter) apna iman baichnay say bhi baaz nahi aatay...

yehi qisa Jalal.ud.din khawarzam kay saath tha... unhooN nay tatariyooN ko eak do ma'arkooN maiN shikast bhi dee.. per na tu apni jangi chalooN aur nahi kisi dosri hikmat-e-amli say un fatoohaat ka koy nafsiyati faida uTha sakay...
Ghazal khushboo
gp.gif

keep sharing rose.gif
MJB
QUOTE(khan_amer @ Jan 15 2007, 10:20 AM) *
nateeja'tan Difa'ee jang laRna paRi.. aur wohi howa ju Difa'ee jang laRnay walooN kay saath hamesha say hota aya hay.. yani Ghadaari aur Shikast...

kya ham ghaza-e-khandaq ko difa'ee jang kah saktey hain ???
khan_amer
QUOTE(MJB @ Jan 17 2007, 04:26 PM) *
kya ham ghaza-e-khandaq ko difa'ee jang kah saktey hain ???

Ghazawa-e-Badr say ker HunaiN tak, technically sab hi ma'arkay thay, in maiN say Fatah Makaah faisla'kun jab thee.. jis maiN shikaast khanay kay baad Arab maiN koy bhi garooh muslmaanooN kay khilaaf sar na uTha saka ( App SAAW kay dor tak)
khan_amer
haqeeqatan Islami tareekh maiN 4 ahem Difa'ee jangaiaN aur charooN maiN hi faisla'kun shikast muslmaanooN ka muqadar bani.

Eak ka Zikr uper ho chuka hay, dosri ( pehli aur dosri Saleebi JangaiN), Teesri Spain key jangaiN, choTi Br.sagheer maiN Haider Ali aur Sultan Tipu key jangaiN.

MJB
QUOTE(khan_amer @ Jan 18 2007, 06:43 AM) *
Ghazawa-e-Badr say ker HunaiN tak, technically sab hi ma'arkay thay, in maiN say Fatah Makaah faisla'kun jab thee.. jis maiN shikaast khanay kay baad Arab maiN koy bhi garooh muslmaanooN kay khilaaf sar na uTha saka ( App SAAW kay dor tak)

Aap ke khyal main Ghazwa-e-Khandak jang na thi,,, balke ma'arkey they,,,,,,,,, zara in ke dermyan technical faraq bhi samjha dain
khan_amer
QUOTE(MJB @ Jan 18 2007, 11:42 AM) *
Aap ke khyal main Ghazwa-e-Khandak jang na thi,,, balke ma'arkey they,,,,,,,,, zara in ke dermyan technical faraq bhi samjha dain

Pehlay tu app Ghazwa-e-Khandak kay waqayaat hi dekh laiN...

MuslmaanoN aur Kufaat maiN pehla ma'arka badr kay maidan maiN howa, go kay maidan muslmaanooN kay haath maiN raha per woh kufaar key taqat ko na toR sakay.. Kufaar apni iss hazimat ka badla laynay kay liya Uhad maidan maiN utray.. yahaaN per Maidan kufaar kay haath maiN raha per woh MuslmaanooN ka khatma na ker sakay..

teesri baar Ahl-e-Arab nay yeh faisla kiya kay iss dafa Arab key sarzameen ko MuslmanooN kay wajod say hi paak ker dayna... issi liya unhooN nay Mukhtalif qaba'il per mushtamil eak ethaad tashkeel diya aur Madina key tarf kooch kiya...

per Madina maiN muslman bajay'e maidan maiN anay kay khandak kay peechay mehsoor ho gay ( agr arab maiN qila'bandiyooN ka riwaaj hota tu shayad mora'kh issay youN likhtay kay QILA'BAND HOGAY)
yani laRa'i howi hi nahi.. kufaar nay muhasira ker liya aur muslmaaN dosri tarf DaT gay... qudrati afaat aur arabooN key riwatee baysabri nay unhaiN jald hi muhasira uThanay per majboor ker diya...

Kabil-e-Zikr baat yeh hay kay iss ma'arkay kay nateejay maiN bhi fareeqain maiN say kisi key bhi quwat para para nahi ho sakee..

Maa'rkooN aur JangooN maiN bunyadi farq yehi hota hay kay Jang faisla'kun hoti hay.. iss maiN harnay wala fareeq arsay tak ser'uThanay kay qabil nahi rehta.. whereas, ma'arkay kisi bhi jang key un ibtay'da'i jhaRpooN ko kaha ja sakta hay ju baRay paymanay per tu hooN per jin key haar jeet ka asr dair'pa na hoo

jaisay Qadsiya maiN MuslmaanooN aur IraniyoN maiN Jang howi thee.. jab kay aisi hi faisla'kun Jang Yarmouk kay maidan maiN muslmanooN nay romiyooN kay khilaaf laRi...

Technial Definat kuch iss taraah say hay

Battle: something which happens between two armies leading to the moral then physical disintegration of one or the other of them

War:A war is a violent conflict between two or more groups that involve large numbers of individuals. Wars may be prosecuted simultaneously in one or more different theatres. Within each theatre, there may be one or more consecutive military campaigns. Individual actions of war within a specific campaign are traditionally called battles.

yahaaN per yeh bhi arz kerta chalooN kay Battle ka urdu tarjuma, Ma'arka hota hay aur War ka Jang ( upto my best knowledge) iss liya bayaan ker diya kay kaheeN app yeh na poch laiN kay Battle aur War ka urdu tarjuma kiya hota hay
MJB
QUOTE(khan_amer @ Jan 19 2007, 02:22 PM) *
Maa'rkooN aur JangooN maiN bunyadi farq yehi hota hay kay Jang faisla'kun hoti hay.. iss maiN harnay wala fareeq arsay tak ser'uThanay kay qabil nahi rehta.. whereas, ma'arkay kisi bhi jang key un ibtay'da'i jhaRpooN ko kaha ja sakta hay ju baRay paymanay per tu hooN per jin key haar jeet ka asr dair'pa na hoo

jaisay Qadsiya maiN MuslmaanooN aur IraniyoN maiN Jang howi thee.. jab kay aisi hi faisla'kun Jang Yarmouk kay maidan maiN muslmanooN nay romiyooN kay khilaaf laRi...

