Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Kabhie ~ Kabhie ~ Yun ~ Bhi...A Movie with Hcians ~ Official Topic
HulChul.NET > Masti - Masti > Female Gossip > Female Gossip Archive
Airy_Princess
Salamz and Hizz



Mastii Bharay Members ~ Respected Administration ~Sweet Guests

You All Are





So Yeh hai woh topic jahan app perh sako gay Aik aesi movie jiss main

shamil hain Internationally Best Forum K Best Members

G haan aik aesi movie jiss main Hum sab hain App sab k Samnay

Aik nayee Roop Main Aik Nayee Andaaz main

Umeed karti hon kay appkou yeh Movie Buhat Pasand ayegi

aur mera Kaam App Sab ki Umeed par pora uttray ga smile.gif

I want to Thanks Each n Every Hcian For Supported Me and My Work

here is my Work for every Respected Being in this Forum smile.gif

Plz Click the Image



Airy_Princess




Cast & Crew


Silent ViewEr As Ouliyaa Siraj



Uncertainty As Manaab Mir



Kamli As RuBaab Mir Haq {Sister of Manaab}

Known_Stranger As Kamraan Haq{Rubaab's Husband A man with beautiful Soul}

Forever Green As Zartashaa Ahmad {The Darling Girl}

Ilus As Raad Hassan {Best Friend of Manaab}

Nemo As Noumana Qazmi {A cute Fun ~ Manaab's Cusion}

Irational Methane As Salman Hassan {An Immitator~Raad's Elder Bro}

Seemaf As Mrs.Ajmal Hassan {Principal of Saint Xaiver Institute OF Social Sciences}

Shafaq As Mrs. Ashraf Seemaab Mir {Manaab's Mother}

Big B As Ashraf Mir {Manaab's Father}

Awaaz As Mrs.Anzalah Siraj {Ouliya's MOther}

Khalish As Faisal Saraj {Ouliya's Father}

Kamraan Noor As Taimoor Javed {Ouliya's Uni Mate}

Nomi 87 As Sir.Ahmad Qayuum {A Professor}

Daigo Khan As Ahsan Iqbal {Ouliya's uni mate}

Hamzaad As Abid Shah {Ouliya's Uni mate}

Tenha Saima As Amber Nadeem { Manaab's uni Friend}

Masoom Pari As Amna Nadeem {Manaab's Uni Friend}

Kinzzz As Nisha Usaf {Manaab's Uni Friend}


Written-Produced-Directed By ~ Airy Princess

Movie Main kuch Members ki Surprise Entries Hain unn k Credits Add kiye jaein gy Scene By Scene


For Any Suggestions or Comments Plz Send Me Ur Message through Private Message Service

Plz Dont Post Ne comments Here otherwise it will be deleted




Airy_Princess
aik aesi love story k saath jiss main reality sy khwaab tak

ehsaas se emaan tak aur raad sy raat tak

woh sab batien ju aik pyar kou baanati hain unique aur misaal sab k lye

aur yunhi banti hai aik kahani
... Kabhie Kabhie Yun Bhi ...

Kuch Khwaishien ... Kuch Bebasii ... Kuch Rishtey ... Kuch Raastay ...









22nd March 2007 ~ New York ~ Sard Hawaoon ka thikana ~ United States

Raat Hounay kou thi ... woh sardiyun k Din Thay...
barf pari huyi thi ... aesy main aik kameyaab Bussinessman khudh se khudh
k lye waqt chura kar aik bench par baitha aur aik lambi saans li aur badlon se nazar aaty huye
chaand kou dekhny laga ... aur apni bari bari lambi palkon wali ankhien band kien ...

uss tanhai main uss k aas paas koi na tha
ussi lamhay ...
Aik khanakti awaaz uss k dil-o-demaagh main gunji:

" Ouliyaa Janty hou Manaab ka kya matlab hota hai???
Chaand ki OoAsS yani tum mery chaand hou aur main tumhari OoasS ... Hahahaha ..."
aik hansi ne uss k aas paas k sanatay kou cheer dia aur fizaien mehki huien lagnay
lagien ... jab uss ne aankh khouli tou uss k pass koi na tha ... aur woh akela tha ...
Ussne aik thandi aah bhari aur Khudh sy batien karny laga ...




Ouliyaa: Woh Baarish Jesi Lagti Thi ...

khoobsurat haray bharay raston sy guzarna uska mamool tha ...
har choti si cheez par khoobsurat lafzon se usko ahmiyat day deti thi woh ...
Zindagi insaan kou woh deti hai ju insaan chahata hai ... We are Where We wished For ...
Han Aesa hi kuch Sochti thi woh ... par mery saath tou aesa kuch nahi hua ...

Ju Sochaa ... woh hi ... Kabhie Kabhie Yun Bhi ...{ussnay apni ankhien band kien aur uss thartharati sardi main

yadoon ki chaadar main khudh kou dhaanp lia ...



Airy_Princess
23rd March 2007 ~ Karachi ~ Pani par chalty Raastey ~ Pakistan





Saahil-e-samandar Bethi aik khoobsurat larki ... tez Lehron ka waqt se mavaznaa kar rahi

thi ... Doubtay Suraj kou daikh woh bouli ...Sapnay Kesay Baat Karien ...Han Kabhie Kabhie Yun
Bhi ... aur tez lehron kou

dekh beetay waqt ki yaadon main khou gayi ...




Airy_Princess


February 7th ~ 2001 ~ Islamabad ~ Zard Patton ka Maqaam ~ PAKISTAN



Aasmaan ka seena cheer kar Subah ne aik nayee Din ka aaghaaz kia ...

yeh naaya din uskay sapnoo ko pora karny ki pehli shourouaat tha ...



