Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Action Of Jamiya Hafsa's Students !
HulChul.NET > Halla Gulla > Polling Booth
LEADER
http://www.jasarat.com/details.php?categor...date=30-03-2007

Guzashta 2 dinooN se Jmiya Hafsa (Islamabad) ka mamla phir high lights main hai...

Kiya Jmiya ki talbat (students) ka is trah se mubiyna fahashi ke adda ka khalaf 'az khud' karwai kerna aap ke khiyal maiN theek qadam hai ?
khan_amer
eak aisi society maiN jahaaN qanoon aur insaaf key hukmraani ho wahaaN per aisa kaam na sirf qabil-e-muzamat hay balkay, keynay walay ko qaraar waqa'i saza bhi milni chahiyee.

Per Baat Pakistan key ho rahee hay, JahaaN per na qanoon hay, na insaaf, jis kay haath maiN taqat hay uss key "MARZI" qanoon hoti hay aur uss key raye insaaf ka criteria.

Robinhood jaisay kirdaar amooman aisay hi halaat ka reaction hotay haiN, Talibaat nay ju kuch kya woh Pakistan kay halaat ko mad-e-nazr rakhtay howay 100% sahi hay. unhay apni karwa'iyaaN yahaaN tak hi nahi rakhni chahiyee balkay iss ka daira baRhana chahiyee.. aur ab waqt hay kay MALE-STUDENTS bhi maidan maiN aa jayaiN, aur CORRUPT officers say lay ker syasat'danooN tak ko RAGRA lagayaiN.
LEADER
QUOTE(khan_amer @ Mar 31 2007, 08:29 AM) [snapback]2269466[/snapback]

hmmmmmmmmmmmmmmmm

It is an opinion...

Anu body else ?

(khan bhai plz iss question ko poll ke format maiN convert ker daiN, thanx)
KHAL NAYAK
QUOTE(LEADER @ Mar 30 2007, 11:00 AM) [snapback]2267799[/snapback]
http://www.jasarat.com/details.php?categor...date=30-03-2007

Guzashta 2 dinooN se Jmiya Hafsa (Islamabad) ka mamla phir high lights main hai...

Kiya Jmiya ki talbat (students) ka is trah se mubiyna fahashi ke adda ka khalaf 'az khud' karwai kerna aap ke khiyal maiN theek qadam hai ?

Link Kam Nahi Kar Raha.
hamzaad
ALLAH AUR HAMARY PYARAY NABI(S.A.W) KA FARMAAN BHI YEHI HAY K JAB KOI BURAI DEKHO TOU USAY HAATH SAY ROKO.....AGAR ITNI TAQAT NAHI RAKHTAY TOU ZUBAN SAY ROKO AUR AGAR YE BHI NAHI KAR SAKTAY TOU KAM AZ KAM ISSAY DIL SAY BURA SAMJHO.......TOU AGAR TALIBAT NAY ITNI HIMMAT KI HAY K AIK BURAI KO KHATAM KARNAY KI KOSHISH KI HAY TOU HAMIEN INHIEN APPRECIATE KARNA CHAI HAY..........KION K HAMARY HUKMARANO KO TOU APNI AYASHION SAY FURSAT MILTI NAHI.......AUR JAB TAK KOI QOM KHUD NAHI BADALTI USKAY HUKMARAN KAISAY BADLIENGAY
sohni_kudi
ek baar Ameer ul mominin Umar bin Khatab raatt k time apni state main nikle eo aap ko ek ghars se ganay ki awaz aayi to aap uss ghar ki wall climb kar k uss ghar main enter hue to wahan ek aurat gana ga rahi thi.Aap ne farmaya k tu itni onchi awaz main gana q ga rahi thi to uss aurat ne posha aap kon hain to Ameer ul mominin ne farmaya k main Ameer ul mominin Umar bin khatab hoon.To uss lady ne kaha kia aap ne woh hadith nahin suni LOGON KI CHAR DIWARI MAIN NA JHANKO.Yeh sun k Umar k mathay pe arq e nadamat aagaya aur aap khamoshi se wapis hogaye
KamlaJatt
I agree with Khan Amer

kiya hum nahi daikhtaiy k kiya halaat ho rahaiy hai'n Pakistan mai

Qanoon, Hakoomat agar Apni Zimadaariyaan poori karnaiy ki ehal na ho to aisaiy loog saamnaiy aataiy hai'n ... you'n hi Enqalab barpa hota haiy ...