Technial Definat kuch iss taraah say hay

Battle: something which happens between two armies leading to the moral then physical disintegration of one or the other of them

War:A war is a violent conflict between two or more groups that involve large numbers of individuals. Wars may be prosecuted simultaneously in one or more different theatres. Within each theatre, there may be one or more consecutive military campaigns. Individual actions of war within a specific campaign are traditionally called battles.

Iskey mutabiq tu India aur Pakistan main aaj tak koi jang ya War hi nahin hui,,, balkey maa'key hi hue hain,,,,,, kion ke aisi soorat-e-haal tu kissi ke sath nahin aie ke wo sir na utha sakain
khan_amer
QUOTE(MJB @ Jan 19 2007, 05:11 PM) *
Iskey mutabiq tu India aur Pakistan main aaj tak koi jang ya War hi nahin hui,,, balkey maa'key hi hue hain,,,,,, kion ke aisi soorat-e-haal tu kissi ke sath nahin aie ke wo sir na utha sakain

1971 key jang thee jis maiN Pakistan buri taraah maghloob howa aur iss key bunyadaiN tak hil gayeeN.. nazriya-e-Pakistan ju kay Pakistan key asaas tha.. pas.manzar maiN ghayab hogaya aur RoTii, KapRa aur Makaan iss qom ka Motto ban gaya...

Yeh tu Allah ka khas karam hay kay Maghrabi Pakistan China aur USA kay mufaad maiN tha..warna tu yeh naam bhi hamesha kay liya badl jana tha.. iss per Allah ka karam yeh kay USSR nay Afhganistan per hamla ker diya jis kay nateejay maiN char.o.na'chaar USA ko Pakistan key fouji madad kerni paRi aur iss kay Atomic program say ankhaiN band kerni paReeN...

MJB
QUOTE(khan_amer @ Jan 21 2007, 06:20 AM) *

1. Roti, Kapra aur Makaan ka nazria 1971 se pahley hi Bhutto awam ko dey chukey they
2. Pakistan maghloob nahin hua tha,,, balkey androoni sazishoon ke tahat Bangalioon ne apni azadi hasil ki
3. Maghrabi Pakistan main iska impact itna nahin tha,,,, aur uss waqt tak tu atleast USA ke mufaad main bilkul bhi nahin tha,,, jab tak ke USSR afghanistan main na aa gya,,,,, iss liye yeah point bhi baseless hey ke USA ne West Pakistan ko bachaya
Agar pakistan kissi ke bhi mufaad main hota tu East Pakistan bhi na tootney diya jata

ab jab ke 1971 main wahan ki awam ne hi mukhalifat ki,,,, tu ham isko 1 kamyaab baghawaat tu kah saktey hain,, jis main bangalioon ne india ki madad se apney maqasid hasil kya,,,, lekin apki definition ke mutabiq jang ,ahin ke saktey
khan_amer
QUOTE(MJB @ Jan 22 2007, 12:00 PM) *

CODE

Jee yehi nara tha... ju late 60s aur early 70s maiN Pakistani awam ko diya gaya.. issi naray nay eak Insaan ko Insaaniyat key mairaaj say gira ker janwar kay braber la khaRa kiya aur issi naray nay Maghrabi aur Mashraqi Pakistan kay darmayaan woh wahid zanjeer toR dee jis nay ussay baandh rakha tha...
Kisi bhi Nazriya ya Naray ka Effect aisa nahi hota kay yahaaN per nara lagaya ya nazriya paish kiya aur wahaaN per result aa gaya.. yeh Nara Late 60s maiN laga aur iss ka impact hamay 70s kay elections maiN nazr aya jis ka result 1971 December maiN ham nay bhugta...

CODE
2. Pakistan maghloob nahin hua tha,,, balkey androoni sazishoon ke tahat Bangalioon ne apni azadi hasil ki

MaiN Jordan key history paRh raha tha, wahaaN per 1967 key Arab-Israel jang kay ahwaal kuch iss taraah likhay howay thay "... aur Jordainain FojaiN baRi dalair'i kay saath laRteeN howi Bait-ul-Muqadas say pispa hona shoroo howeeN..." yeh statment paRh ker jitn mujhay hansi ayee utna hi afsoos bhi howa.. yehi kuch app nay uper kaha.. AglooN nay hamara eak Bazoo kaT per phaink diya... hamaray wajood key bunayad tak hila dee aur ham yeh kehtay haiN kay ham Maghloob thoRay hi howay thay... woh tu bas ham nay shoqiya hi India ko dawat day dee thee aur Adab-e-Mehmaan nawazi key khatir un key her baat mantay chalay gay yahaaN tak kay palTan Ground maiN woh sharmaank dasta'vaiz bhi sign ker dee...na ham maghloob tu na howay thay.. yeh tu bas ham androoni sazishoN ka shikar thay

Sultan Tipu haara tu nahi tha yeh bus ussay Mir- Sadiq lay DoBa.. Muslam Ghulam tu nahi howay thay.. yeh tu bus waisay hi mahmaan dari kay aadi haiN.. Sultanate-Usamnia ko shikast tu nahi howi thee woh bus aisay hi Khalifa ka Dil bhar gaya tha hukumrani say...

Sultan Muhammad Ghori ko eak Fataah nay woh muqaam day diya jis kay liya Sultan Mehmood jaisay fatayheeN ko arsa lag gaya.... iss key wajaah yeh nahi thee kay Sultan Ghori meiN surkhaab kay per lagay thay.. balkay yeh thee kay uss nay Shikasat khanay kay baad ussay tasleem kiya aur apni khamiyooN ko analyze ker kay un haiN door kiya aur aglay dobara HInd per ChaRha'i ker kay yahaaN eak hazara sala hakomat key bunyaad rakhi...

yeh hota hay nateeja shikast ko tasleem kernay ka... per hamara qomi rawia aur ravi na janay kyoN iss baat say aankh band ker baiThaiN haiN.. woh Shikast kay asbaab per ghor nahi kertay kyoN kay woh yeh tasleem hi nahi kertay kay ham haaray thay.. bakool app kay.. woh tu ham nay youN'hi androoni sazishooN say tang aa ker choR diya tha aur apni behnooN aur baiTyooN key izzataiN luTa'vayeeN theeN.. bus youN hi shok maiN....waisay ham BalochiyooN ka yeh shoul kab pura ker rahay haiN.. kiya abhi tak ham un key andoorini sazishooN say tang nahi aye???