Manaab Mir

20 Saalaa Khoobsurat larki jisko zindagi k har pal sy pyar tha.
uss kay pass woh dil tha ju har kisi k sukh dukh ko jaan leta tha.
khudh sy zyada dousaron ko khush rakhna uska mamool tha.
Kuch logon k lye woh maghroor thi aur kuch k lye Mahnoor.
apny Father ki death k baad agher uski zindagi ka koi maqsad tha
tou woh tha apnay father k sapnay kou pora karna yani k Journalist banana.
uski zindagi uski pori duniya usski family usski Maa aur uski Behan thien.
Logon ki batien sunana aur sab apni diary aur behan se share karna uska mamool tha.
har kisi ki madad k lye woh har waqt taiyaar rehti.
par koi baat dil main na rakhti.
khudh par aaetamaad rakhnay wali manaab kou khudh par naz tha.
zindagi jesi bhi thi uski saheli thi... Khwaab dekhna uski adat thi ...
uska shauq ... Par kya khwaab sachay houty hain ...

Ajj bhi woh apnay sapno k saath appnay rastay par chall rahi thi.
aur manzil ko paanay main bechain thi...

uski muskurahat rasta aur rangeen bana rahi thi...
woh rasta ju zard paton {maple Leaves} ki khoobsurati se sanwarta tha
aur apny lye aik jadu sa rakhy huye tha ...
apny Happy Pink Scooter par Blue Jeans aur white kurta pehnay... ju red beads
k kaam se saaji thi
saath main red scarf k woh intehayi khush dikh rahi thi...
ajj university main uska pehla din tha.
Rastay main aye aik Signal ki red Light nay uska rasta roka
woh muskurai aur red light k green honay ka intezar karny lagi k achanak ...

Achanak ... aik Black color ki Honda City jou k kaafi speed main arahi thi
aik damm breaks lagaein k scooter ki back light tootatay tootatay bachi aur car ruki ...
Manaab : Andhay hou Kya ??? Ankhien Hain k Tich Buttons ??? Hunh ???
Ouliya:[mob par baat karty huye] Ok T.J {Taimoor javed} main tumko university main milta hon.
Manaab: Main Kuch Keh rahi hon App Se.
Ouliya: [door mirror kou neechay karty huye] Halmet utar kar kuch bolo gi tou Mujhey Samajh ayega na.

[manaab halmet utartay huye Jab woh Halmet utarti hai tou uss k halkay sy bandhay
baal khul jaty hain aur uski
khoobsurti subah k sawaray ko aur chamkaa deti hai]

Manaab: Mr.Thing Main app se yeh poch rahi hon K app Andhay hain ya Behray Ya kya???



Ouliyaa Siraj Aik normal sa insaan
na hi hadh sy zyada acha na hi hadh sy zyda burra... Ghuseela hai ...
batien dil main rakhny wala par dil ka buhat acha aur sacha ...
aik aesa insaan jou routay main hansaa day par over nahi serious sa ...
zindagi kou serious lenay wala ... aik kameyaab insaan ju kameyaab ho kar bhi adhoraa hai ..
he is Man of his words ...

zindagi sy bharpoor insaan ... Par woh kya chahata hai yeh koi nahi janta ...
Khudh main aik raaz ... Ouliyaa ...

ouliyaa:[palkien jhapkaty huye]kyun kya hua Meri eyes ko le kar kya problem ho gai
apko Miss.Thing smile.gif
Manaab: App ne Dekha app ne Kya kia??
Ouliyaa:[Muskuraty huye]Kya g ???
Manaab:[ouliyaa ki hansi sy mazeed ghusaa khaaty huye] Mery Scooter ki Light Abhi Toot Jati
tou ...
Ouliyaa: tou ... Kya hua ??? Tooti tou Nahi na ...
Manaab:Tum jesy larkay apny app ko Samajhty kya ho???
Ouliyaa: Ju tum jesi Gals Khudh ko nahi samajhtien E9.gif
Manaab: Enough is Enough u r such a ...
Ouliyaa : I know m the Bestest being of the world smile.gif
Manaab: Ghalat sochty ho bilkul
Ouliya: han i knw k tum ghalat sochti hou E9.gif
Manaab: U r Sick
ouliyaa: m sick of ... ??? soch kar batana zaroor Miss Thing.
manaab: youuuuuuu [ouliya ki tarf ungli uthaty huye]
Ouliyaa: [Purse sy paisey nikalty huye] Yeh lou Kuch Paise Rakh Lou,ju nuksaan hua hai pora
hou jayega issmain aur haan tum aesa karna aik thanda juice b pee lena.so that ghussa zyda
na rahy baki.[apna door mirror upar karta hai aur tezi se speed main apni car nikal kar le
jata hai aur Manaab apny kadmon main giray paison ko utha leti hai ...




Airy_Princess


{sakht kharab mood k saath maanaab university k gate sy andar enter hoti
hai aur dil hi dil main ouliyaa kou kouss rahi hoti hai k
aik awaz ati hai}

Raad Hassan ~ Manaab's Best Friend



kehny ko tou raad manaab ka best
friend hai par haqeeqat main woh dil hi dil main manaaab kou pasand karta
hai par ajj tak kabhie keh nahi paya kyunki woh manaab ki narazgi sy darta
hai k kahin manaab naraaz na hou jaye kyunki woh uski childhood friend hai
Raad Hasaan Mrs.Kashaf Hassan ka beta hai ju k University ki principal
bhi hain ... aur Manaab ki ami Mrs. Seemaab Mir ki Best Friend hain.Aik aesa Larka jou manaab kou khush dekhny k lye koi bhi qurbani dy sakta hai uski lyf ka aik maqsad hai k woh manaab ki narazgi bardasht nahi kar sakta}


