kasay hain ap sab ...
aaj may ap k liya shafaq sis
aik khas masalay ki recipie share ker rahi hoon.
ye masala ap aik dafa may buhut sara bana ker fridge may rekh saktay
hain... haina good news
aur jab humay iss masalay say jo dishes banty hain pakana ho tuo
hum iss tayyar masalay ko use ker k apna thora sa waqt bacha saktay hain.
(ab kya sara waqt kitchen may guzarain
iss masalay say jo dishes banty hain wo...
1.. koftay
2..pasanday
3..galawatt ka qeema
4..tikka boti
abhi may 2 recipies bata rahi hoon inshaAllah jald baqy ki 2 bhi bataongy
aur han aik aur khas baat k
[b]qeema aur tikka boti ko ap akhir may BBQ smoke bhi day sakty hain
iss tarah apko lagayga k apnay BBQ GRILL may banayaen hain ..
uska tareeqa ye hoga k..
aik koyla ko chholay par Aag par rekh dain khob jalnay dain..
jab khoob garam hojayae tuo pehlay dish k andar piyaz ka chhilka
ya roti ka tukrra rekhain aur koyla ouper rekh dain..
fryingpan may thora only 1 or 2 tsp oil garam ker k koyla par dal dain
dhuaan bahar na nikalnay payae jaldy say dhakan rekh dain..[/b]
phit thory dair baad koyla aur jo piyaz ka chhilka ya roti rekhi thee
wo nikal dain. BBQ ka taste ajayga. [/b]
ab aap recipies perhiya aur mazay mazay k khanay banayaen
aur mujhay duaaon may yad rekhain
hamesha khush rahain


