Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Hamara Zamana Accha Tha
HulChul.NET > Masti - Masti > Baat-Cheet
Pages: 1, 2
*DhanaK*
salaam alaikum
aaj ke jo youngsters hain woh apne buzurgon se yehi sunte hain ke "bhai zamana to pehle ka accha tha" ab jo yeh kehte hain unhone same statement apne buzurgon se suna to actually zamana kaun sa accha tha,kya koi naheen?
KHAL NAYAK
zamana tu zamanay walon say hota hay.

jab hum us age main hon gay tu sayad hum bhi yahi kahain gay.

waysy app zamanay ki kiss batt per keh rahi hain?
*DhanaK*
QUOTE(KHAL NAYAK @ Mar 16 2007, 09:19 PM) [snapback]2255113[/snapback]
waysy app zamanay ki kiss batt per keh rahi hain?

everything,mehgaayi,be sukooni,bad amani,be barkati,,badgumaani,, yahi sab
pehle wale kehte hain rookhhi sookhhee khate the khush to rehte the.
bas har zamana pehle wale zamaane ko yaad karta hai ke kya din te!
Laila
Salam Aapi 1-kahani.gif

bilkul sahi baat layee hain, ham apnay buzurgon say yehi suntay aye hain,,aur even ke ham apnay bachon say ab yehi kehtay hain..ke hamara zamana acha tha..tabb sab kuch bohat asaan tha,,even ke media bohat compose tha, ..bachay tameez daar thay, ham apnay bachon ko yehi misaal detay hain..ke ham nay apnay Amma Abba kay samnay kabhi oonchi awaz main baat takk nahin ki thi...

aaj kal kehtay hain ke Parents aur bachon main frndship honi chaeyay...kuch samajh nahin aata ke kon si logic behter hai,

kabhi kabhi to mujhay lagta hai..yeh baat sach hai..ahista ahitsa zamana waqai mushkil aur complex hota ja raha hai..waisay bhi qayamat ki nishaniyan zahir honay lag gayee hain..to sab kuch mushkil hi ho ga....

dekhtay hain..aagay yeh ZAMANA kya rung dikhata hai.
Laila
QUOTE(KHAL NAYAK @ Mar 16 2007, 04:19 PM) [snapback]2255113[/snapback]
zamana tu zamanay walon say hota hay.

jab hum us age main hon gay tu sayad hum bhi yahi kahain gay.

waysy app zamanay ki kiss batt per keh rahi hain?

aap bhi bilkul theek keh rahay hain Khal Nayak Bhaiya, Zamana zamanay walon say hota hai..lekin kya aap nay yeh feel nahin kiya..ke abhi although ke itna zamana change nahin howa, lekin ham fir bhi 5-10 saal peechay kay zamanay ko kabhi kabhi yaad kertay hain..aur us ki tareef bhi ker letay hain.?
1-afsana.gif
seemaf
salam.gif Shafaq jee rose.gif

Hamesha ki tarah buhat achhi post yes.gif

Ji ap theek keh rahi hian ke Waaqi WOH zamana achha tha... aur main Laila ki baat se bhi poori tarah agree karti hoon 0-25_coolguy.gif ... Aj kal ke zamaney main har cheez buhat fast hai... kisi ke paas khud apne liye time nahi to doosrey ko kiya de ga ..... pata nahi sab kahan bhagey ja rahey hain dunno.gif

Itna sudden change aya hai ke aqal hairan hai 1-think.gif
KHAL NAYAK
Dunyain Fana honay kay liye hay. isi liye yeab sab waqt kay sath sath bharta hi jaye ga.
*DhanaK*
QUOTE(Laila @ Mar 17 2007, 05:09 AM) [snapback]2255252[/snapback]
Salam Aapi 1-kahani.gif

bilkul sahi baat layee hain, ham apnay buzurgon say yehi suntay aye hain,,aur even ke ham apnay bachon say ab yehi kehtay hain..ke hamara zamana acha tha..tabb sab kuch bohat asaan tha,,even ke media bohat compose tha, ..bachay tameez daar thay, ham apnay bachon ko yehi misaal detay hain..ke ham nay apnay Amma Abba kay samnay kabhi oonchi awaz main baat takk nahin ki thi...

aaj kal kehtay hain ke Parents aur bachon main frndship honi chaeyay...kuch samajh nahin aata ke kon si logic behter hai,

kabhi kabhi to mujhay lagta hai..yeh baat sach hai..ahista ahitsa zamana waqai mushkil aur complex hota ja raha hai..waisay bhi qayamat ki nishaniyan zahir honay lag gayee hain..to sab kuch mushkil hi ho ga....

dekhtay hain..aagay yeh ZAMANA kya rung dikhata hai.

hmmm jahan technology ne aasaaniyaan deen wahan logon ne uska ghalt istemaal bhi shuru kar diya hai.

bacchon ki upbringing par tumhare liye yahan kucch quote kar rahi hoon
Imam Ali wrote a will to his son Imam Hasan advising him on how to live in this world.
..."certainly,the heart of a young man like uncultivated land,It accepts whatever is strewn on it,So I hastened to mould you properly before your heart hardens up and your mind gets occupied,So that you may be ready to accept through your intelligence,the result of experiences of others adn be saved from going through these experiences yourself".
Nehjul Balagha,Letter 31

that was a quote from a book i bought titled "raising children"

jahan tak parents aur bacchon mein dosti ka talluq hai na parents ko strict hona chaiye na hi bilkul free hona hai ek very fine line hai jo beech mein hai.mushkil hai balance karna lekin koshish karein aur Allah paak se dua karein har roz .

shayed har aane wala zamaana thora aur bura ho jata hai isliye pehle zamane wale kehte hain hamara zamana accha tha.
thanks for the reply Laila

*AaNsoo
hmmm i agree with u shafaq
*DhanaK*
QUOTE(Laila @ Mar 17 2007, 05:11 AM) [snapback]2255254[/snapback]
aap bhi bilkul theek keh rahay hain Khal Nayak Bhaiya, Zamana zamanay walon say hota hai..lekin kya aap nay yeh feel nahin kiya..ke abhi although ke itna zamana change nahin howa, lekin ham fir bhi 5-10 saal peechay kay zamanay ko kabhi kabhi yaad kertay hain..aur us ki tareef bhi ker letay hain.?
1-afsana.gif

zamaana aage zuroor barh raha hai lekin improvement naheen hai.
*DhanaK*
QUOTE(seemaf @ Mar 17 2007, 03:13 PM) [snapback]2255573[/snapback]
salam.gif Shafaq jee rose.gif