Aur koi ghalat kaam to kar nahi rahaiy .... Moashraiy ko aaloodgi saiy bacha rahaiy hai'n ... Abb yahaan baat kissi ki chaar deewari tak bhi nahi rahi ... buhat aagaiy barh chuki haiy ...

Musharaf sahib farma rahaiy thaiy kuch paanch hazar loog hai'n yeh students ... aur yeh apni marzi, passand kissi par thoop nahi saktaiy ... Musharaf sahib saiy poochna yeh chahiyeh k inhaiy kaisaiy maloom haiy loogoo'n ki marzi kiya haiy .... kiya yeh samajhtaiy hai'n k jo inhaiy lagta haiy wohi Awaam chahti haiy ...

Aur Kissi tehreek ko Numbers saiy nahi toola jaata ... uskaiy Aghraz Maqasid aur Khaloos saiiy saiy pehchaana jaata haiy
kuch loog kehtaiy hai'n islam talwar saiy nahi phaila ... hum nahi kehtaiy k islam ko zoor-e-shamseer saiy phailaaya jaayeh ... laikin Agar koi Shaks yeh Fareeq islam ki deewaaroo'n saiy takraayeh to ussaiy kiya kaha jaayeh ... Islam to hum baad mai phailaanaiy ki soochai'n ... pehlaiy Musalmaano ko to islam sikha lai'n

Ham naa taraki k khilaf hai'n na Modernism k ... Hum chahtaiy hai'n k Pakistan Dunya ka sab saiy zeyaada taraki yaafta mulk ho ... Hum yeh nahi chahtaiy k Pakistan par Islamic Extrimism ka Label lagaiy ... Hum yeh zaroor chahtaiy hai'n k Islam ko uskaiy sahi maino' mai Raiej' kiya jayeh ...

mujhaiy yeh kehtaiy howaiy bilkul sharam mehsoos nahi hoti k Jo Rights Islam daita haiy ... wo zaroor milnaiy chahiyeh hai'n ... aur jis cheez saiy Islam nai mana kiya haiy ... wo mana honi chahiyeh ... it should be an islamic country like ...and Islam is Most Modern religion since Mohammad ... Na issmaiy kuch kammi karnaiy ki zaroorat haiy ... aur na hi kuch aur chahiyeh
LEADER
Sussi
ap sab logo ki batiye apni jugga bajja.. drust..
pur kiya koi humay sirf iss baat ka reply diay ga kiay konsi si jugga pur Islam danday aur tulwar kiay zoor pur phala ha ?

kia islam ka mutlub sirf ye hi rah giya ha kiay aurt jis ki jugga ghar ha (baqool murd huzrat kiay) to ab ku un ko wah wah kur rehay ha... itna hi ha to phr un ko frnt pur ku laiye giya ha.. kia hamri socity kiay mard huzrat itnay kumzor purr gaye ha?
KHAL NAYAK
QUOTE(Sussi @ Apr 15 2007, 01:34 AM) [snapback]2281592[/snapback]

mard hazrat bhi un ka shana bashana hain smile.gif
sohni_kudi
QUOTE(Sussi @ Apr 15 2007, 02:04 AM) [snapback]2281592[/snapback]
ap sab logo ki batiye apni jugga bajja.. drust..
pur kiya koi humay sirf iss baat ka reply diay ga kiay konsi si jugga pur Islam danday aur tulwar kiay zoor pur phala ha ?

kia islam ka mutlub sirf ye hi rah giya ha kiay aurt jis ki jugga ghar ha (baqool murd huzrat kiay) to ab ku un ko wah wah kur rehay ha... itna hi ha to phr un ko frnt pur ku laiye giya ha.. kia hamri socity kiay mard huzrat itnay kumzor purr gaye ha?