Raad: wow Manaab tum agayi
Manaab: Dikh nahi raha hai kya blink.gif
Raad:{muskuraty huye} han dikh tou raha hai par yara
main actually tumhara hi wait kar raha tha
ajj humara pehla din ju theraa masters ki Class main smile.gif
we are friends forever
Manaab :{Muskuraty huye} han woh tou hai we r friends 4ever.
Walaikum-asalam raad smile.gif
Raad: kya matlab ????
Manaab: uss salam ka jawab dy rahi hon ju tum ney mujhye kia hi nahi
Raad : Muskuraty huye oh Assalam-o-Alaikum ohh tum bhi na Mani ...
Manaab: kitni baar kaha hai k mujhey kisi nick sy matt pukara karo
I hate Nicks
Raad: E9.gif

{itnay main college k gate se Naumana entry marti hai jin kou Manaab k scooter par uss k saath ana nahi pasand unko pasand hai walking ... }


Naumana A.K.A Nemo ~ Manaab's Cusion



Naumana A.K.A nemo
manaab k mamoo ki beti hai.Nemo k parents ki death tab hou gai thi
jab woh 3 saal ki thi bass tab sy woh apni khala k saath rehti hai smile.gif aur
rubaab aur manaab kou apni sisters manti hai.Nemo aur Manaab aik umar ki hain
par 2no ki nature hadh se zyada different hai.Nemo kou har waqt apny looks ki
pari rehti hai.new brands use karna uski hobby hai aur tou aur woh
raad kou dil hi dil main kuch zyada hi pasand karti hai aur har
creme k new add main apny aur raad k sapny sajati hai}


Airy_Princess

Nemo:Manaaabbbbbbbbaaaaaabbbbbbbbbbbb{chilati hui manaab kou pukarti
hai par manaab nahi
dekhti}
Raad: manaab nemo ayi hai
manaab:maloom hai main behri nahi hon
Raad:lagta tou hai E9.gif kyunki woh bechari tum ko bula rahi hai aur tumho k
manaab : kya hon main k ... aur wah ... B E C H A R I
kya baat hai tumhari hamdardian buht hain uss sy E9.gif
Raad: kya karon tumhari mujhsy ju nahi hain E9.gif
Manaab: matlab???
Nemo : ufffffff Manababbbbbbbb main kitny arsy sy tumkou pukar rahi hon
manaab: tum mujhey nahi na janey kis mabaab kou bula rahi hou aur main
tou manaab hon
Nemo: khair hai ajj bari jali hui hou E9.gif
Raad: exactly sahi kaha main bhi yehi note kar raha tha
Manaab: kuch nahi hua yaar smile.gif
Raad-NEMO:HUM NE KAB KAHA K KUCH HUA HAI...

{In the Mean time Zartasha Uni k gate sey andar dakhil hoti hai...}


Zartasha A.k.A Tashu



So much
Smart but not so much beautiful girl han woh modscod hai par Maa kou dekhany
wali nahi aesy uss k baaray uni k sab larkay kehtay hain yeh ma'am Ouliyaa
k father k dost ki daughter hain aur zabardasti ouliyaa par khudh ko thoupti
hain ... yeh ouliyaa sy oh ... ouliya ki daulat sy buhat ziada pyar karti hain Par...
aur kitna karti hai yeh sabit karny k lye woh ouliya k saath hai chahey k woh ghalt hou aur kyunki ouliyaa Loves dog so she does ;) }


Raad: wow woh dekhou kitni preety chick hai
Nemo: han patah nahi kounsy brand ka make up use kia hai
manaab: {bina zartasha kou dekhay} raad tmkou tou har koi preety chick
lagti hai E9.gif
Raad: hunh Very Funny
Nemo : bina dil sy muskurati hai

Zartasha:{Taimoor Javed sy mukhatib hoty huye} Oh Hello T. J dear chalo
sabash meri car kou park karo {aur keys taimoor k haath main deti hai}
T . J = zartasha ki video banaty huye apny movie cam sy han kyun nahi tashu
main tou tmhari khidmat k lye hi iss uni k chakar lagata hon.


Taimoor Javed A.k.A ~ T . J`



T.J ouliya ka best friend hai uss say buht pyar karta hai ohoo dosti wala ...
aur ouliyaa kou hamesha seedi raah dikhta hai buht mashwary deta hai
college ki har larki usko pasand hai woh har aik specially girls k kaam
kar deta hai isslye ussy buht sy gals apni kaam karvati hai aur chali jati hain
koi dosti nahi karti actually T.J k mutabik bhi usko abhi tak Woh ^^^
nahi milli jiska intezar hai ...



Airy_Princess


{bell bajti hai ... First class start hoti hai aur sab apni classes ko
chalay jaty hain}

Raad-Nemo: Kya hua hai manaab abb hum se bhi chupaao gi
Manaab: tum baith kar uss k new product ki price pochou
future main tmko yehi chezien kam aiengi E9.gif
Raad: kyun E9.gif tumko tou cosmetics ka shauq nahi E9.gif
{Itny mai Professor Sir.Ahmad Qayuum Enter hoty hain
aur sab unki respect main khary hou jaty hain...Prof baithny ko khty hain}


Sir Ahmad Qayum



{Ahmad Qayum kou class k students ki looks
main itna koi interest nahi hai jitna k unko un k future main interest hai...
par class ki female Students ... ohh ... woh book sy zyda sir ki dashing
looks kou perhti hain aur Sir hain k sab k sapnay suntay bhi hain aur sabko iss kabil bhi
banaty hain k woh apnay khwabon kou pora karien ... }


Sir: Sab apni Books band kar dien
Abid Shah: but kyun sir kya ajj apki shaadi hai E9.gif


Abid Shah



ik middle class family ka larka hai par ouliyaa ka school
mate hai his interest is electronicmedia so ... yeh sapna usko yahan le aya ... aik
shararti hansta muskurata insaan


Sir: Jab hougi ussdin app sab kou bulaon ga.ap yahan thori na hogay sab.