Hamesha ki tarah buhat achhi post yes.gif

Ji ap theek keh rahi hian ke Waaqi WOH zamana achha tha... aur main Laila ki baat se bhi poori tarah agree karti hoon 0-25_coolguy.gif ... Aj kal ke zamaney main har cheez buhat fast hai... kisi ke paas khud apne liye time nahi to doosrey ko kiya de ga ..... pata nahi sab kahan bhagey ja rahey hain dunno.gif

Itna sudden change aya hai ke aqal hairan hai 1-think.gif

waqai log tezi se bhaag rahe hain usse tezi se waqt bhaag raha hai (qayamat ki nishani).
kahan bhaag rahe hain log yeh ujlat kyun hai aapki tarah mujhhe bhi naheen maloom.
waqt ki taiz raftaari ka yeh aalam hai ke pehle ek week se doosre week ke darmiyaan waqfa hota tha,phir maheneon ke darmiyaan waqfa ab saal nikal jaate hain pata hi naheen chalta,ab to naye saal ke aane ki khushi bhi naheen hoti maloom hai bahot tezi se guzar jaayega.
*DhanaK*
QUOTE(KHAL NAYAK @ Mar 17 2007, 03:24 PM) [snapback]2255578[/snapback]
Dunyain Fana honay kay liye hay. isi liye yeab sab waqt kay sath sath bharta hi jaye ga.

fana aur baqa ko lof zehen mein rakhein to duniya badtari ki taraf naheen behtari ki taraf jaana chahiye yeh soch kar ke Allah ko muh dikhaana hai,magar naheen we don't have time to think aur Qur'an paak mein irshaad e Rabbul izzat hai"why don't you think???.
*DhanaK*
QUOTE(shafaq @ Mar 18 2007, 03:16 AM) [snapback]2255962[/snapback]
waqai log tezi se bhaag rahe hain usse tezi se waqt bhaag raha hai (qayamat ki nishani).
kahan bhaag rahe hain log yeh ujlat kyun hai aapki tarah mujhhe bhi naheen maloom.
waqt ki taiz raftaari ka yeh aalam hai ke pehle ek week se doosre week ke darmiyaan waqfa hota tha,phir maheneon ke darmiyaan waqfa ab saal nikal jaate hain pata hi naheen chalta,ab to naye saal ke aane ki khushi bhi naheen hoti maloom hai bahot tezi se guzar jaayega.

wa alaikumsalaam seema smile.gif
aur shukriya rose.gif
*DhanaK*
QUOTE(*AaNsoo @ Mar 17 2007, 11:44 PM) [snapback]2255897[/snapback]
hmmm i agree with u shafaq

shukriya and welcome to HC our family forum rose.gif
Abdullah
QUOTE(KHAL NAYAK @ Mar 17 2007, 12:19 AM) [snapback]2255113[/snapback]
zamana tu zamanay walon say hota hay.

jab hum us age main hon gay tu sayad hum bhi yahi kahain gay.

waysy app zamanay ki kiss batt per keh rahi hain?

Bilkul sahi kaha, har generation new generation ko apnay zamay ki misaal deti hay, kay hamaray zamanay main yea hota tha 0-17_wink.gif
lakin un ko dono sides say sochna chahiye na kay us zamanay main aur is Zamany main taraqi barhi hay to mehgaye barhi hay, etc etc achi buri chezain bhi saath sath hi barhti hain
silenteyes
zamana kon sa acha hai or kon sa nahi'n...is ka koi absolute answer nahi. balkay relative answers hain. or wo answers jawab dene walay ki soch par depend karte hain..

agar koi saadgi'pasand or tehzeebi iqdaar ko azeez rakhne wala hai to us ka jawab ho ga kay purana zamana acha tha kiyunkay us main log saada thay. namood'o'numayesh ka rujhaan nahin tha... bughz, keena, hasad, chori ,chukaari, daakay nahin thay... baro'n ki izzat thi.. etc. etc.

agar koi jiddat pasand or technology lover is ka jawab day to yaqeenan kahay ga kay aj kal ka zamana acha hai kiyunkay is main ahamre paas wo sahooltian hain ko kabhi bhi nahin thi'n. computer, mailing systems, airplanes, electricity, cars, pecheeda baimariyo'n kay ilaaj etc. etc. sab kuch aj kal kay zamanay main hain or old ages main nahin thay so yai zamana acha hai.

mixed thinking walay kahian gay kay kuch cheezain purane zamany ki achi thi'n or kuch aj kal kay zamanay ki achi hain..
Shokh
Bohat acha topic uthaya hay aap nay Shafaq behna rose.gif

Mera khiyal hay kay buri har zamanay may thi, hay aur rahay gi. Tarekay'kar badaltay ya advance hotay gai aur wakt kay sath sath ham may awerness zada hoti ja rahi hay.

Aaj kal takribaan har cheez kay statistics majood hain aur media, internet, telphone ki soholiyaat muyasir hain.

Apka kia khiyal hay ?
KHAL NAYAK
@ shafaq

agar log ALLAH say dartay tu yeah topic hi start na hota.

bethar hall yeah hay kay app kisi Kharabi ya buraye ha Hissa na Banye.

khan_amer
meray khayal say zamana tu qayam hay. yani jamid hay, evolution logooN maiN ata hay, her dor ka insaan pichlay insaan kay tajrubaat say seekhta hay, yani ju sabaq kisi nay 4o/45 saal key umr maiN seekha, uss say agli nasal ka insaan wohi sabaq 20 saaal aur uss say agli nasal ka insaan uss say bhi pehlay paRh layta hay. nateeja woh pichlay say agay nikal jata hay.

above theory ko valid sabit kernay kay liya Scientifi taraqi hi kafi hay.. 100 saal nahi guzray kay insaan mamooli bukhaar ka sahi ilaaj nahi ker sakta tha, aaj bukhaar kay liya kisi baqayeda tabeeb key zaroorat nahi rahee..

isi evolution key eak negative side bhi hay.. jaisay kay uper medical science key misal dee hay.. issi misaal ko agay baRhtay howay yeh bhi daikhaiN kay ab Bukhar tu koy masla nah raha per dosray un-countable dieases aa chukay haiN aur baqoool shakhsay doctors baRi mehnat say her roz eak nayee bemari ijaad ker laytay haiN.