Allah ka shukar hai aaj bhi Pakistan main aap jaise log mojood hain aur aap jaisi thoughts rkhne wale hain.Actually sussi u know humare molwi hazrat ne islam ka matlab sirf aurat pe utra hua islam bana dia hai.Apne liye sab kuch krna jaiz hai.Aurat pe hi sara islam nazil hua hai.ab aaj yeh besharam jama hafsa ki aurten be naqab aur driving krti hui aurton pe taizab phenk rhi hain yeh kon sa islam hai?dear actually yeh frustrated log hain jo aisi harkaten krte hain aur in ko favour krne wale bhi nafsiati mariz hain.Aur kuch nhe
Sussi
QUOTE(KHAL NAYAK @ Apr 15 2007, 02:15 AM) [snapback]2281604[/snapback]
mard hazrat bhi un ka shana bashana hain smile.gif

jee , jee wo to sab ko nazr arehay ha.. sirf ussi baat ka reply aiya ha jo ap logo ki ego ko pinch kiya ha ..

theek ha maan liya ap loog bi sath ha.. to phr unn khawateen pur ap loog control naih kur sukkay to baqi society pur kasay kuray gay ?

on same wael acid phainka... threat kurna.. rumours phalinna
Sussi
QUOTE(sohni_kudi @ Apr 15 2007, 01:46 PM) [snapback]2281866[/snapback]
Allah ka shukar hai aaj bhi Pakistan main aap jaise log mojood hain aur aap jaisi thoughts rkhne wale hain.Actually sussi u know humare molwi hazrat ne islam ka matlab sirf aurat pe utra hua islam bana dia hai.Apne liye sab kuch krna jaiz hai.Aurat pe hi sara islam nazil hua hai.ab aaj yeh besharam jama hafsa ki aurten be naqab aur driving krti hui aurton pe taizab phenk rhi hain yeh kon sa islam hai?dear actually yeh frustrated log hain jo aisi harkaten krte hain aur in ko favour krne wale bhi nafsiati mariz hain.Aur kuch nhe

dear sooch sab kiay pas ha pur wo un log nay un batt tuk limtd kur li ha jo sirf aur sirf un kiay favr mein ha.. koi apni sooch say beynd ja kur soochna gwara naih kurta .... khany ko to sab loog educated ha :( pur yea degree sirf un kiay title kay valu ko ziyda kur rahi ha un ki sooch wasi ki wasi limtd ha ...
~!Fadi!~
AOA...

a QOUTE from HISTORY
Sussi
QUOTE(~!Fadi!~ @ Apr 15 2007, 03:49 PM) [snapback]2281939[/snapback]
AOA...

a QOUTE from HISTORY

pur Fadi Bhaiya,.. how can i access 1-afsana.gif
~!Fadi!~
QUOTE(Sussi @ Apr 15 2007, 03:57 PM) [snapback]2281954[/snapback]
pur Fadi Bhaiya,.. how can i access 1-afsana.gif

nazar nahi aa raha????
~!Fadi!~
QUOTE(Sussi @ Apr 15 2007, 03:57 PM) [snapback]2281954[/snapback]
pur Fadi Bhaiya,.. how can i access 1-afsana.gif

ager nazar nahi aa raha tu check this...

http://img473.imageshack.us/my.php?image=thumbdw6.gif

KHAL NAYAK
QUOTE(Sussi @ Apr 15 2007, 03:33 PM) [snapback]2281918[/snapback]
jee , jee wo to sab ko nazr arehay ha.. sirf ussi baat ka reply aiya ha jo ap logo ki ego ko pinch kiya ha ..

theek ha maan liya ap loog bi sath ha.. to phr unn khawateen pur ap loog control naih kur sukkay to baqi society pur kasay kuray gay ?

on same wael acid phainka... threat kurna.. rumours phalinna

mera in logon say door door tak koi taluk nahi hay janab smile.gif
SmiLe_PoiNt
QUOTE(Sussi @ Apr 15 2007, 01:34 AM) [snapback]2281592[/snapback]
ap sab logo ki batiye apni jugga bajja.. drust..
pur kiya koi humay sirf iss baat ka reply diay ga kiay konsi si jugga pur Islam danday aur tulwar kiay zoor pur phala ha ?

kia islam ka mutlub sirf ye hi rah giya ha kiay aurt jis ki jugga ghar ha (baqool murd huzrat kiay) to ab ku un ko wah wah kur rehay ha... itna hi ha to phr un ko frnt pur ku laiye giya ha.. kia hamri socity kiay mard huzrat itnay kumzor purr gaye ha?

kia islam ka mutlub sirf ye hi rah giya ha kiay aurt jis ki jugga ghar ha (baqool murd huzrat kiay)

THTS IS UR SENTENCE Rit, lkn main es cheez ko nahin manta, aap ko Hazrat Fatima R.A ky nakshy qadam per chalna chahye, aapko ya bi pata ho ga ka Islam main Aurat ky lia Perda kitna zaroori hy, aap kahin Quran main essa likha dekha dain ka AUrat ko Sareaaam baher ana chahye, Main Jamiya Hafza ki Auratooon ky bi khilaaf hon, lkn main jst aap ky Os Sentence ka answer maang raha hon jo ooper Highlight hy.