Nisha Yusaf: aahhhhhhh pata nahi mera uss shadi main kya role hoga


Nisha Yusaf:



Buhat cute aur pyari si larki ... jisko dress designing ka buht shouq hai par uss k parents ki demand hai k woh Mass Communication main master ho aur yeh uska nahi uss k parents ka khwaab hai par uska dil designing main hi hai aur har waqt kuch na kuch draw karna uski hobby ... aur han har sir aur har handsome insaan
ki D E E W A N I hai ~ NISHA ...


Sir:Apki buht hansi nikal rahi hai smile.gif ok give me ur introduction class smile.gif

{sir ki baat abhi pori bhi nahi hoti k ... Salman Hassan door par knock kar
karta hai}



Salman Hassan



Salman Hassan jou k buhat hi Handsome insaan hai aur bakool manaab woh raad ka
bhai bilkul nahi lagta hai after doing his MBA he is now the part of administration
in the university ~ He is proud and Arrogant ~ larkian inn k pechay ati hain
aesa yeh kehty hain par class main entry deny ka saboot yeh hai k yeh check karny
aye hain k kounsi new gal ayi hai aur woh kesi dikhti hai aur kesy uss k saath
flirting ki jaye ~ yeh itny baray flirt nahi hain buss HE LIKES GALS aur han
mashwary dainy very fashionable hunk in the uni jiski sari gals Dewani hain... par koi ajj tak us kay pyar main pagal islye nahi hui kyunki unki 1 ankh kharab honay ki wajah sy
dikhny main aesa lagta hai k woh sab kou ankh marr rahy hain
aur gals tou chahati hain k woh ankh kisi aik k lye hi pharkay even k salman ki lakh koshishon k bawajood woh aik ankh kisi aik k lye nahi pharki


Salman: Sir Ahmad Ur lecture is over now...Mom ...ooopss Ma'am is calling
new students for agenda n btw the pinky chick{pointing 2 nisha}
U r looking Sweet... {nisha yeh compliment paa kar buht khush hoti hai}
Manaab: Hamesha kehti hon ajj bhi kahon gi raad yeh Nasheeli Ankhien mujhey
u ka bhai nahi lagta
raad : han i knw main iss se ziada handsome hon E9.gif
Manaab : blink.gif J O K E . O F . T H E. D A Y E9.gif He is cute par kya karien unki eyes ka :(

{saary students Agenda main jaty hain aur wahan sy V.P ka lecture sun kar
wapis hi aa rahy hoty hain k wapsi par rash se daur kar jaldi aty huye manaab
pechay reh gaye Raad aur Nemo ki taraf dekh kar muskura rahi hoti hai k aik dam
usko dhaka lagta hai aur woh gir jati hai samnay .... ...}



Airy_Princess
{Manaab uthti hai tou samnay tashu kou khara dekhti hai aur pehlay sy kharaab mood ju k kuch acha hounay ko hota hai mazeed kharab ho jata hai kyunki actually manaab kou dakha zartasha ne hi dia hota hai kyunki woh khudh ouliyaa kou dekhtay huye uss se batien karty ullti chal rahi hoti hai bina sahi sy dekhay}

Manaab: Daikh kar nahi chall sakti kya Tum ?
Zartasha: Excuse Me ... Miss Bilkul Blind I think ye sab mujhey app se kehna chaheye kyunki app mujhey nahi
apny sy pechay dekhnay walon kou daikh kar chal rahi thien shayad app ulta chalna pasand karti hain.
Manaab: Shut up main nahi andhi tum khudh hou jisne mujhey jaan boujh kar giraya
zartasha: wow kya kamal ki larki hou tum apni ghalti manany kou taiyaar hi nahi ho So Silly n Poor You
Manaab: tum apni ...{abhi manaab ki baat mukamal bhi nahi hoti k usski nazar samnay sy atay huye ouliyaa par parti hai ju usko daikh kar kaafi tamaskhaarana muskuraa raha hota hai aur saath hi peechay sy Raad aur Nemo bhi ajaty hain}
Raad: Kya hua Manaab
Manaab: woh Main ... {aik dam ouliya kareeb ata hai aur iss sy pehly k manaab kuch kahay bolta hai}
ouliyaa: aray hona kya hai Hamesha ki tarhan Miss Thing ne tang kia hoga aur apni ghalti bhi nahi mann rahi hogi haina tashu?
zartasha: Exactly {haan main haan milaty huye} Haan tum bilkul sahi keh rahe hou ouliyaa hamesha ki tarhan u knw kuch loag
ouliyaa: {manaab kou dekhtay huye} arey tashu tumhien kuch kehnay ki zaroorat nahi janta hon aaisey loagon kou. {Qehqaa marty huye zartasha k saath}
Raad: Dekhou Mister tum kuch zyada hi bakay ja rahy hou
Nemo: Haan bina sochay bina samjhey kuch bhi boulay ja rahy hou
Manaab: THATS IT {sakht ghussay main aur raad ki tarf dekhty huye kehti hai} Humein Aaisey logon k monh nahi lagna chaheye
ouliyaa: kyun miss thing ajj brush nahi kia {kehta hai aur hans parta hai iss baat par nemo bhi hans parti hai}
Manaab: {Ghussay sy nemo ki tarf dekhtay huye} Abb chalien ya ..... ????
{Uni Cafe Main Manaab-Raad-Nemo ajaty hain aur manaab ka mood kharab daikh kar 2no chup hoty hain...chair par baithty hi kaafi confuse hua raad apni soft si awaz main kehta hai}
Raad: Manaab kya hua kuch bolo tou sahi
Manaab: Kuch Nahi
Raad: Manaab Kab tak dil main batien rakhou gi
Nemo: {raad ki haan main haan milaty huye}Haan na kuch bolo na manaab plzzzzzzz
Manaab: {sakht ghussay main} Kya tum abhi bhi chup nahi karo gi Nemo???
{sab khamosh hotay hain k cafe k door main se aik hansti muskurati larki dekhayi deti hai aur 4 chairs main sy aik khali chair k pass akar muskuraty huye kehti hai...}
Amber:May I Join You People????


