QUOTE(khan_amer @ Mar 27 2007, 09:16 PM)

yeh tu mujhay nahi pata kay Javaid Ch. kay iss column ka maqsad kya hay? kya woh bhi iss waqt Mush kay khilaaf gham.o.ghusay ko cash kerwana chah rahay haiN.. ho sakta kay Javais Sahib sach likh rahay hooN, per yeh baat hazm nahi hoti kay jis shakhs kay pass Lahore say Islamabad tak ka kiraya nahi bacha tha uss kay pass America tak janay aur wahaaN per nafsiyaati ilaaj kerwanay kay resources thay?
Kal kay zalim jab aaj mazloom banay tu aankhoN say aansoo jhaRnay lagay...
merey zahan main bhi exactly yahi sawal utha tha,,,, ke jis ke pass islamabd ka karaya nahin,,,, US kitney mazzey se pohanch gya
phir mush ko hitler se ziada zalim aur yadioon se badtar kahna,,,, lagta hey anney waley dinon pe yeah apni side safe ker rahey hain,,,, warna agar yeah sach hota,,,,, tu Parvaiz Rasheed ki tarah,,, yeah bhi ghaib ho chukey hotey