QUOTE(hayaa_daood @ Mar 26 2007, 02:53 PM) [snapback]2263727[/snapback]
wow....thats good
honey humari diet mein must hona chahiye
aur khali pet liQuid mein kuch lena aur bhi achi baat hotti hai
so.......aapki tip kia hai healthy life k liye ?
Behna

saab say pehlay to ye hay kay fitness ko physique say measure nahi kia jata isay stamina say measure kia jata hay. Stamina regular excercise say build hota hay. Ma parhaiz may believe nahi karti ye aik maslay ka wakti haal hay. Ma har wo cheez khati hoon jo mujhay pasand hay haan oski mikdar may kami paishi lazmi hay. Aksar kawateen dieting ka sahara leti hain aur dieting say apki skin effect hoti hay, maslaan cheray par chahiyaan ah jatin hain aur ankhoon talay halkay aur har wakt nidhaal rehtin hain. Is say behtar hay kay din may kam az kam 1 ghanta ''brisk walk'' karain. Exercise may pehlay 20 min may insaan siraf warm up hota hay aur baki aap jitna isko mazeed barhain utna faiday'maand hota hay.
Zaati tor par may har rooz 2 ghantay gym karti hoon aur natijataan jo mera dil karta hay khati hoon aur zindagi ki naimatoon ko enjoy karti hoon.
Healthy life kisi aik do cheezoon par mushtamil nahi hay, ye aik mukamaal life style hay.
Tips
Khulasa ye kay neend pori karain, 8 glass pani pian daily, vitamins lain daily,
exercise regularly aur skin ki moisturizing and cleansing karain. Stress say jitna door rah sakain rahain. Zindagi may discipline lain.
Ye aik basic formula hay is say zada kuch karnay ki zaroorat nahi, aap azmaa kar daikh lijie
Honey ka jahan taak taluk hay to pani aur honey do cheezain hain jin may mera believe hay kay in may shifa hay. Ma honey 2-3 dafa din may leti hoon. Kabi kabi garam pani may soonf aur mint leaves ka daam kar kay to kabhi lemon kay sath. Iskay ilawa sada glass pani. Basically 8 glass poray karnay hotay hain din may.
Agar apko kisi specific maslay ka hal chahiye to bataiye, gar meray ilm may howa to apkay sath zaroor share karoon gi, fitness mera pasandeeda topic hay is par ma ghantoo baat kar sakti hoon