Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Eak Indian Politician
HulChul.NET > Current Affairs & Politics > Current Affairs / Kashmir Issue
khan_amer
Khalish
Buhot umdah post hai gp.gif

Jo baat maiN samajhne se qaasir hooN voh yeh hai keh hum comparison (mawaazne) ke liye Indian Politicians ki taraf kyoN daikhte haiN? Ataa Turk, Ex-Shah Iran, Husni Mubarak, Saddam Hussain, Hamad Karzai etc. bhi tu mojood haiN? Jaisi inhoon ne jotooN meiN daal baaNti ussi tarah hamaare mulk meiN bhi bat.ti hai.

Aik extremly high class politics se hamaara kya waasta .. yahaan tu kam aqal fouji (jo apne aap ko aqal.e.kul samajhte haiN) maaee baap haiN aur her koi unke boot apni zabaan se saaf karne ki khawahish rakhta hai keh usski daal rooti ka bandobast chalta rahe.
khan_amer
QUOTE(Khalish @ Jan 24 2007, 09:27 AM) [snapback]2225661[/snapback]
Buhot umdah post hai gp.gif

Jo baat maiN samajhne se qaasir hooN voh yeh hai keh hum comparison (mawaazne) ke liye Indian Politicians ki taraf kyoN daikhte haiN? Ataa Turk, Ex-Shah Iran, Husni Mubarak, Saddam Hussain, Hamad Karzai etc. bhi tu mojood haiN? Jaisi inhoon ne jotooN meiN daal baaNti ussi tarah hamaare mulk meiN bhi bat.ti hai.

Aik extremly high class politics se hamaara kya waasta .. yahaan tu kam aqal fouji (jo apne aap ko aqal.e.kul samajhte haiN) maaee baap haiN aur her koi unke boot apni zabaan se saaf karne ki khawahish rakhta hai keh usski daal rooti ka bandobast chalta rahe.

hamaray iss in na'ahl hukmraanoN aur so called Ellite class kay iss raw'iya key eak wajah ju mujhay samajh ayee hay woh kuch iss taraah say hay:

yeh baat tu ham sab jantay haiN kay HInd per muslmanooN key hakomat thee, aur angraizooN ko yeh hakomat Meer Sadiq aur Meer Jafar jaisay logooN key madad say hi mili, yeh log insanooN key ghaTiya tareen kisam maiN say thay... AngraizooN nay inhay in key WAFADARI key silay maiN woh jageeraiN aur zameenaiN deeN ju unhooN Nay Hura'it PasandooN say cheeni theeN...

Pakistan kay bd.qismati kay zamam-e-iqtaydaar inhi logooN kay haath maiN aaya.. aur GHULAM DR GHULAM zehniyat kay log hamaray hukumraaN ban baiThay...

Dosri tarf India nay, Azaadi hasil kertay hi aisi tamam jageeraiN zabt ker leeN aur un Jageer'darooN... nateeja aaj wahaaN per Lalu Parasad jaisay aur Man.mohan Singh jaisay logooN kay haath maiN iqtaydaar hay...

Abu Adnan
QUOTE(khan_amer @ Jan 24 2007, 12:46 PM) [snapback]2225680[/snapback]

abhi last week hi mujhay "parveen haidree" naami poettes ka shairee majmooa milaa ... baa.wasaail aur haseen o jameel khawateen k shairee maj'moo.ay kiss tarah wajood maiN aatay haiN balkay yeh khud kiss tarah shaair banti haiN yeh aik alag topic hai jiss par yahaaN guftagoo karna maqsood naheeN....

iss book k deebachay maiN mohtarma nay apna shajra bhi pesh kia hai k falaaN falaan maaroof o ghair maroof adeeb o shaair say hamari falaaN falaaN qism ki rishtah daari hai etc etc .... aur aham tareen baat inhouN nay "fakharya" yeh batlayee k hamaray daadaa yaa pardaadaa ko angrezouN nay falaaN falaaN jageer ataa ki thee kiyouN k mausoof nay 1857 ki jangay aazaadi maiN falaaN falaaN angrezouN ko apnay ghar maiN panaah day kar onki jaan bachayee thee.

mujhay to parveen haidree saheba ki yeh ada bahoot pasand aaye k nah sirf onhouN nay ASAL baat batla dee balkay iss par fakhar ka izhaar bhi kia .... iss maj'moo.ay par pakistan k maroof adeeb o shaair ki roy /tabsaray bhi maujood haiN. shayad onki nigaah say bhi shairah ki yeh baat guzri ho.

to bhai meray ... yeh to onkay liyeh wajah e iftekhaar hai .... agar woh kal jangay azaadi maiN muslims ki safouN maiN rahtay howay angrezouN ki khidmat karnay par faklhar mahsoos kartay thay to aaj pakistan maiN rahtay howay pakistan k khelaaf kaam karnay maiN fakhar kiyouN nah mahsoos karaiN. woh apni khoo kiyouN badlaiN .....
1-jokes.gif 1-jokes.gif
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2008 Invision Power Services, Inc.