Amber Nadeem



Aik bhut hi khushbash aur har waqt muskurany wali larki ... ju apny sab friends ka hamesha saath deti hai aur unki khushi main khush rehti hai she has brilliant ideas ... himmat dena aur honsala berhana Amber ki adat hai ... Friends banana uski adat hai ... Mass Communication k first semister main Manaab-Raad-Nemo ki tarhan aik New comer firendship circle ka hissa banti hai

Manaab:[zabardasti muskuraty huye} Yeah Sure plz Kyun nahi ... aao nah smile.gif
Amber: Thanks smile.gif Main ne sab dekha manaab aur main janti hon k iss main tumhari koi ghalti nahi hai ya k tum yeh keh lou k na hi ghalti
tmhari thi na hi uss larki ki par main hairaan hon iss wajah sy k tum nay apni itni insult k bawajood kuch bhi nahi kaha uss kou ..
Manaab: Kisko Uss ouliyaa kou??? ya uss larki kou ???
Raad: wow tum kou usska naam bhi maloom hai janab aur ...
Manaab: haan ussi car ki number plate dekhi thi subah main ne uss par likha tha Ouliyaa's 1
Raad : wah yani k lamba pesa hai wah ry logon ki kismat dekh aur aik main hon {monh banaty huye}
Nemo : achay bhalay tou hou
Raad : Oh ReAlLy??????
Amber: tum loag kesy dost hou apni par gayi tum dounou kou hum manaab ki pareshani discuss kar rahy thay...
Manaab: Yeh bhi na { seat se taik lagaty huye}
Raad: By the Way wesy tum hou koun aur idhar aik damm se humary saath beth gayi hou aur humari dosti kou ...
Amber: Buss karo apny dialouges dekh li tumhari bhi dosti aik sahi sy larky kou chup tou karva na saky tum
Manaab: R E L A X B U D D I E S
Nemo: Bhuddies main bhuddi nahi hon blink.gif
Manaab : Nemo kya tum plz khamosh raho gi??? {amber sy mukhatib hoty huye}
Koun hou app??? aur iss tarhan ??? aur mera naam apko kesy maloom?
Amber: {muskuraty huye}Mera naam Amber hai Amber Nadeem smile.gif Main app sab ki class fellow hon smile.gif ajj late ayi thi tou agenda main pechay hi khari thi
app ko iss tarhan dekha tou mujhsey raha na gaya mujhey dost banany achy lagty hain aur app loag mujhey achy lagay so main ne socha ...
Manaab : Kya socha app nay???
Amber: kuch nahi kya hum sab dost bann sakty hain ???
Manaab : hmmm main itni jaldi kisi par trust nahi karti na hi apni itni tareefien sunany ki aadi hon smile.gif par kisi khushbaash insaan k saath main
itni rude bhi nahi ho sakti so Friends smile.gif par dosti ka sahi matlab nibahany mai waqt tou lagay ga hi smile.gif
Amber : Exactly sahi kaha app ne ...
Manaab : Nah nah .... Tum nAy smile.gif doston main kesi formalities
Raad: M Raad .. main raad hon
manaab: raad with translation na bolo E9.gif amber yeh hai raad mera dost ..
Raad : acha wala smile.gif
manaab : yeh Acha wala smile.gif aur yeh {nemo ki taraf ishara karty huye} meri cusion Naumana isko hum sab Nemo bulaty hain
Raad: yeh nick main ne dia hai smile.gif
Amber: Nice names n nicks smile.gif
raad-manaab-nemo : thanks smile.gif
amber :thanks kesa smile.gif we r friends nah smile.gif
Manaab: Exactly smile.gif
Amber : so manaab batao kya hua tha tumhary saath smile.gif apna mann halka karo na yaar smile.gif
{Manaab ouliyaa k saath huyi sari mulaqat k baaray main 3no kou batati hai sab sun kar kehtay hain ...}
raad: manaab tum ny woh pesay kyun uthaye ???
Manaab: 1 din uss k monh par maronn gi
Nemo : Mujhey dedou larny ki kya zaroorat hai main new Fair n Lovely laaongi uss se suna hai color buht fair hota hai
Manaab : {ghussay sy nemo ki tarf dekhty huye} Tum phir Bouli ???
Nemo : Meri hi insult karna tum uss ouliyaa kou tou kuch na keh saki tum hunh
Amber: R E L A X ... Hum yahan manaab ka masla discuss kar rahe hain na k jagharna chahaty hain Right???
Raad: Yeh
Amber: Manaab tum ny kyun nahi kaha kuch ussko ??? uss larki sy tou larnay lagi thi tum par uss ouliyaa k aaty hi tum kuch na bouli ... kyun???
Manaab: Yar kya karti mery bhaiyaa kehtay hain k Larkon se batamizi nahi karni chaheye kya patah kounsa larka kesa hai? aur woh na janey
kya boll day agay sy ...
Raad: How Sweet tum buht achi ho manaab smile.gif
manaab : thanks smile.gif
Amber: hmmm par i think yar ... k laaton k bhoot baton sy nahi manty hain
Manaab: Matlaab ????
Amber : Matlab yeh k itna khamoosh rehna bhi acha nahi hai ... itni chup raho gi tou iss tarhan tou woh tumhari jab bhi millien insult kar sakty hain
aur woh tou hai bhi issi uni ka MBA ka student hai
Manaab : Tum uss k baray itna kesay janti hou Amber???
Amber: Iss tarhan sy k woh Meri bari sis k Fiancee ka class fellow hai aur uss k baray pori uni janti hai meri sis bhi issi uni main perhti hain
woh Masters kar rahi hain Social Relations main smile.gif
Manaab: Wow very Good smile.gif
Raad: tumhari sister bhi hain Amby???
Amber: Nice nick raad 4 me smile.gif tum mujhey iss nick sy pukaar sakty hou
raad : daikh lou manaab mery qadardaan :)aur aik tum hou ...
manaab: buss b karo abb ... han amber tum kya keh rahi thi ???
Amber: Main yeh keh rahi thi k tum ko bhi usko sabaq sikhana hoga aur hum sab tumhary saath hain smile.gif hum janty hain k tum sahi ho smile.gif
Manaab: par ager kuch pangaa ho gaya tou smile.gif
Raad: tou main hon na aur ami tou iss uni ki principal hain smile.gif
Amber : haan aur ouliyaa k father k fund se ye uni chalti bhi hai smile.gif
Manaab: Lou kar lou baat ahaaa ... aur aunty tou raad hamesha sahi ka saath deti hain aur tum tou meri ami ko bhi janty hou woh tou ...
Amber: par tum apna honsla na haro Manaab tum kuch bhi kar sakti hou aur uss ko sabaq sikhana hi hoga smile.gif
Manaab : han keh tou tum sahi rahi hou main uss par ghussa tou buht hon
Nemo :Aur woh ghussa mujh par nikla
Raad-Amber: E9.gif E9.gif
Manaab: ohhh sorry cuttie smile.gif [nemo kou hug karty huye} aray tum meri sis hou mera maan isslye tou boll leti hon
Raad: aye kaaashhhhhhhhh ....
Manaab : Raad ....
raad: kya hai ??? Main tumhara bhai hounay ki wish nahi kar raha tha main tou
Manaab: buss kar dou Leave it
Amber: E9.gif tou phir kya soucha ???
Raad: kis kay mery baaray main yeh kuch nahi sochay gi aur phir pachtaye gi E9.gif
Amber: plz b serious smile.gif
Raad: ok smile.gif
Manaab: smile.gif tum sahi keh rahi ho sabr ki hadh hoti hai aur khair dekha jaye ga jou hoga Mister ouliyaa abb dekhty hain kismat mery hathon tumhara kya haal karti hai
Raad: ohhh wowwww
nemo : kya hua ???
Raad: Nisha really pink main achi lag rahi hai E9.gif
Amber: E9.gif tum bhi na Raad
Manaab : buhat acha dost hai smile.gif acha abb fazool ki salman bhai wali harkatien buss karo aur chalo kuch order karo.
Raad: Ok Boss smile.gif


