Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Questions
HulChul.NET > Religions > Islam
muskan_kaun
Salam..

Mujhy Do sawalon ke jawab chaya Buhath Jald..


1. Agar kisi ne man'nat mani ho kah Falah murad Pori hone pai shukarany ke rozay rakhon gi/rakhon ga aur wo murad poori hojati hai to Kya Dono rozay continuously rakhna zaroori hai?

2. agar ek roza rakhte hain baqaida sehri kar ke laikin dosre rozay mai ankh nahi khulti ho to Bina khaye piya roza rakh lya jaye to kya roza hojaye ga? ya faq mai ay ga?

3. Agar Nafli roza jo kah shukranay ke toor pai rakha gaya ho agar rozaidar shaks Asar ki namaz phr ke so jata hai aur Maghrib ke aazan ke 20 - 25 minute ke baad Ankh khulti hai to wo Ifatir karta hai to kya is tarha roza hojata hai? kyun kah maghrib ke 20 se 25 minute ke baad wo Iftair karta hai..


Mujhy app logo ke jawabat ka intaizar raihai ga..

shukriya
*handsome*
QUOTE(muskan_kaun @ Feb 5 2007, 08:31 PM) [snapback]2230674[/snapback]
Salam..

Mujhy Do sawalon ke jawab chaya Buhath Jald..
1. Agar kisi ne man'nat mani ho kah Falah murad Pori hone pai shukarany ke rozay rakhon gi/rakhon ga aur wo murad poori hojati hai to Kya Dono rozay continuously rakhna zaroori hai?

2. agar ek roza rakhte hain baqaida sehri kar ke laikin dosre rozay mai ankh nahi khulti ho to Bina khaye piya roza rakh lya jaye to kya roza hojaye ga? ya faq mai ay ga?

3. Agar Nafli roza jo kah shukranay ke toor pai rakha gaya ho agar rozaidar shaks Asar ki namaz phr ke so jata hai aur Maghrib ke aazan ke 20 - 25 minute ke baad Ankh khulti hai to wo Ifatir karta hai to kya is tarha roza hojata hai? kyun kah maghrib ke 20 se 25 minute ke baad wo Iftair karta hai..
Mujhy app logo ke jawabat ka intaizar raihai ga..

shukriya



Kiaa app ko lagta hay kay Mannat Islam may jaiz hay ?

Well may Mannat wegyra ko nahi manta kun kay may nay abhi tak is ki koi bhi misaal PBUH sunat-ya Quran say nahi dekhi. Wesay bhi every body know Mannat Hindu nisam say Pakistan kay logo may ai thi

any ways May app ko asy hi bata deta jo Ramzan kay rozay may hota hay. Islam is dunya ka sab say sada or asaan mazhab hay ager kisi waja say dosra Roozay may kisi waja say ankh na khulay to us say koi farq nahi perta (bashart yeah kay app jaan booj ker dair say na uthi ho) asy moqay per yai uthnay may dair ho jay to app jis time uthay ho us waqat sehri ekr lain chahay wo subah ka y7 bhi kun na baj rahay ho App ka Roza qabool ho jay ga.

Je ha ager app dair say uthi ho (bashart yeah kay jaan booj ker na uthi ho) to app chahay 3 ghantay dair say kun na uthi ho ap roza khool sakti hay app ka roza ho jay ga.

Wesay let me know the meaning of Mannat kafi indian drama's may yeah word sona hay may nay ab app is ka matlub bhi bata dain

Khush rahain
handsome
muskan_kaun
aray bhai mujhai bhes nahi krni hay kisi maamlay mai... agar kisi ko yahan pai mere kiye huai sawaalat ka jawabat aati hain to please do reply here ..
hum app ke kafi mashkoor raihain gay..
app sab ki jawabat ki talubgar..


shukriya..
khan_amer
QUOTE(muskan_kaun @ Feb 6 2007, 12:43 PM) [snapback]2231267[/snapback]
aray bhai mujhai bhes nahi krni hay kisi maamlay mai... agar kisi ko yahan pai mere kiye huai sawaalat ka jawabat aati hain to please do reply here ..
hum app ke kafi mashkoor raihain gay..
app sab ki jawabat ki talubgar..
shukriya..



Jab Quran.o.hadees maiN eak Cheez ka hawala mojood hi nahi hay tu uss baat ka jawab Quran.o.hadees key roshni maiN kaisay diya ja sakta hay?

Agr koy particular Dua key manzoori kerwani hay tu behtreen tareeqa Allah tala kay hazoor Dua key jaye, aur sidq-e-dil say key jaye, phir agr woh cheez app kay liya behter howi tu mil jaye gee.

Dua kay qabooliyat kay mukhtalif auqaat bayaan kiya jatay haiN per behtreen wohi hay jis waqt app asaani say ker sakaiN.

Agr koy kisi cheez key talb thee aur woh puri ho gayee hay tu uss per Allah tala ka shuker ada karaiN, NamazaiN qayam karaiN, Quran ko Samjh ker paRhaiN aur uss per amal kernay key koshish karaiN.
khan_amer
QUOTE
3. Agar Nafli roza jo kah shukranay ke toor pai rakha gaya ho agar rozaidar shaks Asar ki namaz phr ke so jata hai aur Maghrib ke aazan ke 20 - 25 minute ke baad Ankh khulti hai to wo Ifatir karta hai to kya is tarha roza hojata hai? kyun kah maghrib ke 20 se 25 minute ke baad wo Iftair karta hai..


meri maloomat kay mutabiq iss taraah roza ho jata hay... unless and untill yeh ghaflat intentional na ho...
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2008 Invision Power Services, Inc.