QUOTE(Shokh @ Mar 10 2007, 04:20 PM) [snapback]2249625[/snapback]
It's quite a lenghty but to make the long story short:
1. Limitations can be defined as independence.
2. Rights can be defined as fight against discrimination.
QUOTE(Shokh @ Mar 10 2007, 04:20 PM) [snapback]2249625[/snapback]
It's quite a lenghty but to make the long story short:
1. Limitations can be defined as independence.
2. Rights can be defined as fight against discrimination.
1) Independence??? again Independence of what and from what!!!!
her ma'shra aur mazhab kuch na kuch hadood aur qayood muta'in kerta hay, yeh hadood kisi bhi fard key azaadi salb kernay kay liya hotay balkay ijtay'ma'ee tor per kisi bhi mashray kay baqa aur istehkaam kay liya waza kiya jatay haiN.
aurat ko gher ka task diya gaya hay, jisay aaj key duniya aur economy yeh qabool kernay say inkaari hay aur ussay gher say bahir nikalnay per ba'zid hay...issi cheez nay aaj key aurat ko mazeed ghulam bana diya hay.. pehlay uss per sirf eak so-called Hakim tha, ab daftri bosses key surat maiN kayee haiN... pehlay uss key awal.o.aakhir zimaydari amoor-e-khana dari thay, ab additional zimadariyaaN bhi haiN yani ab ussay bhi mardooN kay shana'ba'shana kaam kerna paRta hay and at the same time gher bhi manage kerna paRta hay...
hamara aaj ka adab aur falsafa aisi aurat ko azaad aur khud mukhtaar kehta hay.. jisay gher'dari kay saath saath gher chalanay kay liya wasa'yel bhi muhiya kernay paRtay haiN... na'janay kyoN aurat shayad issay hi INDEPENDENCE samajh ker khush hotee rehtee hay.. jab kay otherwise So called Slavery maiN ussay 50% kaam kerna paRta hay aur yet she rules...
ab agr Independent aurtooN kay falsafay ko mard bhi apna'na shoroo ker daiN yni jiss taraah mard ko gher ka kafeel banaya gaya hay... kiya kabhi kisi mard ko yeh kehtay suna hay kay meri Income key X % meray gher maiN muqeem logooN per kharch hotee hay west maiN this can be the case per east maiN mujhay zati tor per iss ka ilm nahi, agr hay bhi tu shayad buhat kam...
2) Discrimination>>>
agr tu yeh laRki key taleem/khurak aur issi taraah key bunyadi haqooq kay silsilay maiN tu kernay walay intay'ha'i ahmaq aur gadhay haiN... i agree to this point