we'll talk more on this later
*DhanaK*
QUOTE(Abdullah @ Mar 18 2007, 05:36 AM) [snapback]2256009[/snapback]
Bilkul sahi kaha, har generation new generation ko apnay zamay ki misaal deti hay, kay hamaray zamanay main yea hota tha 0-17_wink.gif
lakin un ko dono sides say sochna chahiye na kay us zamanay main aur is Zamany main taraqi barhi hay to mehgaye barhi hay, etc etc achi buri chezain bhi saath sath hi barhti hain

aapka point of view sahi hai tarqqi wala.lekin phir bhi aaj ke daur mein ujlat,besukkooni,inteshaar bahot zyadah hai,waqt bhi rait ki tarah haathion se phisla jata hai,hamse pehle ka zamana dekhe huwe log kehte hain ek ham waqt ko enjoy karte the ab ,,,,,. aaj sab se badi beemari stress hai,blood pressure,cholestrol,obesity yeh sab kyun hai hai sab hi stress related in one way or the other.
yeh point discuss karne wala hai ke stress isqadar haamri life mein kahan se agaya,zamane mein aisa kya huwa hai jo pehle naheen tha.

and thanks for the reply
aap sab se bahot kucch seekhna aur jannae ko milega ga,mashaAllah learned members hain sab hi jo ab tak share kar chuke hain apne khayalat
thanks toy all smile.gif happy to know ke positive aur kaaraamad baatein sunne aur parhne ko mileingee aapsab ki shirkat ki wajah se.
*DhanaK*
QUOTE(silenteyes @ Mar 18 2007, 04:03 PM) [snapback]2256321[/snapback]
zamana kon sa acha hai or kon sa nahi'n...is ka koi absolute answer nahi. balkay relative answers hain. or wo answers jawab dene walay ki soch par depend karte hain..

agar koi saadgi'pasand or tehzeebi iqdaar ko azeez rakhne wala hai to us ka jawab ho ga kay purana zamana acha tha kiyunkay us main log saada thay. namood'o'numayesh ka rujhaan nahin tha... bughz, keena, hasad, chori ,chukaari, daakay nahin thay... baro'n ki izzat thi.. etc. etc.

agar koi jiddat pasand or technology lover is ka jawab day to yaqeenan kahay ga kay aj kal ka zamana acha hai kiyunkay is main ahamre paas wo sahooltian hain ko kabhi bhi nahin thi'n. computer, mailing systems, airplanes, electricity, cars, pecheeda baimariyo'n kay ilaaj etc. etc. sab kuch aj kal kay zamanay main hain or old ages main nahin thay so yai zamana acha hai.

mixed thinking walay kahian gay kay kuch cheezain purane zamany ki achi thi'n or kuch aj kal kay zamanay ki achi hain..

technology se related paragraph accha hai aapka,sahoolatein huin hain no doubt.
bughz keena hasad yeh sab hamesha se hai lekin ab shyed logon mein sabr hi hadd kahtam ho gayi hai,inkisaari ko zung lag gaya hai,dil chhot eoh gaye hain,ab logon mein bardaasht bahot kam ho gayi hai.Buzurg to har daur ke yahi kehte hain ke bahi jaisi izzat hamne apne buzurgon ki kee hai waisee ab naheen dikhaayee deti,yahi Ustaad kehte hain ke janab ab woh shagird kahan.kahan kya badal gaya?
and thanks for the reply
*DhanaK*
QUOTE(Shokh @ Mar 18 2007, 04:13 PM) [snapback]2256326[/snapback]
Bohat acha topic uthaya hay aap nay Shafaq behna rose.gif

Mera khiyal hay kay buri har zamanay may thi, hay aur rahay gi. Tarekay'kar badaltay ya advance hotay gai aur wakt kay sath sath ham may awerness zada hoti ja rahi hay.

Aaj kal takribaan har cheez kay statistics majood hain aur media, internet, telphone ki soholiyaat muyasir hain.

Apka kia khiyal hay ?

shukriya Shokh
beshak phone net media have given us a lot,more than we dreamt of.yeh baat bhi sahi hai ke buraayi har zamaane mein thee.lekin aaj ke waaldein zyadah apreshan dikhaayee dete hain,bacche sunte naheen,dost ajeeb hain,haazirjawab hain,rishtedaaron mein aika naheen,qata e rehmi hai,rishton mein phoot hai,chaotic hai to sab kucch.i think needs kam theen pehle ke zamanon mein living requirements bhi mehdood theen,barkat bhi thee,miyaan kama kar laaye,biwi bacchon amma abba aur extebded family ne biatthkar khaya,khawateen ghar par,bacchon ki tarbiyat ke liye,ab khawateen kaam kartee hain,zurrotein barhi hain,zindgi ke taqaaze barhe hain,aurat ghar se baahar nikli hai,gha rka nizaam kucch to badalta hai,bacche kucch to neglect hote hain.
yeh barkat kahan gayi,aap dekhti hongi log barkat utth jaane ki baat karte hain aaj ke zamaane mein.

and thanks for your reply
apart from technology we seem to be going downward.i don't see anyone pursukoon.

*DhanaK*
will be back wioth more replies after reading the replies carefully rose.gif

and thankyou so much for pinning up this post,it was an unexpected delight smile.gif
Shokh
QUOTE(shafaq @ Mar 19 2007, 12:39 AM) [snapback]2256516[/snapback]
shukriya Shokh
beshak phone net media have given us a lot,more than we dreamt of.yeh baat bhi sahi hai ke buraayi har zamaane mein thee.lekin aaj ke waaldein zyadah apreshan dikhaayee dete hain,bacche sunte naheen,dost ajeeb hain,haazirjawab hain,rishtedaaron mein aika naheen,qata e rehmi hai,rishton mein phoot hai,chaotic hai to sab kucch.i think needs kam theen pehle ke zamanon mein living requirements bhi mehdood theen,barkat bhi thee,miyaan kama kar laaye,biwi bacchon amma abba aur extebded family ne biatthkar khaya,khawateen ghar par,bacchon ki tarbiyat ke liye,ab khawateen kaam kartee hain,zurrotein barhi hain,zindgi ke taqaaze barhe hain,aurat ghar se baahar nikli hai,gha rka nizaam kucch to badalta hai,bacche kucch to neglect hote hain.
yeh barkat kahan gayi,aap dekhti hongi log barkat utth jaane ki baat karte hain aaj ke zamaane mein.

and thanks for your reply
apart from technology we seem to be going downward.i don't see anyone pursukoon.

AOA Behna rose.gif

Jahan taak zuban'darazi ka taluk hay to ji ma agree karti hoon kisi haad taak ye barh gai hay magar na'farmaan ulaad har door may paida hoi hay.

