khan_amer
Jan 21 2007, 02:09 PM
Iss sadgee per kon na mar jaye...
agr maiN iss baat per herat ka izhaar karooN tu log mujhay kiya kahaiN gay:
Samnay khayee aur maiN jantay bhoojtay bhi gaRi puri raftaar say uss taraf doRay'e ja raha hooN.. aur girnay key surat maiN mera anjar panjar dhela ho jaye ya mout waqya ho jaye... tu iss maiN herani key baat nahi honi chahiyee... balkay " yeh tu hona hi tha " wala attitude hona chahiyee...
in bachooN ka iss maiN koy qasoor nahi woh masoom heiN.. unhaiN ju sikha'yeiN gay woh howi seekhaiN gay... kasoor tu hamara hay.. her gher meiN cable aur jab cable nahi thee tu Dish aur jab dish nahi thee tu DD1 dekhnay kay liya kisi eak gher maiN jama honay ka riwaaj.. aaj say tu na tha.. .yeh tu 2 daha'iyooN say chala aa raha tha.. ab tu nateeja ana shoroo ho gaya hay...
ab herat kyoN.. ab yeh sawal kyoN...
waisay kiya aisa mumkin hay kay koy aisay schools kay kerta dharta'ooN kay samnay apna ahtayjaaj record kerwa sakay.. ya ahtayjaajan apnay bachooN ko aisay schools say nikal ker kaheeN aur paRha sakay