meray nick say sab ko andaza ho hi gaya hoga kay mein past main zinda hoon, tareekh.qabl.us.zamaan mein Hannibal mera favourit war hero aur general hay.
Let me give you Briefs about him.
Historical ref. kay mutabiq Hannibal ka Taluq mojooda Lebanon key mashoor sahili shehar TYRE say tha. yeh log yahaaN say move ker kay Carthage ( iss meaning naye shehar kay hein) mein settle hogay. Carthage Mojooda Tunis maiN ka eal illaqa hay.
yeh zamana tha jab Rome key azeem sultanate her tarf phail rahee thee, koy bhi Rome ko challange kernay wala na tha. Carthage kay nisbatan chotay say mulk nay azeem rome key ita'at kernay say inkaar ker diya aur dono mumalik maiN jang choR gayee.
Hannibal kay baap ko Pehli Punic war maiN ( ju 23 saal tak jari rahi) shikast howi jis nay carthage ko eak hitak amaiz mahiday per majboor ker diya
Hannibal kay baap nay mahida tu ker liya per dr.parda eak iss zilat aur shikast ka badla laynay key tayari kerta raha.
Walid aur later on brother-in-law key agaty peechay death kay baad, Hannibal ko Cathage Army ka Commander in cheif muqarar ker diya gaya.
i will more later...