Mera nahi khiyal kay is may zamanay ka zada hath hay kion kay bachay ka pehla school oska ghar aur ghar walay hotay hain. Ma nay aaj kal kay dor may bhi esi ulaad daikhi hay jo apnay waldain par jaan chirikiti hay aur mujhay ye kahnay may arr nahi kay ma aik esi ulaad hoon. Mera bohat yakeen hay is baat par kay 'history repeats itself'. Agar aap nafarmaan thay to apki ulaad bhi na'farmaan hi nikalay gi. Logically agar daikha jai to ye baat aur bhi waziah hoti hay, kion kay bachay wohi seekhtay hain jo ghar may daikhtay hain. Agar wo apnay waldain ko nana nani ya dada dadi kay sath husn'e salook kartay nahi daikhtay to wo baray ho kar apnay waladain par hi jatay hain.

Rishtay'daroon ki to baat hi choor dain aap. Inhoon nay to kisi dor may kisi ko jeenay nahi dia. Haan, pehlay wasail kaam thay so karna parhta tha lakin beech o beech dirty politics - munafkat chalti hay. Bazahir to esay joray hotay hain kay jesay samad bond ki baltian istemaal may lai gai hain, magar unkay beech may rah kar saab saaf dikhai deta hay. Ye baat ma poranay dor ki hi kar rahi hoon kion kay aaj kal kay dor may joint family system almost na honay kay bara'bar hay aur acha hi hay, munafakat may in'saan ki bohat energy waste hoti hay.

Jahan tak aik mard kay kamanay aur pooray kumbay kay khanay ki baat ho rahi hay to kumbay kay liye to bohat acha hay par kabhi kisi nay os wahid shaks ki zindagi kay baray may soocha hay. Jo din raat gadhay ki tarhan ladha rehta hay? Meri jab bhi kisi esay shaks say mulakat hoi to ma nay osay zaroorat say zada sanjeeda daikha, jesay koi bachpaan may hi borha ho jata hay. Isi liye ma choti umar ki shadi kay bhi haq may nahi hoon. Aur jo loog ye kahtay hain kay is say burai ko faroog milta hay wo naak say agay daikhnay ko tiyaar hi nahi. Jitni corruption shadi shuda afraad may daikhi hay utni singles may nahi. Yani jab apkay baap ki umar ka shaks apko ghalat nazar say daikhta hay to apko frustration level ka andaza hota hay jo os zamanay kay logoon may hay.

Jahan tak khawateen ka job karnay ka taluk hay to ma isay 100% support karti hoon. Agar zamanay may nahi niklain gi aur oski unch neech nahi samjhain gi to apni ulaad ko kesay awareness dain gi? Zamana peechay ko to jata nahi agay hi barhna hay. Aap nay kaha kay hamaray waktoon ki walida nay apni ulaad ko bohat tawajoo di, aur aaj kal ki aurtoon ko ghar say bahir nikalna parta hay ya shok say nikaltin hain. Poranay waktoon ki khawateen apnay zamanay kay lihaaz say to sehi thi par aaj kay lihaaz say bohat sada hain. Zaati misal deti hoon, meri waldi go kay aik school may job karti rahin hain par wo aaj kay zamanay kay lihaaz say bohat sada hain. Kahtin hain waldaain ki nazar shair ki honi chahiye aur rawaiya kabootar sa bhola. Bilkul sehi kahtin hain. Jab may teen/age may thi to bilkul shair theen. Ma jab soo jati thi to wo chupkay chupkay mera bag wagira check kartin thin kay kahin koi buri adat na pal li ho. Aik din ma soo rahi thi to mujhay zoar daar kahkay ki awaz ayi. neechay gai to saray ghar walay baithay thay aur ami kay hath may aik choti si perfume ki bottle thi (apko pata hoga jo testers hotay hain unki bottle bilkul nazuk si aur bareek si hoti hay) wo pakar kar kharin thi aur israr is baat par tha kay shaid ma nay drugs shoru kar di hain E9.gif I love my mom, is kahani ka maksad siraf ye tha kay mera nukta waziah ho sakay rose.gif

Sakoon insaan kay andar hota hay aur ye unhi logon ko muyasir hay jin ki zindagi may 'kaash' nahi hota rose.gif
Najman
QUOTE(shafaq @ Mar 17 2007, 02:04 AM) [snapback]2255110[/snapback]
salaam alaikum
aaj ke jo youngsters hain woh apne buzurgon se yehi sunte hain ke "bhai zamana to pehle ka accha tha" ab jo yeh kehte hain unhone same statement apne buzurgon se suna to actually zamana kaun sa accha tha,kya koi naheen?

wa alaikum assalam
zamana tou mere khayal mein mein aik hi chala aa raha hai..changes logon mein aati hiien..
*DhanaK*
QUOTE(KHAL NAYAK @ Mar 18 2007, 04:38 PM) [snapback]2256342[/snapback]
@ shafaq

agar log ALLAH say dartay tu yeah topic hi start na hota.

bethar hall yeah hay kay app kisi Kharabi ya buraye ha Hissa na Banye.

aapki baat apni jagah sahi thee
main ne aapke statement ko thora depth mein jaakar bayaan kiya
aur beshak hamein koshish karna chahiye ke buraayi ke hissedaar na banein,Ameen.
*DhanaK*
QUOTE(Shokh @ Mar 19 2007, 10:39 AM) [snapback]2256909[/snapback]
AOA Behna rose.gif

Jahan taak zuban'darazi ka taluk hay to ji ma agree karti hoon kisi haad taak ye barh gai hay magar na'farmaan ulaad har door may paida hoi hay.

Mera nahi khiyal kay is may zamanay ka zada hath hay kion kay bachay ka pehla school oska ghar aur ghar walay hotay hain. Ma nay aaj kal kay dor may bhi esi ulaad daikhi hay jo apnay waldain par jaan chirikiti hay aur mujhay ye kahnay may arr nahi kay ma aik esi ulaad hoon. Mera bohat yakeen hay is baat par kay 'history repeats itself'. Agar aap nafarmaan thay to apki ulaad bhi na'farmaan hi nikalay gi. Logically agar daikha jai to ye baat aur bhi waziah hoti hay, kion kay bachay wohi seekhtay hain jo ghar may daikhtay hain. Agar wo apnay waldain ko nana nani ya dada dadi kay sath husn'e salook kartay nahi daikhtay to wo baray ho kar apnay waladain par hi jatay hain.

Rishtay'daroon ki to baat hi choor dain aap. Inhoon nay to kisi dor may kisi ko jeenay nahi dia. Haan, pehlay wasail kaam thay so karna parhta tha lakin beech o beech dirty politics - munafkat chalti hay. Bazahir to esay joray hotay hain kay jesay samad bond ki baltian istemaal may lai gai hain, magar unkay beech may rah kar saab saaf dikhai deta hay. Ye baat ma poranay dor ki hi kar rahi hoon kion kay aaj kal kay dor may joint family system almost na honay kay bara'bar hay aur acha hi hay, munafakat may in'saan ki bohat energy waste hoti hay.

