Wah Mr MJB Wah!
Aap ne meri pehli he post ko yeh keh kar edit kar k uss ka mafhoom he badal diya k;
Apni baat zaroor karain, magar dosroon ki izzat bhi karain, direct kissi member ko nishana na banain
Aap k yeh remarks par kar mujhe aik joke yaad aa gaya jo kuch yun hai k adalat mein judge ne mulzim se kaha k tumhein nahin maloom k kisi shareef admi ko KHOTA kehna ghalat hai.
Mulzim! janab maaf kijiye ga k mujhe yeh baat maloom nahin thee.
Judge! iss bar tumhein maaf kiya jaata hai lekin dobra yeh ghalti nahin honi chahiye, tum ja sakte ho.
Mulzim! lekin jane se pehle plz aap mujhe aik baat batana pasand farmaein gay k kia kisi KHOTAY ko Shareef Admi kehna bhee ghalat hai?
Judge! nahin yeh qanoon mein kahin pe nahin likha.
Mulzim! acha phir Shareef Admio khuda haafiz.
Shayad mujh se bhe kuch aisi he ghalti ho gae lekin mein bhe aap se aik baat poochna chahta hoon k agar koee Allah aur Uss k Rasool(saw) ki taleemaat k khilaf Roshni ka libadah orh kar laugon ko gumrah kerne ki koshish kere tou kia yeh unn ki toheen nahin? Agar koee Hazrat Imam Hussain k khilaf yazeediyat ko sahee saabat kerne ki koshish kere tou kia yeh Nawasa-e-Rasool ki tauheen nahin? Agar koee hamari Deeni shakhsiyat ke baaray mein apni gundi zuban se nazeba alfaaz istmal kere tou kia yeh poori duniya k musalmano ki taheen nahin? Kia inn sab ki tauheen kerne ka haque tou aap iss forum pe firakhdilli se dete hain lekin agar koee aik laanti shakhs ke baaray mein aik do realities likh de tou aap k members ka istahkak majroo ho jaata hai?
Agar aap ka mission haque ko mitana hai tou phir jaan lijiye k hamara mission bhe haque ka parcham buland kerna hai, aap apna kaam kijiye hum apni apna kaam na chorein gay lekin aik baat yeh bhee zehan mein rakhiye k woh din ab kuch zaydah door nahin jis k baaray mein quran kehta hai k "Yauma Ae Zyn Yasdo Run Naaso Ashta Talle Yarao Aamalahum Fam'ny Yamil Miskaala Zarratin Khairyn Yaraa Wa Ma'ny Ya Mil Miskala Zarratin Shar'ny Yaraa".