Aap koe essa Jamiya Hafza ka Waqia Dekha do jess main unhon nain kisi per Acid Phenka ho, yaan kisi ko Threat kiya hoo,Thts is wrong ya sara Govt ka kiya dhara hy ta ka Awaaam ko un ky Khilaaaf kiya jay, and tht is called a Rumours jo Govt ker rahi hy
Sharabi_Eyes
Action nahi hai - Reaction hai - Frustration nikal rehey hein sab log ajj kal - Jis ka buss chalta hai wo apney andar ka ghubar aur frustration nikalta hai... aur uss ko naam detey hein Islam ka... lols

jamiya Hafsa, Chief Justice, and many many more incidents...

just a release of stress and frustration in any way they find probable...

kasoor kis ka hai? aur kisi ka nahi... government ka hai...

just ask yourself a question... if you get a chance to unlawfully act openly in the society... what would you do? would you miss any chance?
i guess no... you will excavate your frustration towards your personal, social, professional etc etc problems in any way you get a chance to...

thats all whats happening... Islam ka tu aise hi naam use ker rehey hein... thorey arsey ki baat hai... Pakistan will be no more and its gona become a colony of US... ta tak enjoy kerney do in logoun ko... humari kaam dandey ki zaban hi samajhti hai... uncle tom ka danda parey ga tu theek ho jayein ge...

Islam insan ke andar hota hai... as long as you are ok with it... thats all you can do in this era... and the quotes of old times... puraney zamanoun ke waqayat aur baatoun ko basis bana ke in incidence ko justify kerney waloun ko ye sochna chahiye ke un waqtoun mein Islam, religion, ethics, values, infact governments... aur halaat... ajj ke halaat se buhat different the... tab wo baatein effective thee... ab nahi...

anyhow... intehayi ghatiya kaam hai... jis ka koi maksad koi justification nahi hai... aur media... lols... media is the biggest liar of this century...
Sussi
QUOTE(Where U Can Find Me @ Apr 24 2007, 02:49 PM) [snapback]2291948[/snapback]
kia islam ka mutlub sirf ye hi rah giya ha kiay aurt jis ki jugga ghar ha (baqool murd huzrat kiay)
THTS IS UR SENTENCE Rit, lkn main es cheez ko nahin manta, aap ko Hazrat Fatima R.A ky nakshy qadam per chalna chahye, aapko ya bi pata ho ga ka Islam main Aurat ky lia Perda kitna zaroori hy, aap kahin Quran main essa likha dekha dain ka AUrat ko Sareaaam baher ana chahye, Main Jamiya Hafza ki Auratooon ky bi khilaaf hon, lkn main jst aap ky Os Sentence ka answer maang raha hon jo ooper Highlight hy.

Aap koe essa Jamiya Hafza ka Waqia Dekha do jess main unhon nain kisi per Acid Phenka ho, yaan kisi ko Threat kiya hoo,Thts is wrong ya sara Govt ka kiya dhara hy ta ka Awaaam ko un ky Khilaaaf kiya jay, and tht is called a Rumours jo Govt ker rahi hy

sorry for being delayd here...

if u dnt mind.. humnay idur ik exmple di thi jo ajkul kiay murd huzrat bhut critical way me boltay ha. plz dont offensive.. ye ik general si baat ha.. ap ki baat apni jugga pur bilkul bajja ha.. m fully agreed wht u said.. but m disscussing this thing in the light of that incident... jis pur ap bi agreed naih ha.. ap nay sirf uss line ko pick kiya ha jo ap ko picnh ki ha iss ko agr ap relate kuro to ap ko khd clear ho jaiye ga wht i mean that.. aur wasy v discussion kiay liye aur sections ha smile.gif so idur baat ko light rehnay diye jaiye to theek rehay ga..

khosh rahiye
K-K-KHAN
Main to yeh kehta hoon k Jmiya ki talbat ka qadam bilkul theeak tha.

Kam az kam unho ne kuch acha tou kia
KHAL NAYAK
POLL Result

Yes [ 9 ] [52.94%]
NO [ 8 ] [47.06%]

Topic Closed rose.gif
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2008 Invision Power Services, Inc.