Jahan tak aik mard kay kamanay aur pooray kumbay kay khanay ki baat ho rahi hay to kumbay kay liye to bohat acha hay par kabhi kisi nay os wahid shaks ki zindagi kay baray may soocha hay. Jo din raat gadhay ki tarhan ladha rehta hay? Meri jab bhi kisi esay shaks say mulakat hoi to ma nay osay zaroorat say zada sanjeeda daikha, jesay koi bachpaan may hi borha ho jata hay. Isi liye ma choti umar ki shadi kay bhi haq may nahi hoon. Aur jo loog ye kahtay hain kay is say burai ko faroog milta hay wo naak say agay daikhnay ko tiyaar hi nahi. Jitni corruption shadi shuda afraad may daikhi hay utni singles may nahi. Yani jab apkay baap ki umar ka shaks apko ghalat nazar say daikhta hay to apko frustration level ka andaza hota hay jo os zamanay kay logoon may hay.

Jahan tak khawateen ka job karnay ka taluk hay to ma isay 100% support karti hoon. Agar zamanay may nahi niklain gi aur oski unch neech nahi samjhain gi to apni ulaad ko kesay awareness dain gi? Zamana peechay ko to jata nahi agay hi barhna hay. Aap nay kaha kay hamaray waktoon ki walida nay apni ulaad ko bohat tawajoo di, aur aaj kal ki aurtoon ko ghar say bahir nikalna parta hay ya shok say nikaltin hain. Poranay waktoon ki khawateen apnay zamanay kay lihaaz say to sehi thi par aaj kay lihaaz say bohat sada hain. Zaati misal deti hoon, meri waldi go kay aik school may job karti rahin hain par wo aaj kay zamanay kay lihaaz say bohat sada hain. Kahtin hain waldaain ki nazar shair ki honi chahiye aur rawaiya kabootar sa bhola. Bilkul sehi kahtin hain. Jab may teen/age may thi to bilkul shair theen. Ma jab soo jati thi to wo chupkay chupkay mera bag wagira check kartin thin kay kahin koi buri adat na pal li ho. Aik din ma soo rahi thi to mujhay zoar daar kahkay ki awaz ayi. neechay gai to saray ghar walay baithay thay aur ami kay hath may aik choti si perfume ki bottle thi (apko pata hoga jo testers hotay hain unki bottle bilkul nazuk si aur bareek si hoti hay) wo pakar kar kharin thi aur israr is baat par tha kay shaid ma nay drugs shoru kar di hain E9.gif I love my mom, is kahani ka maksad siraf ye tha kay mera nukta waziah ho sakay rose.gif

Sakoon insaan kay andar hota hay aur ye unhi logon ko muyasir hay jin ki zindagi may 'kaash' nahi hota rose.gif

bahot accha laga aapka reply parhkar smile.gif aur apaki ammi,,, she is so cute,itni saadah dil masoom see smile.gif
aurat ke ghar se bahar nikal kar kaam karne mein harj koi naheen,lekin newborns ya toddlers ki age ke bacchon ko sara din ke liye chhor kar jana,mujhhe accha naheen lagta,maan thhak ak rghar aati hai,baccha ya so chuka hota hai,ya sone ki tayyari mein hota hai,maa'n se khelna bhi chahe ya maan usse khelna chaahe not possible,bonding to naheen hui na,haan abcche kucch bade ho jaayein to yaqeenan job karein.agar koi maa'li mushkil hai to ofcourse doosri baat hai.
main ne daycare mein job bhi kee aur apna dayhome bhi chalaya,and i observed ke bahot chaos rehta hai ,baccha utna khush naheen hota jitna maan ke ghar par rehne mein hota hai.

early marriage ka main haq mein hoon smile.gif
ab yeh alag topic banega warna yaheen topics ka haleem tayaar ho jaayega .

aise bahot se topics hain jo ham sab ko discuss karna chahiye,hc ko ek fun place ke saath thori sanjaaedah aur malloomaati posts ka bhi markaz hona chahiye,KITNA kucch seekhte hain ham ek doosre se aur ham sab ke paas kehne ko bahot kucch hai.
*DhanaK*
QUOTE(shafaq @ Mar 20 2007, 04:56 AM) [snapback]2257683[/snapback]

so sorry,salaam ka jawab reh gaya tha smile.gif
wa alaikumsalaam,wa jaanatul muqaam wa dozakhul haraam
jugnohjii
QUOTE(shafaq @ Mar 17 2007, 02:04 AM) [snapback]2255110[/snapback]
salaam alaikum
aaj ke jo youngsters hain woh apne buzurgon se yehi sunte hain ke "bhai zamana to pehle ka accha tha" ab jo yeh kehte hain unhone same statement apne buzurgon se suna to actually zamana kaun sa accha tha,kya koi naheen?

Saray zamanay acha hotai hai ........lol
*DhanaK*
QUOTE(Najman @ Mar 19 2007, 04:13 PM) [snapback]2257195[/snapback]
wa alaikum assalam
zamana tou mere khayal mein mein aik hi chala aa raha hai..changes logon mein aati hiien..

tumhara jawab parhkar daf'atan ek lateefa yaad aya ( related or not i don't know) smile.gif

ek saheb ne pooccha "yeh sadak kahan jaati hai?
jawab mila"kaheen naheen janab yaheen padi rehti hai"

khair jokes apart
log hi tabdeeliyaan laate hain,haan tabdeeliyon par depend karta hai e acchee aayeen ya buri.
ab acchayi ya buraayi ko determine karne ke liye reasoning ki bahot zururat hai jo ke itne kam logon mein hoti hai aur juab reason naheen karta insan to vision clear naheen rehta aur kharabiyaan system mein saaraaiyat kar jaati hain.
*DhanaK*
[quote name='khan_amer' date='Mar 18 2007, 07:35 PM' post='2256428']
meray khayal say zamana tu qayam hay. yani jamid hay, evolution logooN maiN ata hay, her dor ka insaan pichlay insaan kay tajrubaat say seekhta hay, yani ju sabaq kisi nay 4o/45 saal key umr maiN seekha, uss say agli nasal ka insaan wohi sabaq 20 saaal aur uss say agli nasal ka insaan uss say bhi pehlay paRh layta hay. nateeja woh pichlay say agay nikal jata hay.