CODE
3. Maghrabi Pakistan main iska impact itna nahin tha,,,, aur uss waqt tak tu atleast USA ke mufaad main bilkul bhi nahin tha,,, jab tak ke USSR afghanistan main na aa gya,,,,, iss liye yeah point bhi baseless hey ke USA ne West Pakistan ko bachaya
Agar pakistan kissi ke bhi mufaad main hota tu East Pakistan bhi na tootney diya jata

Mujhay yeh herat ho rahee hay kay app ko Aalmi syasat per Americi role dekh ker bhi Americi Mufaadat key samajh nahi ayee...
North Korea ko kyoN Dheel dee ja rahi hay. kyoN kay uss khitay maiN abhi bhi America ko eak aisa mulk darkaar hay tu Japan aur S.Korea kay liya threat paida ker sakay...
Pakistan kay Mashriqi wing key America ko zaroorat na thee... iss liya jab wahaaN per hamari Bahadur Afwaaj piT gayeeN tu America aur China ko koy farq nahi paRa... per Maghribi Pakistan key Zaroorat thee... app uss waqt ka manzr;nama daikhaiN.. China Communist, India aur Afghanistan, USSR kay behtreen Haleef aur dost.. tu Sirf Khitay maiN Pakistan hi eak aisa mulk bachta hay jisay USA apnay maqasid kay liya use ker sakta tha.. so we were need of USA...
app kay khayal say USA nay Pakistani Army key perwa'rish kyoN key thee!!!

CODE
ab jab ke 1971 main wahan ki awam ne hi mukhalifat ki,,,, tu ham isko 1 kamyaab baghawaat tu kah saktey hain,, jis main bangalioon ne india ki madad se apney maqasid hasil kya,,,, lekin apki definition ke mutabiq jang ,ahin ke saktey

baghawat tu uss waqt kehtay jab waqayee bengali awam yeh kerti.. per jis taraah MQM kuch arsay say Karachi key tarjumani ka dawa ker rahee hay tu yehi role Awami league ka bhi tha... Plus MQM key taraah uss ka eak Military Wing bhi tha.. jisay mukti Bahni ka naam diya gaya tha... jis key qayadat aur tarbiyati camps India maiN thay.. jinhaiN tabaah kernay key ijaazat General Tika Khan nay maangi thee per Sharab aur Shabab kay nashay maiN mast HukumraanoN nay ussay with in the limits of Bengal kar'wa'i kernay ko kaha..

Qisa Mukhtasir, Haqeeqat;go uss zamanay maiN bhi thay.. per in kawaz kanooN ko bhali nahi lagti issi liya in key bataiN bhi samajh nahi aateeN... per herart iss baat per hay kay ham log India dosti key chakar meiN yeh bhi bhool gay kay issi mulk nay hamaray eak Bazo ko kaaT ker phaink diya tha...

MJB

aapki aksar batain off the topic aur kai aik muzahka khaiz bhi hain

1. Aap ke khyal se bangali awam yeah nahin chahti thi aur sirif awami league ne aisa kya,,,,,,, tu kya wo awam aur hakoomat ki support ke baghair aisa ker sakti hey,,,,, aisa tab tak nahin ho sakta jab tak awwam sath na ho,,,,,, aap pata nahin kahan se parh ke khoosh hotey rahtey hain ke bangalioon ki iss main marzi nahin thi,,,, aisa na hota tu Est Pakistan,,, jis ki population west Pakistan se bhi ziada thi,,,,,,, na tu alehda ho sakta tha,,,,,, aur na hi qaim rah sakta tha

2. Aab narey ki baat bhi ker lain,,,,,,,, west pakistan ke logon ne tu iss naray ko bharpoor support kya,,,, lakin bangalioon ne apna haq lainey ke liye aur Islamabad main numaindgi hasil kerney ke liye issey mustarid ker diya,,,,,,,, yeah tafreeq iss narey ne nahin balkey uss ihsaas-e-mahroomeee ne paida ki,,, jo bangalioon ke diloon main paida ho chuki thi.

CODE
China Communist, India aur Afghanistan, USSR kay behtreen Haleef aur dost.. tu Sirf Khitay maiN Pakistan hi eak aisa mulk bachta hay jisay USA apnay maqasid kay liya use ker sakta tha.. so we were need of USA...

yeah apki mazahka khaiz tareen baat lagti hey,,,, abb agar aalmee syasat pe baat kerni ho tu aisi bongiaaan tu na mara karain

agar USA ko Pakistan ki zaroorat hoti ke wo China, India aur Afghanistan ko Pakistan ke through counter ker sakey,,,,,,,,, tu wo Pakistan ko mazeed strong kerta,,, aur east Pakistan ko qaim rakhney ki apni poori koshish kerta,,,, lakin uss ne Pakistan ko weak ker ke isko India aur Afghanistan ke darmyan sandwich kerwa diya,,,,,,,Pakistan ki zaroorat usko tab pati jab USSR afghanistan main aya,,,,, werna shaid app ne bhi wo mashoor amriki dhamki zaroor suni ho gi jo bhutto ko nuclear prog ke hawaley se di gai di gai thi ke AAP KO IBRAAT KA NAMOONA BANA DIYA JAYE GA
khan_amer
CODE
aapki aksar batain off the topic aur kai aik muzahka khaiz bhi hain

aap kay replies kay baray maiN bhi mera yehi khayal hay.. khas tor per iss reply maiN jis maiN app 1971 key shikast ko qabool kernay say inkaari heiN.. aisay shakhs ko meri bataiN mazhika'khaiz lagaiN tu koy ta'jub key baat nahi hay.. keep it up.. app ko mazeed maza aye ga

Secondly agr app topic key pehli post paRhnay key takleef gawara ker laiN (aur kisi say consult ker kay ussay samjhnay key koshish bhi ker laiN tu app per yeh heratangaiz inkay'shaaf hoga kay since u app key post ( jab say app nay iss topic mein post kerna shoroo kiya hay) shoroo say hi off-topic thee...
Sach kaha kisi nay.. mukhasimat maiN app ko aur kuch nazr nahi aata...

eak herat ju mujhay bhi ho rahi hay woh yeh kay aisay mazhika jawabaat kay bawajood bhi app yahaaN per aaker apna qeemti waqt berbaad kiya ja rahay heiN..

