QUOTE(Ghazal khushboo @ Jan 27 2007, 05:25 PM)

Mamoon.ur.Rasheed key ilm dosti say koy bhi inkaar nahi ker sakta.. inhi kay dor ka waqaya hay kay Mamoon ko Yonani(GREEK) falsafay aur ilm-e-mantaq key zaroorat mehsoos howi tu iss nay Qaisar-e-Rome kay pass eak sifarat bhaiji jis maiN in aloom say mutaliqa kitabooN key demand/request key gayee...
Qaisar pehlay tu Khalifa key demand puri kernay maiN Jhijak ka muzahira kiya phir uss nay apnay MasheerooN say mashwara kiya jinhooN nay uss kaha kay app yeh kitabaiN inhay day daiN.. kyoN kay aaj tak MuslmaanooN key qabiliyaat ka raaz in key amliyat maiN hay. yeh kitabaiN inhay amliyaat say nikaal ker behas.o.mubahisooN maiN uljhaaN daiN gee.. in kay ander naye naye sochaiN aur ideas paida hooNgay aur in ka ijmaa khatam ho ker reh jaye ga....
daikh laiN yehi howa... aur mujh jaisay aaj tak sochtay haiN kay Mamoon nay yeh kitabaiN mangwa ker sahi kiya kay ghalat...