*Kainaat*

Moderators....

Please !!! Iss topic ko Unpin nahi karain


Reason: This has to be pinned untill the end of the Movie
cuz all links of scenes are posted here...

I take the responsibilty of pinning or unpinning of this Topic from now Onwards

Thanks
-Kainaat

Airy_Princess
{Sara din koi class nahi hoti aur students baithay gapien mar rahy hoty hain ... Manaab-Raad-Nemo-Amber 4ron ki achi dosti ki shurouaat
hou gayi hai aur 4ron baaton main mash'ghool hain}

Manaab: Yarou Tum sab ne mera Scooter Dekha hai ???
Raad: han dekha tha subah par iss se pehlay main kuch kehta tum kaafi jaali bhuni hui si thi E9.gif
Nemo- Amber: E9.gif E9.gif
Manaab: hans lou tum hansi dekhi hai u nay apni Khataara car ki starting si E9.gif
Nemo-Amber: E9.gif E9.gif
Raad: aray yar serious kyun hoti hou ??? meri hansi jesi bhi hai car tou hai tumhari tou scooter si E9.gif
Manaab: very funny blink.gif
Raad: ok janab maafi qabool kar lou smile.gif
Manaab: kar li E9.gif
Raad: Manaab tum hansty hi achi lagti hou smile.gif
Amber : I do Second You smile.gif
Manaab: Acha main tum sab kou apna new scooter dikhaon smile.gif uss main buhat features hain smile.gif
Raad: I knw my dear Manaab k woh scooter tumhien kitna azeez hai smile.gif
Manaab: Han
Amber: Kyun New hai isslye nah???
Raad: nahi isslye nahi na hi apnay features ki wajah sy na hi islye k woh manaab k fav color ka hai na hi islye k woh naya hai ...
amber: phir bhi woh special hai kyun???
Manaab: Jab main choti thi tab sy mujhey scooter aur high bikes ka buht shauk tha smile.gif abu ne wadah kia tha k jab main bari hongi tou woh mujhey scooter
le kar dain gay smile.gif abu ny paise patah ...
Raad: {baat kat a tay huye} aray nahi patah iskou tum batao nah manaab smile.gif
Manaab : .... smile.gif abu nay paisey jab main 14 years ki thi tab hi jamah kar lye thay smile.gif par ami nay unko khareednay na dia aur abb ja kar ami ne permission di k main le lon
Amber: aray abu kou kehti thoray aur pesay jamah kar k tmkou koi car hi lay dety smile.gif
Manaab: han agher woh zinda hotay tou shayad aesa hi karty smile.gif
Amber: Matlab ???
Manaab: jab main 15 saal ki thi tab hi woh mujhey ami aur Baji kou chorr kar iss duniya sy chalay gaye smile.gif {ankhon main ansouon k saath} patah nahi achy loag
itni jaldi main kyun hotay hain smile.gif
Raad: dekhou manaab meri kasam hai tum ko rouna nahi tum nay smile.gif aunty bhi tou tum sy buhat pyar karti hain na smile.gif
Amber: M sorry Manaab :(
Manaab: ohh no its ok smile.gif fine tum janti na thi smile.gif Ami mujh sy buhat pyar karti hain smile.gif aur unho ne abu ka promise mujhse pora kia smile.gif aur janab now i have new scooter {ansouoon k saath muskuraty huye}
Nemo : { bag sy perfumed tissue nikalty huye aur khudh ki ankhon main b ansouon k saath} yeh lou manaab tissue Perfumed hai rose patel ka new sachet tum iss se
apny qeemti ansoo saaf kar lou na befikar raho main tum sy paise nahi longi ghar ja kar :(
Raad-Amber:Manaab: E9.gif E9.gif
Manaab: aray abb main itni kamzoor bhi nahi E9.gif {tissue sy apny aur nemo k ansou saaf karty huye}
Raad: {Baat kou taltay huye aur manaab ki muskurahat wapis laanay kou} Chalou g saray Manaab k scooter ki checking karty hain smile.gif
Amber: par woh parking area main nahi janay dain gy abhi
Manaab: isko sab janty hain aunty ...
Amber: ohh samajh gayi smile.gif