CODE
1. Aap ke khyal se bangali awam yeah nahin chahti thi aur sirif awami league ne aisa kya,,,,,,, tu kya wo awam aur hakoomat ki support ke baghair aisa ker sakti hey,,,,, aisa tab tak nahin ho sakta jab tak awwam sath na ho,,,,,, aap pata nahin kahan se parh ke khoosh hotey rahtey hain ke bangalioon ki iss main marzi nahin thi,,,, aisa na hota tu Est Pakistan,,, jis ki population west Pakistan se bhi ziada thi,,,,,,, na tu alehda ho sakta tha,,,,,, aur na hi qaim rah sakta tha

YahaaN per maiN bengal key puri history discuss nahi ker raha... aur nah meri koy aisi intention hey.. infact buhat pehlay eak topic mein yeh sab discuss ho chuka hay kay kab aur kaisay kiya howa.... zair-e-nazr topic meiN sirf yehi baat thee kay Pakistan 1971 key war hara ya nahi.. jis say app nay inkaar kiya yani baqool app kay Pakistan jeet gaya tha yeh tu bus waisay hi mahmaandari meiN Bengladesh azaad ker diya...

CODE
2. Aab narey ki baat bhi ker lain,,,,,,,, west pakistan ke logon ne tu iss naray ko bharpoor support kya,,,, lakin bangalioon ne apna haq lainey ke liye aur Islamabad main numaindgi hasil kerney ke liye issey mustarid ker diya,,,,,,,, yeah tafreeq iss narey ne nahin balkey uss ihsaas-e-mahroomeee ne paida ki,,, jo bangalioon ke diloon main paida ho chuki thi.

YahaaN per mujhay eak baat phir say kehni paRay gee.. naray say mutaliq meri post dobara paRhaiN aur samjhnay kay liya kisi say consult karaiN.. shayad kay app key samajh maiN baat aa jaye...

CODE
agar USA ko Pakistan ki zaroorat hoti ke wo China, India aur Afghanistan ko Pakistan ke through counter ker sakey,,,,,,,,, tu wo Pakistan ko mazeed strong kerta,,, aur east Pakistan ko qaim rakhney ki apni poori koshish kerta,,,, lakin uss ne Pakistan ko weak ker ke isko India aur Afghanistan ke darmyan sandwich kerwa diya,,,,,,,Pakistan ki zaroorat usko tab pati jab USSR afghanistan main aya,,,,, werna shaid app ne bhi wo mashoor amriki dhamki zaroor suni ho gi jo bhutto ko nuclear prog ke hawaley se di gai di gai thi ke AAP KO IBRAAT KA NAMOONA BANA DIYA JAYE GA

App Pakistan key army ko 1950 meiN daikhaiN aur ussi army ko 1960 meiN daikhaiN... app kay khayal say USSR say mukhasimaat mol laynay key wajaah say Allah miyaaN Pakistan Army ko itna train aur equiped kiya tha.... bhai kahaaN rehtay hoo.... America ko eak aisay mulk key zaroorat hay aur hamesha rahay gee.. jis kay neechay say woh jab chahay seeRhi nikaal lay aur jab chahay laga day... App ko yeh baat bhi shayed samajh na aye kay kyoN app baat ko waqayaaat tanzur meiAN daikhaiN aur haqeeqat ko qoblnay say inkaari heiN...

MJB
Aap sahih kah rahey hain,,,,,, ke aap ki batain samajhney ke liye bhi mujhey kissi pathan ke pass hi jana parey ga jo aap ki khud sakhta istalahaat pe shaid roshni daal sakey,,,,, aur merey replies parh ke aur samajh ke jawab diya karain,,,,,,,,main ne tu simple si baat ki thi ke aap 1971 ko jang sabit karain,,, apni hi di hui khud sakhta-definition ke mutabiq,,,,,,,, uskey jawab main aap ain bain shain start ho gye,,,,,
khan_amer
QUOTE(MJB @ Jan 22 2007, 01:42 PM) *

mera nahi khayal kay HC policies meiN Personal Attacks key koy gunjaish mojood hay, ho sakta hay kay HC key Advisory Counsel iss say mubra hoo aur woh iss qanoon kay under na aati ho....
baqi app jisay khud sakhta istaylaahaat keh rahay heiN... tu ussay kehtay haiN.. kyoN kay ussay jhuTlanay kay liya na tu app pass dala'il haiN aur naa'hi ilm. ( ju shakhs 1971 key defeat ko hi pee jaye uss ka baray meiN aur kiya kahooN) yehi wajaah hay kay App Personal Attacks key tarf aye haiN.. agr app member Advisory Counsel na hotay tu app above reply delete ker diya jata jaisay kay meiN pehlay Personal Attacks per mushtamil posts ko kerta aya hooN...

baqi rahee aayaiN bayaiN shayaiN key baataiN tu apnay replies paRh laiN.. iss say behter misaal meray pass nahi hay.. infact hamaray Shia bhai bhi iss silsilay maiN app ka muqabla nahi ker saktay..
MJB
QUOTE(khan_amer @ Jan 22 2007, 11:54 AM) *

mera nahin khyal ke main ne apney status ka koi missuse kya ho,,,,, agar aap apney war-battle theory ko prove nahin ker saktey tu HC policies aur status ko kion latey hain
khan_amer
QUOTE(MJB @ Jan 22 2007, 02:01 PM) *
mera nahin khyal ke main ne apney status ka koi missuse kya ho,,,,, agar aap apney war-battle theory ko prove nahin ker saktey tu HC policies aur status ko kion latey hain

CODE
,, ke aap ki batain samajhney ke liye bhi mujhey kissi pathan ke pass hi jana parey ga....

