Assalam O Alikum
Dear Admin & Mod's
Main aap ki tawajo ek intehai sangeen maslay ki janib karana chahta hoon. Current Affairs k section main ek HC Member Karachiwala nay ek topic post kia hai,pakistan army k khilaf, hamain aus topic pay koi aeteraz nahain hai magar aus ka jo topic tittle rakha hai MR.Karachi wala nay aus pay hum ko aeteraz hai aunhonn ay topic tittle rakha hai. "Napak Army K Sharamnak Karnamay"
ek pakistani board pay pak army ka ye topic tittle koi munasib nahain lagta.k pak army ko napak army kaha jaay. aap say iltemas hai kay khudara is topic tittle ko change kia jaay aur Mr.karachi wala ko is baat pay warn kia jaay.
debate bilkul honi chaheay tanqeed aur apnay views bhe daynay chaheain topics par but jazbat ki rou main itnay aagay nahain chalay jana chaheay jiss say pakistan ki budnami ho aur pakistani board pay he pak afwaj ki tazleel ki jaay umeed hai ke aap is maslay pay fouri tawaja farmain gay. Shukria.......
Topic Link Mualhiza Farmain
Click Here