{ Amber ... Manaab ... Raad ... Nemo 4ron apny bags pakar manaab ka scooter dekhny uni k parking slot ki janib rawana hotay hain ... Parking Slot main Zartasha khari
apni car se apni assignments nikal rahi hoti hai ju woh car main bhool chuki hoti hai ... achanak woh manaab kou ussi janib aatay dekhti hai ... Manaab ki insult kar k bhi uss ka dil bhara nahi hota aur woh chahati hai k ouliyaa mazeed manaab ki insult kary ... issi lye woh aik plan sochti hai ... usski car k pass hi kuch pepsi ki tooti bottles pari hoti hain woh unn bottles kou ouliyaa ki car k tyres k bilkul neechay saath laga deti hai.car ki backseat k door ka sheesha neechay hota hai wahan aik note likh kar phaink deti hai }

Taimoor Javed: Tashu tum kya kar rahi hou???
Zartasha:[muskuraty huye} aray kuch nahi yar
Taimoor javed: par ... ???
{C'mon students get in the class ... sir ki awaz atti hai }
zartasha: chal chal andar T.J {class main jatay hi zartasha ouliyaa ko paper par likh kar aik note deti hai k plz apni car thori agay kar lena mujhse door open nahi ho raha sahi se iss class k khatam hotay hi}
Ouliyaa:[muskuratey huye ahistaa sy} Sure Tashu smile.gif
{class k over houtay hi ouliyaa parking slot ki janib jata hai wahan manaab buht khush hoti hai aur apna scooter apny friends ko dikha rahi hoti hai ouliyaa khudh se batien karty kehtay hai}
Ouliyaa: Smile tou achi hai
{manaab ouliyaa kou uski car k pass ata dekh rahi hoti hai woh uski tarf dekh kar muskurata hai tou woh apni ankhien ghumaa kar monh dosari tarf kar leti hai.Ouliyaa
ehistle karta manaab kou dekhtay apni car khoultaa hai aur start kar k thoraa agay peechay karta hai ... aik damm zabardasht * B A N G* ki awazien aati hain aur ouliyaa ki car k 4ron Tyres Flat hou jaaty hain ... zartasha khari sab kuch dekh rahi hoti hai aik damm se awaz sun ouliyaa k pass la-taluki sy aati hai jesy kuch janti hi na hou}
zartasha: Kya hua ouliyaa??? Yeh awaz kesi???
Ouliyaa: {apni brand new Black Honda City sy bahir nikalta hai aur kehta hai ...} Shit ... Oh Shit ... I love my car ... Oh My ...
Zartasha: [car ki backseat se apna hi likha paper uthaty huye] Oh God Ouliyaa yeh kya hai ???
Ouliyaa: Kya???
Zartasha: yeh dekhou ... {note page ouliyaa k haath main detay huye}
[ouliya paper le kar ounchi awaz main perhnay lagta hai ... amber-Manaab-Raad-Nemo aur baki aur Uni students bhi awaz ki wajah pochney ouliyaa k kareeb atay hain]