yeah true

above theory ko valid sabit kernay kay liya Scientifi taraqi hi kafi hay.. 100 saal nahi guzray kay insaan mamooli bukhaar ka sahi ilaaj nahi ker sakta tha, aaj bukhaar kay liya kisi baqayeda tabeeb key zaroorat nahi rahee..

isi evolution key eak negative side bhi hay.. jaisay kay uper medical science key misal dee hay.. issi misaal ko agay baRhtay howay yeh bhi daikhaiN kay ab Bukhar tu koy masla nah raha per dosray un-countable dieases aa chukay haiN aur baqoool shakhsay doctors baRi mehnat say her roz eak nayee bemari ijaad ker laytay haiN.

think science taraqqi kar gayi aur mazeed kartee ja rahi hai suhulatein barhti ja rahi hain,neagtive asraat uar positive asaraat dono numaayaan hain,i think zamana guzrne ke saath saath jahan science taraqqi kartee hai wahan ikhlaaqiyaat ka down fall ho raha hai aur jo log kehte hain ke pehle ka zamana behtar tha woh ikhlaaqiyaat ke tananuzzul par naalaa'n hain

we'll talk more on this later
sure,
jugnohjii
QUOTE(shafaq @ Mar 20 2007, 10:03 AM) [snapback]2257701[/snapback]
tumhara jawab parhkar daf'atan ek lateefa yaad aya ( related or not i don't know) smile.gif

ek saheb ne pooccha "yeh sadak kahan jaati hai?
jawab mila"kaheen naheen janab yaheen padi rehti hai"
khair jokes apart
log hi tabdeeliyaan laate hain,haan tabdeeliyon par depend karta hai e acchee aayeen ya buri.
ab acchayi ya buraayi ko determine karne ke liye reasoning ki bahot zururat hai jo ke itne kam logon mein hoti hai aur juab reason naheen karta insan to vision clear naheen rehta aur kharabiyaan system mein saaraaiyat kar jaati hain.

lol
Shokh
QUOTE(shafaq @ Mar 20 2007, 05:56 AM) [snapback]2257683[/snapback]
bahot accha laga aapka reply parhkar smile.gif aur apaki ammi,,, she is so cute,itni saadah dil masoom see smile.gif
aurat ke ghar se bahar nikal kar kaam karne mein harj koi naheen,lekin newborns ya toddlers ki age ke bacchon ko sara din ke liye chhor kar jana,mujhhe accha naheen lagta,maan thhak ak rghar aati hai,baccha ya so chuka hota hai,ya sone ki tayyari mein hota hai,maa'n se khelna bhi chahe ya maan usse khelna chaahe not possible,bonding to naheen hui na,haan abcche kucch bade ho jaayein to yaqeenan job karein.agar koi maa'li mushkil hai to ofcourse doosri baat hai.
main ne daycare mein job bhi kee aur apna dayhome bhi chalaya,and i observed ke bahot chaos rehta hai ,baccha utna khush naheen hota jitna maan ke ghar par rehne mein hota hai.

early marriage ka main haq mein hoon smile.gif
ab yeh alag topic banega warna yaheen topics ka haleem tayaar ho jaayega .
aise bahot se topics hain jo ham sab ko discuss karna chahiye,hc ko ek fun place ke saath thori sanjaaedah aur malloomaati posts ka bhi markaz hona chahiye,KITNA kucch seekhte hain ham ek doosre se aur ham sab ke paas kehne ko bahot kucch hai.

Ma apki newborns aur toddlers wali baat say mutafik hoon. Hamaray haan ye masla nahi hay. norway may agar ma job karti hay to osay aik saal ki paid leave milti hay bachay ki paidaish kay wakt. So is liye is taraf dhiyaan nahi gia. Mera khiyal hay kay jab bachay school going ho jain to koi muzahika nahi rose.gif

Ji ma aap say mutafik hoon kay esay topics par zaroor aik dosaray ki rai say faida uthana chahiye. Ham yahan par weekly topics denay ka sooch rahay hain ta kay tabadila'e khiyaal say faida uthaya jai. Is silsaylay may aap hamari rehnumai zaroor kijie ga aur waktaan fa waktaan topics suggest karain aur un may bharpoor hisa lain:0-hug:
khan_amer
QUOTE(shafaq @ Mar 20 2007, 08:13 AM) [snapback]2257715[/snapback]
think science taraqqi kar gayi aur mazeed kartee ja rahi hai suhulatein barhti ja rahi hain,neagtive asraat uar positive asaraat dono numaayaan hain,i think zamana guzrne ke saath saath jahan science taraqqi kartee hai wahan ikhlaaqiyaat ka down fall ho raha hai aur jo log kehte hain ke pehle ka zamana behtar tha woh ikhlaaqiyaat ke tananuzzul par naalaa'n hain

Ikhalaqiyaat ka mayaar her zamanay aur mashray maiN mukhtalif raha hay. ghor karaiN, qomooN key arooj.o.zawal ko paRhaiN.. ibtayda/i dor maiN qomaiN sada aur aala ikhlaaqi ausaaf key hamil howa kerteeN haiN aur zawal kay dinooN maN Ikhlaqi mayaar badl jata hay.
ham log ba'hasiyaat civilization batad'reej tabahi key tarf jaa rahay haiN issi liya her guzrtay zamanay kay saaath ikhlaaqi pasti bhi bhaRtee ja rahee hay.

Issi key eak aur wajaah ju mujhay samajh aayee hay woh buhat say culture ( strong) ka appas maiN mix ho jana hay... Western Culture maiN kal bhi dating ja'iz thee aaj bhi hay.. hamaray yahaaN kal bhi pabandi thee aaj hay bhi aur nahi bhi.. may be kal ko ho hi na!!! tu agr eak western prospect say daikhaiN tu yeh aala ikhlaqi sift hay ( according to west) to no to interfere in somebodies business, per hamaray yahaN aisa kernay walay ko bay'his kaha jata hay!!

and yes u rite from your angle... meray khayal say iss baat kay aur bhi angle hooNgay right now i muself got confused.. kyoN kay meri eak side per hijaab maiN eak arab baiThi hay aur uss kay saath eak sleeve less Turk.... and yes they seems to be friends.... dono ka culture aaj mukhtalif hay.. kal rahay ga kay nahi.. kuch cultural exchange hoga kay nahi.. keh nahi saktay per hoga zaroor... aur chal so chal....

