tihami
Apr 8 2007, 04:29 AM
kahtaay hain k aik bazurg say kisi nay poocha k hazrat agar namaz ki wajha say job main harj hu tu kia aisee namaz parhna jaiz hay.. unhoon nay jawab diya k tumhara sawal hi ghalat hay , tumhain poochna chahyay thaa k kia aisee job jaiz hay k jis ki wajha say namaz par harj aata hou..
inzi n us ki team par yahi n isi kisam ki tanqed hou rahee hay k namaz parhtay thay yah k during flight namaz parhee... tu bhai agar ALLAH na un ki imani ta'qat itnee rakhee hay k woh kisi ki parwaa kiaay baghair namaz par saktay haain , then we should appreciate them, rather than discourage them..
waisay bhi AKHIRAT ki kamyaabi aik worldcup k matches ki kaamyaabyoon say kaheen aham hay....
khan_amer
Apr 8 2007, 10:23 AM
Tihami bhai, app tu jantay haiN aaj kal Pakistan maiN kya hawa chal rahee hay, SeThi sahib tu khair say pehlay din say hi buhat zyada liberal haiN, inhay kisi aur key namaz kaisay hazam ho saktee thee, ab harnay kay koy aur wajaah nahi mili tu yehi keh diya kay chooNkay namazaiN zyada paRhtay thay iss liya haar gay...