Ghaliban yeh comment maiN nay app key ID hack ker kay likh diya hay...

jahaaN tak theory prove kernay ka masla hay tu woh already proven hay... haaN yeh kahaiN kay app nahi samjh sakay...

Any ways yeh tu hemasha say hota aya hay.. kay jab jawabaat khatam ho jatay haiN tu aisay hi replies kiya jatay haiN jaisay app ker rahay haiN.. iss key bunyaadi wajaah tu pichlay 5/6 saal maiN samjah saka hooN woh yeh hay kay topic divert kiya ja sakay... aur wahaaN per apni presence dekha ker yeh bhi sabit kiya jaye kay ham tu yahaaN per hi thay.. koy hamay jawab nahi day saka.. and u r doing the same...
MJB
QUOTE(khan_amer @ Jan 22 2007, 12:06 PM) *
Any ways yeh tu hemasha say hota aya hay.. kay jab jawabaat khatam ho jatay haiN tu aisay hi replies kiya jatay haiN jaisay app ker rahay haiN.. iss key bunyaadi wajaah tu pichlay 5/6 saal maiN samjah saka hooN woh yeh hay kay topic divert kiya ja sakay... aur wahaaN per apni presence dekha ker yeh bhi sabit kiya jaye kay ham tu yahaaN per hi thay.. koy hamay jawab nahi day saka.. and u r doing the same...

aur yahi aap ker rahey hain,,, pichley 2-3 replies se main apney answer demand ker raha hoon,, magar apni presence hi show ker rahey hain aur kuch nahin
khan_amer
QUOTE(MJB @ Jan 22 2007, 02:15 PM) *
aur yahi aap ker rahey hain,,, pichley 2-3 replies se main apney answer demand ker raha hoon,, magar apni presence hi show ker rahey hain aur kuch nahin

Mazay key baat her baar koy na koy baat gol ker jatay haiN.. taz misaal do reply pehlay app nay personal attack kiya aur phir aglay maiN uss say mukar gay jab maiN nay ussay quote kiya tu phir uss per khamosh rahay aur nayee bat lay aye...

Keep it up....

Answers demand ker raha hooN...iss say baRa lateefa app nay abhi shayad aur kaheeN nahi kaha.. .. bhai post paRh liya karo.. apni post kernay kay baad ju reply aatay haiN unhay paRha bhi kertay haiN...
khan_amer
1 ghanTay tak ju mastiyaaN kerni haiN iss topic maiN ker laiN.. kyoN kay 1 ghanTay tamam irrelevant and offtopic reply yahaaN say delete ker diya jayaiN gay...
MJB
QUOTE(khan_amer @ Jan 22 2007, 12:23 PM) *
Answers demand ker raha hooN...iss say baRa lateefa app nay abhi shayad aur kaheeN nahi kaha.. .. bhai post paRh liya karo.. apni post kernay kay baad ju reply aatay haiN unhay paRha bhi kertay haiN...

CODE
Maa'rkooN aur JangooN maiN bunyadi farq yehi hota hay kay Jang faisla'kun hoti hay.. iss maiN harnay wala fareeq arsay tak ser'uThanay kay qabil nahi rehta.. whereas, ma'arkay kisi bhi jang key un ibtay'da'i jhaRpooN ko kaha ja sakta hay ju baRay paymanay per tu hooN per jin key haar jeet ka asr dair'pa na hoo

1971 ke jang ke baad Pakistan kitney arsey ke baad ser uthaney ke qabil ho gya,,, as u declared it as war,,,, yeah mera sawal tha apki definition ke mutabiq,,,, jis main abb tak mujhey sirif ain bain shain mil raha hey
khan_amer
QUOTE(MJB @ Jan 22 2007, 02:29 PM) *

App ka underlined or red fonted sawal mujhay puray topic maiN kaheeN nahi mila ( ahtayaatan maiN nay pura topic save ker liya hay) yeh sawal app nay ab kiya hay tu iss ka jawab bhi ab hi milay ga.. kyoN kay mujhay ilm-e-ghaib tu hay nahi kay maiN app kay sir kiya sawal hay aur uss kay kiya jawab dayna hay...

So next time while asking questions instead of teasing around ask the pinpoint questions.

Abb aatay haiN app kay sawaal key tarf...

1971 key jang kay baad, yani saqoot-e-Dhaka kay baad, Pakistan apnay almost aadhay raqbay aur abaadi say hath dhoo chuka tha... nazriya Pakistan pa.maal hu chuka tha... Issi doran Maghrabi Pakistan kay muhaaz per, ShakaRGarh aur Narowaal kay muhaaz per Pakistani FojaiN darya kay iss simat khaReeN theeN aur darya paar ka illaqa India kay Tasruf maiN tha.. infact Indra Gandhi wahaaN ayee bhi thee aur wahaaN per abhi tak uss kay naam say eak ROAD mojood hay... ghaliabn nala ba'yeeN kay uper....( yeh llaaqay baad maiN shimla Mahiday maiN wa'guzaar kerwaye gay thay)

Anyways, Pakistan key bachi kuchi afwaaj morally tabah ho chuki theeN... And as i said.. Maghrabi pakistan USA aur China kay mufaad meiN tha. lehaza India ko Hukman Maghribi Pakistan per aakhri hamlay say baaz rakha gaya...

