Kerbala kay waqaye kay asraat muratib howay Muslim Soceity per? kya muslim wahdaniyat aur akhowat iss waqaye kay baad qayam reh saki?
meray nazdeek Kerbala ka qatal-e-aam, muslim umaa kay tadreeji zawal ka nukta-e-aghaaz sabit howa.
badi-e-Nazr maiN muslmin sultanate ko iss waqaya say koy khas farq paRta nazr nahi aata, per agr gehra'i maiN ja ker dekha jaye tu Khilafat kay malookiyat maiN badltay hi GROWTH of Islam ruk gayee, Arab jinhay Allah tala ka paigham sari duniya maiN puhanchanay kay liya Duniya key imamat dee gayee thee, dunya'wi aish.o.ishrat maiN paR gay..
halaNkay aisay zamanay bhi aye jin maiN MuslmaanooN key fatoohat ka dor wapis agaya ( Umavi Khalifa Abdul Malik aur Waleed ka dor ) per asal maiN yeh dor bhi doodh kay ubaal key taraah ka dor hi tha...
I ll add more later