*DhanaK*
QUOTE(khan_amer @ Mar 20 2007, 07:06 PM) [snapback]2258598[/snapback]

very good and sensible reply,good to read it.
cultures ka aapas mein mixed up hona,jee yeh to ho raha hai.
yahan whites mein if a girl does.nt have a boyfriend in her earty teens ,she is looked down upon.
main ek school mein class room volunteer aur lunch supervisor hoon,lunch ke waqt ek kindegarten ka baccha apni classmate se baat karta huwa bahar aaya,maa'n boleen azraah e mazaaq and smiling "so you have a girl friend".
ab jab is age se everything "it is ok" ke zumre mein aayega to mazeed kya hoga.
whites ka culture yahi hai.unke yahan koi mazhabi pabandi naheen hai,hai bhi to woh bible tak mehdood hai.ab jab hamare bacche in bacchon mein bade hote hain to yahan par parents have a BIG BIG part to play,to talk to them about deen,it's limits,take them to the mosque,give them good books to read,talk to them,keep a watchful eye on them,is tarah naheen ke the kids start feeling bad but in a sensible and samajhhdaar way.warna west mein jis tarah cultures mingle ho rahe hain,bahot jald Khuda na kare hamare bacche is taiez dhaar mein beh jaayeinge ya bhanwar mein phans kar they will be sucked down to the bottom.
ek family yahan thee picchle bees saal se,achanak ek din the lady said ke ham wapas watan ja rahe hain,qissa kya hai naheen pata but she has a 14 year old daughter, thats what i know.meri tarah aur log bhi bas two plus two lagaate rahe ke kya huwa hoga,magar kucch aisa hi huwa hoga.
culture wise to apne mulkon mein bhi changes aaye hain muslim life style mein ,someplaces it is total western.
ek saheba abhi pakistan se aayee kehne lageen mera 4 saalah bhateeja to urdu samajhta naheen.
yeh bhi ham musalmanon mein baaes e fakhr samjhha jata hai ( not all) ke hamare bacche to english bolte hain.
anyway lots to right on this subject,aapka reply bahot accha tha isliye tafseeli reply ho gaya mera bhi.

Najman
QUOTE(shafaq @ Mar 20 2007, 10:03 AM) [snapback]2257701[/snapback]
tumhara jawab parhkar daf'atan ek lateefa yaad aya ( related or not i don't know) smile.gif

ek saheb ne pooccha "yeh sadak kahan jaati hai?
jawab mila"kaheen naheen janab yaheen padi rehti hai"
khair jokes apart
log hi tabdeeliyaan laate hain,haan tabdeeliyon par depend karta hai e acchee aayeen ya buri.
ab acchayi ya buraayi ko determine karne ke liye reasoning ki bahot zururat hai jo ke itne kam logon mein hoti hai aur juab reason naheen karta insan to vision clear naheen rehta aur kharabiyaan system mein saaraaiyat kar jaati hain.

zamanay ke acha ya bura hone ke baray mein comment karne se mana kya gaya hai..iss liye kaha ke changes logon ki wajah se aati hein..smile.gif
*DhanaK*
QUOTE(Najman @ Mar 21 2007, 10:54 AM) [snapback]2259231[/snapback]
zamanay ke acha ya bura hone ke baray mein comment karne se mana kya gaya hai..iss liye kaha ke changes logon ki wajah se aati hein..smile.gif

aur zamana logon ki wajah se hai ,,,, yeh duniya gol hai smile.gif
Najman
chaliye yehi sahi..smile.gif
baat sirf itni hai mere khayal mein ke her dour mein achai aur burai ,achay aur buray log mojood rahe hi hein..aur dosri changes aati rahien hein laikin insaan aur inke rawaayye achai burai sabb aise hi rahi hai..aaj kall -ve cheezien -ve rawayye zyada kyun nazr aate hein ..kuch iss liye ke burai zara chamakti damakti hoti hai 'dekhai' zyada daiti hai..ranga rang hoti hai ..achai ke rang madham hote hein..so dekhni wali nazr ko yeh lagne lagta hai ke neki aur achay log kam ho gaye dunya se.. kam nahin huay,hamne achai ko talash nahin kya,dekhai di bhi tou barhti hui munafiqat duhre tehre chehron mein uss achai ka yaqeen nahin kiya..

aaj yon bhi hazaron miles dooar ki khabar bhi apne sheher ki tarah mil jati hai..so zahir hai highlight ussi cheez ko kiya jata hai jiss mein zahiri chamak damak zyada hai..so abb hamien yehi lagne lagta hai ke ke yehi negativity zyada hai.. warna mere khayal mein,history utha ke dekh lien tou ratio aik jaisi rahi hai achai burai ki her dour mein..

rahi yeh baat ke 'hamara zamana acha tha'..tou jo waqt guzar jaye woh acha hi hota hai..smile.gif waqt ke stainer mein chotti baatien nikal jati hein..aur beetay waqt mein yad ,yadien reh jati hein,aur woh aksar achi hi hoti hien..smile.gif
Najman
waqt ke stainer mein chotti baatien nikal jati hein..aur beetay waqt mein yad ,yadien reh jati hein,aur aksar wohi jo achi hi hoti hien..*
*DhanaK*
QUOTE(Najman @ Mar 22 2007, 10:01 AM) [snapback]2260165[/snapback]
chaliye yehi sahi..smile.gif
baat sirf itni hai mere khayal mein ke her dour mein achai aur burai ,achay aur buray log mojood rahe hi hein..aur dosri changes aati rahien hein laikin insaan aur inke rawaayye achai burai sabb aise hi rahi hai..aaj kall -ve cheezien -ve rawayye zyada kyun nazr aate hein ..kuch iss liye ke burai zara chamakti damakti hoti hai 'dekhai' zyada daiti hai..ranga rang hoti hai ..achai ke rang madham hote hein..so dekhni wali nazr ko yeh lagne lagta hai ke neki aur achay log kam ho gaye dunya se.. kam nahin huay,hamne achai ko talash nahin kya,dekhai di bhi tou barhti hui munafiqat duhre tehre chehron mein uss achai ka yaqeen nahin kiya..

aaj yon bhi hazaron miles dooar ki khabar bhi apne sheher ki tarah mil jati hai..so zahir hai highlight ussi cheez ko kiya jata hai jiss mein zahiri chamak damak zyada hai..so abb hamien yehi lagne lagta hai ke ke yehi negativity zyada hai.. warna mere khayal mein,history utha ke dekh lien tou ratio aik jaisi rahi hai achai burai ki her dour mein..

rahi yeh baat ke 'hamara zamana acha tha'..tou jo waqt guzar jaye woh acha hi hota hai..smile.gif waqt ke stainer mein chotti baatien nikal jati hein..aur beetay waqt mein yad ,yadien reh jati hein,aur woh aksar achi hi hoti hien..smile.gif