YahaN per bhutto ka kirdar kabil-e-tareef hay.. ju howa so howa, per uss nay bachay kuchay Pakistan ka morale aur loss pura kernay kay liya kayee iqdama'at kiya jin maiN Shimla Mahida, aur Atomic Energy ka hasool qabil-e-zikr haiN... iss kay illawa uss nay Pakistan ko un defence agreements say bhi azaad kerwa liya jis kay tehat Pakistan USA aur NATO ka ittahadi tha. yani Pakistan ko no polar mulk bana diya.. go Officially aisa kuch declare nahi kiya per uss key kharija policies yehi kehteeN haiN.. yehi woh wajohaat theeN jis kay sabab Bhutto ko iqtaydaar say haTa ker Zia ko laya gaya... (as i said USA ko eak aisay Pakistan key zaroorat thee jisay woh kabhi bhi use ker sakay.. yani na tu woh kamzoor ho aur nahi woh itna taqatwar kay inkaar ker sakay) aur issay Pakistan key khush qismati keh laiN kay USSR nay Afghanistan per hamla ker diya.. aur USA, PAKISTAN key fouji aur mali imdaad kernay per majboor ho gaya..

yahaaN say Pakistani Fouj kay rebuilding ka amal shoroo hota hay.. jadeed training aur aslayha Pakistan ko diya gaya.. yain ussay dobara (comapritively pre-1965) uss state meiN wapis laya gaya .. Pakistan kay Atomic Program say nazraiN chuRa;yee gayeeN and in almost 20 years time Pakistan Army iss qabil ho gayee kay woh Dobara say kisi maidan maiN India ko challenge ker sakay ya uss kay paida kerda challenge ka mouN toR jawab day sakay.... yeh Pakistan kay khush'qismati hi thee kay aalmi manzr namay per halat iss taraah kay thay kay India, Pakistan kay khilaaf jar;hiyaat kay muzahira nahi ker saka... aur jab recent past meiN kiya tu ussay andaza ho gaya tha ka yeh yeem neem murda phir say zinda ho chuka hay.. Result: Balochistan aur Sindh maiN bad'amni aur baghawataiN... aur Pakistan maiN Firqa'Parasti maiN shidat... yani same game on new grounds...

Pakistan key Recovery key Misaal aisay hi hay kay Jaisay W.Germany aur Japan nay recover kiya tha after 2nd world war... go kayher do mumalik key recovery fouji nahi economically thee per ab yeh loug yani 50 saal baad infact 30 saal baad hi iss position maiN aa'gay thay kay aalmi taqatooN ko un kay wajood ka ahsaas honay laga tha...
MJB
QUOTE(khan_amer @ Jan 22 2007, 12:54 PM) *
App ka underlined or red fonted sawal mujhay puray topic maiN kaheeN nahi mila ( ahtayaatan maiN nay pura topic save ker liya hay) yeh sawal app nay ab kiya hay tu iss ka jawab bhi ab hi milay ga.. kyoN kay mujhay ilm-e-ghaib tu hay nahi kay maiN app kay sir kiya sawal hay aur uss kay kiya jawab dayna hay...

So next time while asking questions instead of teasing around ask the pinpoint questions.
Abb aatay haiN app kay sawaal key tarf...

issi liye main kah raha tha ke apney jawabaat dainey se pahley merey replies poori tarah parh liya karain,,,, aur yeah bhi ghalban apki bad-gumani (ghalban issey khush fahli nahin kah saktey) hey ke main post main kuch edit ker doon jo aap ne reference ke liye na sirif safe ker li balkey muttala bhi ker diya

CODE
ab jab ke 1971 main wahan ki awam ne hi mukhalifat ki,,,, tu ham isko 1 kamyaab baghawaat tu kah saktey hain,, jis main bangalioon ne india ki madad se apney maqasid hasil kya,,,, lekin apki definition ke mutabiq jang ,ahin ke saktey

yeah alfaaz yaqeenan aap ki safe kerdah post main mojoood hoon gey,,,, lakin aap ko tanz kerney se fursat miltee tu daikhtey

Aur aap aab bhi merey sawal ko nahin samjhey,,,, jawab tu bohat lamba hey magar totally off the question hey,,,, chalain intehai seedhey andaz main poochey laita hoon

"Aap kaisey sabit ker saktey hain ke 1971 ke baad Pakistan ser uthaney ke qabil nahin rah gya tha ?"

Yeah zahan main rakh ke jawab dijye ga ke USA ne jo kuch wo USSR ki afghanistan pe hamley ke baad matlan after 1979 kya,,, aur yeah 8 saal ka arsa tha,,,, aur issi door main USA Pakistan ke khilaaf raha hey aur Buhtto ko bhi issi ka nishana banna para hey
khan_amer
Yeh raha app ka sawal ju app nay Apni ab say 2nd last post maiN kiya tha

CODE
[u][b]1971 ke jang ke baad Pakistan kitney arsey ke baad ser uthaney ke qabil ho gya,[/b][/u],, as u declared it as war,,,, yeah mera sawal tha apki definition ke mutabiq,,,, jis main abb tak mujhey sirif ain bain shain mil raha hey

aur yeh raha woh sawal ya sawal numa comment jis say app above mentioned sawal ko mila rahay haiN.

CODE
a[u][b]b jab ke 1971 main wahan ki awam ne hi mukhalifat ki,,,, tu ham isko 1 kamyaab baghawaat tu kah saktey hain,, jis main bangalioon ne india ki madad se apney maqasid hasil kya,,[/b][/u],, lekin apki definition ke mutabiq jang ,ahin ke saktey

ab koy mujhay bataye kay in dono sawalaat maiN mumasilat kahaaN per hay aur kitni hay....

najanay kyoN mujhay lag raha hay kay app ya tu zati per ya kisi kay ima per yahaaN per mujh per tanz kerna chah rahay haiN per ho nahi paa raha issi liya bonter gay haiN aur samajh nahi aa raha kay kiya keh chukay haiN aur kiya keh rahay haiN... in tanazur maiN app say behs ya baat kerna fazool hay... pehlay apnay hawas bahaal key jiye yani jis bd'hawasi ka muzahira uper ker chukay haiN ussay theek key jiye phir agay baat karaiN.. kyoN kay iss taraah app sawal koy kertay haiN.. aur ussay mai'nay kuch aur daytay haiN.. i dont know kay app ka yeh attitude kyoN hay...
khan_amer
QUOTE(MJB @ Jan 22 2007, 04:50 PM) *

App pehlay puri post paRhaiN aur phir bhi agr app ko above ka jawab nahi milta tu batayaiN maiN point out ker dooN ga...

