QUOTE(Ghazal khushboo @ Mar 1 2007, 01:15 PM) [snapback]2244514[/snapback]
aray behna tumhare sher nay humko khob hansaya
wasay bhi aj hum subha say ro jo rahay thay ....
pata hay humaray ghar walay chahtay hain hum phir say montessori say perhayee start kerain
kyun k kisi ko humary batein samajh may nahi aaty
wasay tumko tuo ajaty haina

Array behna ye to bohat khushi ki baat hay, chalain ham dono hi motessori join kar letay hain sara din khail koodh kay ghar ain gay, ghar par khana taiyyar milay ga, phir ham dhair sara soin gay phir uth kay cartoons daikha karain gay phir bahir khailnay jain gay, peengain lain gay, cycle chalain gay, baraf pani khailain gay, dukan say toofian lain gay guriya ki shadi karain gay etc. etc. etc. aur phir khana kha kar soo jain gay... Har din tehar par nai kapray bhi milain gay aur eidi bhi

Na fikar na faka ayesh kar kaka