QUOTE(Ghazal khushboo @ Feb 1 2007, 03:55 PM)

nahi ap sahi keh rahay hain

ye zaroor mistyping huee hay sorry maiany note nahi kiya......
aur plz ap MOHAMMAD BIN QASIM k baaray may zaroor details batiya

buhut shukriya

Muhammad Bin Qasim jis dor maiN Hindustan ko Fataah ker rahay thay, woh dor muslim Tareekh maiN Hazrat Omer (RZA) kay dor kay baad sab say zyada fatoohaat ka dor tha...
Maghrib maiN Moosa bin Naseer Marakash key fataah kay baad Spain per hamla aa'wer thay, tu Mashriq maiN Muhammad Bin Qasim Darya-e-Sindh kay saath saath Agay baRhtay ja rahay thay, and Shumaal Mashriq main Qutaiba bin Muslim Almost saray Central Asia ko Fataah ker kay China key tarf Paish qadmi key tayaariyooN maiN masroof thay... kay achanak Damscus maiN Khalifa Waleed fout ho gaya aur uss key jagaaah Sulaiman bin Abdul Malik Khalif aban gaya...
Khalifa bantay hi iss nay sab say pehlay apnay DushmanooN key khabr lee -yani un afraad kay rishtay'darooN ko saza milni shoroo howi jinhooN nay kabhi Sulaiman bin Abdul Malik key mukhalifat key thee...
Hajaaj bin Yousaf aisay logooN maiN sab say numaya tha jin kay nazdeek Sulaiman Khalifa banay ka ahal na tha... per Hajaaj Sulaiman kay khalifa banay say pehlay hi fout ho gaya.. aur Sulaiman ka Sara nazla Muhammad bin Qasim per gira... Aur Muhammad bin Qasim ko AziyataiN day day ker Shaheed ker diya gaya...
yehi salook Sulaiman nay Mousa bin Naseer kay saath rawa rakha aur ussay bhi jail maiN band ker kay AaziyataiN dee gayeeN...
Qutaiba bin Muslim nay jab in dono Mashoor aur Ma'aroof SalarooN ka yeh anjaan dekha tu woh Khalifa-e-Waqt kay bula'vay per Qasr-e-Khilafat na gaya balqay Ro-posh ho gaya aur ussi roopashi key haalat maiN uss ka intayqaal ho gaya...