Further to Above agr app nay meray replies paRhnay kay taka'luf gawara kiya ho tu app ko wahaaN per chand eak sawalaat bhi nazr ayaiN gay.. jinhaiN ab tak app nazr'andaaz kertay chalay aye haiN.. un kay jawabaat bhi inayat ker daiN... yeh jawabaat iss liya bhi zaroori hay kay app kay mental approach ka kuch andaza ho sakay ( kuch tu ho chuka hay, sirf muhr hi sabt kerna maqsood hay)...
like above agr app ko sawlaat na milaiN tu bata dee jiya ga maiN unhaiN dobara yahaaN per post ker dooN ga...
khan_amer
CODE
aur yeah bhi ghalban apki bad-gumani (ghalban issey khush fahli nahin kah saktey) hey ke main post main kuch edit ker doon jo aap ne reference ke liye na sirif safe ker li balkey muttala bhi ker diya

bus jee janab app key bd'hawasiyaaN dekh yeh gumaan ghalib howa tha.. aur ab bhi hay...
MJB
QUOTE(khan_amer @ Jan 23 2007, 06:09 AM) *
Yeh raha app ka sawal ju app nay Apni ab say 2nd last post maiN kiya tha
CODE
[u][b]1971 ke jang ke baad Pakistan kitney arsey ke baad ser uthaney ke qabil ho gya,[/b][/u],, as u declared it as war,,,, yeah mera sawal tha apki definition ke mutabiq,,,, jis main abb tak mujhey sirif ain bain shain mil raha hey

aur yeh raha woh sawal ya sawal numa comment jis say app above mentioned sawal ko mila rahay haiN.

CODE
a[u][b]b jab ke 1971 main wahan ki awam ne hi mukhalifat ki,,,, tu ham isko 1 kamyaab baghawaat tu kah saktey hain,, jis main bangalioon ne india ki madad se apney maqasid hasil kya,,[/b][/u],, lekin apki definition ke mutabiq jang ,ahin ke saktey

ab koy mujhay bataye kay in dono sawalaat maiN mumasilat kahaaN per hay aur kitni hay....
najanay kyoN mujhay lag raha hay kay app ya tu zati per ya kisi kay ima per yahaaN per mujh per tanz kerna chah rahay haiN per ho nahi paa raha issi liya bonter gay haiN aur samajh nahi aa raha kay kiya keh chukay haiN aur kiya keh rahay haiN... in tanazur maiN app say behs ya baat kerna fazool hay... pehlay apnay hawas bahaal key jiye yani jis bd'hawasi ka muzahira uper ker chukay haiN ussay theek key jiye phir agay baat karaiN.. kyoN kay iss taraah app sawal koy kertay haiN.. aur ussay mai'nay kuch aur daytay haiN.. i dont know kay app ka yeh attitude kyoN hay...

Masla mujhey aap ki taraf lag raha hey,,, aur agar aap poori post jo ke aap ke paas saved shuda hey,,,, neutral ho ke parhain tu shayad andaza ho jaye ga ke aap ne merey question ko clearify kerney ki bajaye issey personal banatey hue tanzia batain start ker din,,, khud nazar na aye tu kissi 3rd neutral person se parhwa lain.

aur jo 2 refernce aap ne opper quote kye merey questions ke,,,, wo donon mukhtalif replies ke hain,,, aur second tab kya tha jab aap ne off the topic reply kya,,,, agar app merey replies ghor se parhtey hotey tu start main hi daikh laitey,,,,, aur itni lambi baat na hoti,,, aur meri nishandahi pe aap wahan tak pohanchey hain

mujey aapki theory se ikhtalaf hey,,, issi liye main ne examples di hain,,, jinhain aap pahley jang-moa'rkey ki taraf le gye,,, aur jab wahan baat nahin bani tu NA KHAIDAAN GE NA KHAIDAN DIYAN GEY ki policy apna li,,,,, baat mujhey sirif itni si lag rahi hey ke apki ego apko iski ijazaat nahin daiti ke koi aap ko negate karey,,,, aur aisa kerney wala apko bad-hawas aur bontera hua lagta hey,,,,,,,,, its simple
MJB
QUOTE(khan_amer @ Jan 23 2007, 06:27 AM) *
CODE
aur yeah bhi ghalban apki bad-gumani (ghalban issey khush fahli nahin kah saktey) hey ke main post main kuch edit ker doon jo aap ne reference ke liye na sirif safe ker li balkey muttala bhi ker diya

bus jee janab app key bd'hawasiyaaN dekh yeh gumaan ghalib howa tha.. aur ab bhi hay...

badhawasiaan tu aap pe chai hui lag rahi hain,,,, jis ko yeah bhi yaad nahin raha ke eidt kerney ke baad neechey uska signature bhi nazar ata hey
khan_amer
QUOTE(MJB @ Jan 23 2007, 11:57 AM) *
badhawasiaan tu aap pe chai hui lag rahi hain,,,, jis ko yeah bhi yaad nahin raha ke eidt kerney ke baad neechey uska signature bhi nazar ata hey

hazoor ab agr maiN nay iss issue per kuch kaha tu app ko shayad mazeed bura lagay...

agr app kisi post ko edit ker rahay hooN tu yeh Editor ( agr woh aam poster na ho) tu iss key marzi per hota hay kay woh edit kay option ko check karay ya na karay// check kernay key surat maiN app kay bayan kerda line aa jatee hay aur na kernay key surat maiN nahi aati per edit ho jata hay.. Abu Adnan Bhai amooman aisay hi kertay haiN woh Option ko check nahi kertay balkay khud hi add kerdaytay haiN kay yeh post kis nay edit key hay..

ab app ko chahiyee kay iss baat per bhi aR jayaiN kay aisa bilkul nahi hota.. aur agr hota hay kay tu Admins nay eak sochi samjhi sazish kay tehat app ko iss say agaah nahi kiya aur app nay bhi zaati tor per iss option ko check kernay key koshish nahi key.. agr uss check box kay baray maiN likha text hi paRh laiN tu shayad app yeh baat na kertay...
mujhay app kay Mental Level ka andaza ho gaya hay...

