khan_amer
Jan 22 2007, 10:51 AM
Islami Tareekh aisay waqayaat say bhari paRi hay jab HukumranooN nay khulay bandooN na sirf Qurani Ahkamaat ka mazaq uRaya balkay iss kay tehat zindagee guzarnay walooN per arsa-e-hayaat bhi tang ker diya... br'saghir maiN aisi sab say baRi misaal Mughal Badshah Akber key hay.. Jis nay Deen-e-Illahi kay naam say naya mazhab ijaad kiya aur issay qabool na kernay walooN per ya iss kay khilaaf bolnay walooN per panbandiyaaN lagayeeN gayeeN ya un sakhtiyaaN key gayeeN...
Aisay waqay maiN Mujadid Alf Sani (RA) key misaal hamaray samnay hay, unhooN nay Akber kay paida kerda iss fitnay key baikh'kuni kernay kay liya bara'hayraast tasadum nahi kiya.. balkay logooN key zehni aur deeni tarbiyat shoroo ker dee... go iss zamn maiN unhaiN kuch sakhtiyaaN bhi br'dasht kerni paReeN per woh apnay mission pr DaTay rahay... issi hikmat-e-Amli ka nateeja tha kay Akber kay martay hi uss ka deen-e-Illahi bhi mar gaya...
hamaray ulema ( agr un key niyat saaf hay ) yu un kay liya above hikmat-e-amli eak roshan misaal hay...
tasadum say sirf aur sirf Agitation baRhay ga... jis ka faida kabhi bhi ulema hazraat ko nahi hoga... log in say hi nalaaN ho jayaiN gay... behtreen tariqa yehi hay kay logooN key zehni aur deeeni tarbiyat key jaye..... iss say pehlay bhi MasijdaiN shaheed hoteeN raheeN aur bantee raheeN.. Islam kisi masjid ya mazaar ka paband nahi.. yeh tu dilooN maiN uternay walay mazhab hay... jahaaaaN koy MuslmaaN namaz kay liya khaRa ho gaya wohi jaga uss key masjid hoti hay...
Pehlay masjid maiN namazi jama kernay haiN.. namazi hooN tu MasjidaiN shaheed nahi hoteeN aur agr namazi na hooN tu khali masjidooN key koy ahmiyaat nahi hoti...