Assalato Wassalamo Alaika Ya Syyedi Ya RasoolAllah (Sallallaho Alaihi Wasallam)
Assalam-o-Alaikum !!! Wa Rehmatullahi Wa Barakatuhu
Umeed hai ke sab khairiyat se hongy.
App Sab logon ko meri ki taraf se Aaqa (Sallallaho Alaihi Wasallam) ki wiladat baa Sa'adat ke khushiyan buhut buhut Mubarak hoon.
Allah Rabb-ul-Izzat se dua hai ke Hamein Pyare Madani Aaqa (Sallallaho Alaihi Wasallam) ke Melad-e-Paak ko bharpoor tareekay se manany ki taofeeq Ataa Farmaye.
Pukaro Mill Ke Aye Diwano Ya RasoolAllah (Sallallaho Alaihi Wasallam)
Mily Gi Qalb Ko Raahat Nabi (Sallallaho Alaihi Wasallam) Ki Aamad Hai
Tarjuma Kanzul Eeman: " Tum Farmao Allah Hi Ke Fazal Aur Usi Ki Rehmat Aur Usi Par Chahiye Ke Khushi Karein " Para # 11, Surah Yunus: 58
Tarjuma Kanzul Eeman: " Aur Hamne Tumhein Na Bheja, Magar Rehmat Saray Jahan Ke Liye " Para # 17 , Surah: AlAnbia: 107
Subhe Baharan
Woo Joo Na Thy To Kuch Na Tha, Woo Joo Na Hon To Kuch Na Ho
Jaan Hain Woo Jahan Ki Jaan Hai Too Jahan Hai..........................
Koi Sardaye Tey Sarr Jaaway Koi Marday Tey Marr Jaaway
Sunniyan Nay Tey Gajj Wajj Ke Melad Manana Ey Haq Ey...