( and this also tells us kay AC counsel kay member key HC forum kay baray maiN info kitna advancede level per hay)
khan_amer
QUOTE(MJB @ Jan 23 2007, 11:55 AM) *
Masla mujhey aap ki taraf lag raha hey,,, aur agar aap poori post jo ke aap ke paas saved shuda hey,,,, neutral ho ke parhain tu shayad andaza ho jaye ga ke aap ne merey question ko clearify kerney ki bajaye issey personal banatey hue tanzia batain start ker din,,, khud nazar na aye tu kissi 3rd neutral person se parhwa lain.

aur jo 2 refernce aap ne opper quote kye merey questions ke,,,, wo donon mukhtalif replies ke hain,,, aur second tab kya tha jab aap ne off the topic reply kya,,,, agar app merey replies ghor se parhtey hotey tu start main hi daikh laitey,,,,, aur itni lambi baat na hoti,,, aur meri nishandahi pe aap wahan tak pohanchey hain

mujey aapki theory se ikhtalaf hey,,, issi liye main ne examples di hain,,, jinhain aap pahley jang-moa'rkey ki taraf le gye,,, aur jab wahan baat nahin bani tu NA KHAIDAAN GE NA KHAIDAN DIYAN GEY ki policy apna li,,,,, baat mujhey sirif itni si lag rahi hey ke apki ego apko iski ijazaat nahin daiti ke koi aap ko negate karey,,,, aur aisa kerney wala apko bad-hawas aur bontera hua lagta hey,,,,,,,,, its simple

hazrat itna garam kyoN ho rahay haiN... app kay hi do sawalaat ko maiN nay compare kernay kay koshish key hay... iss maiN ghabranay ya germi khanay kay kiya baat hay. haqeeqat yahaaN per sab kay saamnay hay uss rehnay daiN.. logooN ko bhi pata chalay kay app agr sawal ankh ker rahay hooN tu app matlab ankh nahi goTna hi hota hay...

haaN app ko bhi meray yehi mashwara hay.. infact iss say pehlay bhi diya hay kay app post paRhaiN agr app ko jawab nahi milta tu batayaiN maiN aisi post maiN say app ko jawab copy paste ker dooN ga.. udher kyoN nahi aatay ( shayad post paRhnay ka masla ho) aur dosra maiN nay post maiN hi kuch sawal kiya jisay app aisi kisam key batooN maiN uljhanay lagay.. app say yeh kaha kay agr app ko woh sawal nahi mil rahay tu batayaiN app kay asaani kay liya unhaiN bhi copy paste ker dooN.. per app haiN kay non-issue skey tarf bar bar jatay haiN aur issues say bhagtay jatay haiN...
MJB
QUOTE(khan_amer @ Jan 23 2007, 10:56 AM) *

aap apney on the topic question 1 sath bata dain,,, ta k eyeah sikwa na rahey ke main ne falan sawal ka jawab nahin diya

aur agar aap ne ghor kya o tu main aap ko topic pe rakhney ke liye apkey off the topic batoon ka jawab nahin de raha,,, aur yeah edit iss liye ker raha hoon ke shaid aap ki nazar nahin pari meri kisi edited post pe ke main ne issey enable rakha hua hey,,, ab please on th topic rah ke baat karain
khan_amer
QUOTE(MJB @ Jan 23 2007, 01:05 PM) *

app key yeh post paRh ker mujhay pura andaza ho gaya hay kay app kahaaN say bol rahay haiN...

Janaab ab qisa yeh hay ( baqool app kay ) kay maiN off topic hooN.. aisa karaiN aur yeh normal practice bhi hay... kay meray off-topic apnay replies aur un say realted meray off-topic reply quote ker daiN.. ta kay maiN apni islaah ker sakooN...

baqi shuker hay kay app ko Edit ka checkbox tu nazr aya ...
MJB
QUOTE(khan_amer @ Jan 23 2007, 11:13 AM) *
app key yeh post paRh ker mujhay pura andaza ho gaya hay kay app kahaaN say bol rahay haiN...

Janaab ab qisa yeh hay ( baqool app kay ) kay maiN off topic hooN.. aisa karaiN aur yeh normal practice bhi hay... kay meray off-topic apnay replies aur un say realted meray off-topic reply quote ker daiN.. ta kay maiN apni islaah ker sakooN...
baqi shuker hay kay app ko Edit ka checkbox tu nazr aya ...

its again off topic responce,,, waiting for ur questions
khan_amer
QUOTE(MJB @ Jan 23 2007, 01:19 PM) *
its again off topic responce,,, waiting for ur questions

Nope, app nay ilzaam lagaya tu ussay prove karaiN.. warna abhi tak tu situation yehi kay app ilzaam lagaye ja rahay haiN aur jhooTay sabit hotay ja rahay haiN...

agr app yeh bhi nahi ker saktay...dosray lafzooN maiN app ko yehi faraar ka rasta nazr aya hay tu what can i do...
MJB
QUOTE(khan_amer @ Jan 23 2007, 11:21 AM) *
Nope, app nay ilzaam lagaya tu ussay prove karaiN.. warna abhi tak tu situation yehi kay app ilzaam lagaye ja rahay haiN aur jhooTay sabit hotay ja rahay haiN...

agr app yeh bhi nahi ker saktay...dosray lafzooN maiN app ko yehi faraar ka rasta nazr aya hay tu what can i do...

aap na tu sawal pooch rahey hain aur na hi merey sawaloon ke jawab de rahey hain,,, tu aisi soorat main yahan mera time waste kerna fazool hey,, i think yeah meri 3rd ya 4th request thi on the topic rahney ki,,, magar aap ki jo ravish start se chali aa rahi hey uss main koi faraq nahin para,,,, so thanks for ur post
khan_amer
QUOTE(MJB @ Jan 23 2007, 01:26 PM) *
aap na tu sawal pooch rahey hain aur na hi merey sawaloon ke jawab de rahey hain,,, tu aisi soorat main yahan mera time waste kerna fazool hey,, i think yeah meri 3rd ya 4th request thi on the topic rahney ki,,, magar aap ki jo ravish start se chali aa rahi hey uss main koi faraq nahin para,,,, so thanks for ur post

aur maiN bhi app say request ker chuka hooN per app shayad iss khouf say kay app ko topic paRhna na paRh jaye ya apnay lagaye gay ilzaamat ko prove na ker sakaiN.. uss tarf aa hi nahi rahay...

and iam BORED

bored2.gif
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2008 Invision Power Services, Inc.