..kuch iss liye ke burai zara chamakti damakti hoti hai 'dekhai' zyada daiti hai..ranga rang hoti hai ..achai ke rang madham hote hein..so dekhni wali nazr ko yeh lagne lagta hai ke neki aur achay log kam ho gaye dunya se.. kam nahin huay,hamne achai ko talash nahin kya,dekhai di bhi tou barhti hui munafiqat duhre tehre chehron mein uss achai ka yaqeen nahin kiya.

i like your answer smile.gif yeh ek positive outlook hai zamaane ko dekhne ka.Goodness is still there but it is not as easy to find as the evil,zara deeda e beena kholo,zara ruko,qareeb se dekho,acchaayi hai aur ab bhi kaafi hai

thankyou

*hayaa*
QUOTE(seemaf @ Mar 17 2007, 03:13 PM) [snapback]2255573[/snapback]
salam.gif Shafaq jee rose.gif

Hamesha ki tarah buhat achhi post yes.gif

Ji ap theek keh rahi hian ke Waaqi WOH zamana achha tha... aur main Laila ki baat se bhi poori tarah agree karti hoon 0-25_coolguy.gif ... Aj kal ke zamaney main har cheez buhat fast hai... kisi ke paas khud apne liye time nahi to doosrey ko kiya de ga ..... pata nahi sab kahan bhagey ja rahey hain dunno.gif

Itna sudden change aya hai ke aqal hairan hai 1-think.gif

bhagein gey nahin to kaam kaisey karein gey
aram sey chalein gey to hum pichey reh jaein gey wacko.gif
*DhanaK*
QUOTE(hayaa_daood @ Mar 23 2007, 02:57 PM) [snapback]2261004[/snapback]
bhagein gey nahin to kaam kaisey karein gey
aram sey chalein gey to hum pichey reh jaein gey wacko.gif

jab baccha bhaagta hai to maa'n kehti hai beta aaraam se bhago kaheen chot na lag jaaye,shayed Seema ka yahi matlab ho smile.gif
waise she can explain better.
seemaf
QUOTE(hayaa_daood @ Mar 23 2007, 07:57 PM) [snapback]2261004[/snapback]
bhagein gey nahin to kaam kaisey karein gey
aram sey chalein gey to hum pichey reh jaein gey wacko.gif

Bhagney se girney ka bhi to khatra hota hai na Dear yes.gif

"Slow and steady wins the race" 0-25_coolguy.gif
seemaf
QUOTE(shafaq @ Mar 24 2007, 12:14 AM) [snapback]2261272[/snapback]
jab baccha bhaagta hai to maa'n kehti hai beta aaraam se bhago kaheen chot na lag jaaye,shayed Seema ka yahi matlab ho smile.gif
waise she can explain better.

Ji
*hayaa*
QUOTE(seemaf @ Mar 26 2007, 12:21 PM) [snapback]2263624[/snapback]
Bhagney se girney ka bhi to khatra hota hai na Dear yes.gif

"Slow and steady wins the race" 0-25_coolguy.gif

you are very right yes.gif

laikin aajkal saaab bhag rahey hein
jo slow chalta hai woh bhi peechey reh jata hai
jo gir jata hai woh bhi pichey reh jata hai
*DhanaK*
QUOTE(hayaa_daood @ Mar 26 2007, 05:04 PM) [snapback]2263914[/snapback]
you are very right yes.gif

laikin aajkal saaab bhag rahey hein
jo slow chalta hai woh bhi peechey reh jata hai
jo gir jata hai woh bhi pichey reh jata hai

haya smile.gif
ek english ki saying hai
"down but not out"
bas aisa hi insan ko hona chahiye
himmat na haare,gire to phir khada ho jaaye.
keep trying,himmat e mardaan madad e kHuda
hope it makes sense.

*hayaa*
QUOTE(shafaq @ Mar 26 2007, 08:07 PM) [snapback]2263979[/snapback]
haya smile.gif
ek english ki saying hai
"down but not out"
bas aisa hi insan ko hona chahiye
himmat na haare,gire to phir khada ho jaaye.
keep trying,himmat e mardaan madad e kHuda
hope it makes sense.

hona to bohat kuch chahiye sis
but kuch aur hee ho raha hai
Magar jo ho raha hai... Mein hee nahin
aap sab bhi jantey hein
*DhanaK*
QUOTE(hayaa_daood @ Mar 28 2007, 05:19 PM) [snapback]2266110[/snapback]
hona to bohat kuch chahiye sis
but kuch aur hee ho raha hai
Magar jo ho raha hai... Mein hee nahin
aap sab bhi jantey hein

keep trying,pray to Allah
Mrs.KnOwN_StRaNgEr
Shafaq Jee Bahot Acha Topic Shuruu Kiya Aap Nay 0-25_coolguy.gif

Har Aik Ka Zamana Wohi Hota Hai Jis MeiN Woh Jiyaa Hota Hai, Har Aik Apnay Zamaana Ka Aadi Hota Hai Aur Apni Cheez Ko Acha Kehta Hai.Hum Apnay BuzurgooN Say Suntay HaiN Kay Unn Ka Zamaana Acha Thaa...Yaqeenan UnnhoN Nay Bhi Apnay BuzurgooN Say Suna Ho Gaa Kay Unn Ka Zamaana Acha Tha... Jab Hum Apni Aayinda Nasal Ko Apnay Zamaanay K Baaray BataayeN Gay To Hum B Yehi KaheN Gay Kay Humara Zamaana Acha Thaa.
To YooN Samjhiay Kay Jo Jis Zamaanay MeiN Jee Raha Hota Hai Uss Ki Nazar MeiN Wohi Zamaana Acha Hota Hai. Waisay Bhi LogooN Say Hi Zamaana Banta Hai..To Log Achay HooN To Zamaana Hamesha Acha...
Saadgi , Waqt , Sahooliyaat Waghira Kay Itbaar Say Dekha Jaaey To Technologi Nay Itna Kuch Insaan Ko Day Diya Hai Kay Har Kaam Asaan Ho Giya Hai...Magar Iss Kay Bawajood Waqt Ki Kami Hai... RishtooN MeiN Farq Aa Giyaa Hai... Aayinda Chal Kar Naa Jaanay Zamaana Kiya Rang Dikhaaey...

Ab Khud Hi Samjh Lijiay Naa Kay Humaray Buzurg Kis Lehaaz Say Kehtay HooN Gay Kay

Humara Zamaana Acha Thaa.
*DhanaK*
QUOTE(Kamli @ Mar 28 2007, 07:52 PM) [snapback]2266262[/snapback]

will be back with your reply Kamli smile.gif
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2009 Invision Power Services, Inc.