Janaan!!!!
Sach kahnaa
aaina deykhtii hoo
kia kahta hey woo
sach hii kahta hoo ga
jhoot kabhii naheyn boolta woo
muhabbat hey kiaa
kahtey heyn kissey waffa
kuch bhee naheyn iss sey chuppa
pochna kabhii iss sey
sabhii kuch bata dey gaa
dill mein chuppa choor bhee
jaan leyta hey woo
aankhoon key saarey rang bhee
pahchaan leyta hey woo
jaanaan
sach kahna
sada key jeysey
jhoot ka sahaara na leyna
aaina deykhtii hoo
kia kahta hey woo
mujhey yaqeen hey
gumaan naheyn
hoslaa sach sahneyn kaa
tum mein merii jaan naheyn
deykh kar aaina
chahraa tumhaara
uttar jaata hoo gaa
yaa aaina tumheyn deykhneyn sey
mukkar jaata hoo gaa,,,,,,,,,,,,,,,,,,
APNI IK TAAZA NAZAM AAP KII NAZAR