Ouliyaa : [perhtay huye} Kesaa lagaa apkou mera Badlah Sir??? iskou kehtay hain Jesay kou Taisaa ... app ny meri insult ki main ne app ki pyari car ko aur pyara kar dia
without any respect ~ Miss ThInG
Manaab: [saara note sunn kar hairaan hou jati hai aur apni masoom si awaz main kehti hai} par Listen Main ne aesa kuch bhi nahi kia
Ouliyaa: Tum aur kitna jhoot bolou gi ??? aray akhir tum hou kya ??? apni aukaat dekhi hai tum ne ??? [ouliyaa bina kissi ki baat sunay sakht ghussay main agay manaab k scooter ki janib haath main pathar pakray agay berhtaa jata hai aur manaab k brand new scooter ki light torr deta hai aur kehta hai... light ka sheesha manaab ki left arm par lagta hai aur khoon nikalny lagta hai ...]
Ouliyaa: tum jesi larkiyun kou sabaq sikhanay k lye mujhey chaheye tha k main yeh light tabhie torr deta jab iskou tootna chaheye tha
Na janay kya samajhti hou tum apnay app kou ... tmharay iss 2 takay k scooter ka meri car sy kya muqabla tumhare parents
ki umar guzar jaye iss car k sapnay dekhty huye bhi par hasil na kar sako.
[manaab apny parents ki aur apni insult ko le ghusaay main ajati hai aur bina apni bazo sy nikalty khoon ki pervah kiye ouliyaa k pass ati hai aur aik zorr ka
thappar ouliyaa k monh par day marti hai ... sary students khamosh ho jaty hain sanata sa chaa jata hai ... taptti dhoop ki doupaihar main ghussay main ankhon se nikalty ansou aur bazo sy behtay khoon ki bina parvah kiye manaab kehti hai ...}
Manaab: Main tou apnay app kou insaan hi samajhti hon par tum jesay loag khudh kou Khudah samajhty hou... jab hum jesy loag mehnat karty hain tou tum jesy
logon k maa baap kou humari mehnat ka phaal khanay kou milta hai aur ussi paisey par tum itna naaz karty hou.khdh ka apna banaya kya hai tumhara ju iss
tarhan khudah jesa behaviour kar rahy hou aray mujh jesy logon main tameez tou hoti hai aur woh shayad iss lye kyunki mere maa baap ne mujhey izzat dena
dousaron kou aur insaan kou insaan samajhna sikhaya hai tameez sikhayi hai par tumharay pass tou woh bhi nahi hai. Main ne tumhari baton kou apni sharafat
main akar bardasht kya kar liya tum tou mery sar par charhny lagay Main ny jou kaam kia hi nahi Main kyun manoon k main ne kia hai... aur jis tarhan tumhien
apni car pyari hai ussi tarhan mujhey mera scooter .... aur feelings main koi STATUS nahi hota hai...
Ouliyaa: You ......
{taimoor javed students ki bheer kou cheerta hua ata hai aur zartasha ka haath pakar kar usko sab k darmiyan se ghaseeta lata hai aur ouliyaa k pass la kar khara karta hai aur kehta hai ...}
Taimoor Javed: Buss ouliyaa chup ... chupp kar jao Ajj ... iss waqt tum ghalt hou ... tum jantay hou k yeh sab kisne kia hai tou dekhou ...
{taimoor javed apny video camera se playback kar k dikhata hai woh sari recording ju uss nay tashu ki banai hoti hai bottles k sheshay rakhty huye}
taimoor javed: Daikh lia ouliyaa ... jis larki ko tum apna dost kehtay hou yeh sab kaam usska hai
zartasha: yeh jhoot hai ouliyaa
Taimoor:Bakwaas karti ho tashu tum ??? aur kitny jhoot bolo gi ??? aur kitnay larkon k saath???
{Manaab ki bazo sy khoon nikal raha hota hai Manaab aur uss k friends iss se pehlay k woh kuch kahey ya mazeed ouliyaa kuch boulay manaab kou lay kar uni Dispensery main le jaty hain}
zartasha: Ouliyaa ...
Ouliyaa: Mazeed aik lafz bhi matt kehna ... ajj sy main tumko nahi janta Zartasha AhmAd
{Ouliyaa chala jata hai aur sary students bhi chalay jatay hain}






Airy_Princess
{ Manaab ka scooter Nemo chala kar ghar le kar ati hai.Manaab ki bazo par pati bandhi hoti hai.Nemo Scooter Gate k samny khara karti hai ]

Pyaar se juray rishton k bandhan ~ Manaab's Home Sweet Home



Manaab: Nemo Suno Ami kou sab na batana acha plz.Aesy hi Ami Pareshaan hongi theek hai.
Nemo: par phir kya kaho gi manaab tum ??? wesy ajj ju hua ...
Manaab: Buss yar mujhey abb koi lecture nahi sunana hai ...
Nemo: Tou plan tou bata nah aur woh Raad uska kya hoga woh nahi bataye ga Poophoo ko???
Manaab: Nahi batayega ... kyunki woh Raad hai Manaab ka sab se acha dost ... Main ne usko manah kar dia hai
Nemo: Soch ly ...
Manaab: Soch lia smile.gif abb tum normal ho kar andar chalo.
Nemo: Manaab tum apna yeh dard chupa kar kya karogi ??? aur yeh scooter ki lite ju tooti hai ???
Manaab: mujhey buht dard hai ami ko patah laga na tou unko bhi dard hoga kyunki woh mujhse buht pyar karti hain.
aur rahi scooter ki baat tou main keh dongi k college main pari bajri sy tum khel rahi thi aur tum ne ghalti sy iss light par mar
dia aur tum tou janti hou k ami u kou kuch nahi kehtien smile.gif Haina
Nemo: Wah Manaab tou kitna acha sochti hai smile.gif
Manaab : chall abb bell baja smile.gif


{Nemo Ghar ki Bell Bajati hai Manaab ki Ami Darwaza khoulti hain}

Mrs.Seemaab Ashraf Mir
Mrs.Seemab ney Husband ki death k baad bhi himmat na hari aur apni betiyun kou har woh sahoulat muyasir ki jinki baitiyan haqdaar hoti hain.
Dousaron k saath acha karna aur Acha sochna yehi woh khayalaat thay jinho ne bina baap k bhi baitiyun ki khudh aaetamadi ko qaim rakha.
Manaab ki ami Manaab se buht pyaar karti hain.Bina bataye Manaab ki buht si batien jaan leti hain par zyada sawal nahi kartien
kyunki woh janti hain k manaab ka dil koi bhi baat unko bina bataye nahi reh pata.woh buhat achi tarhan janti hain k Manaab apnay baap ko
kita miss karti hai aur ye kammi koi pori nahi kar sakta.zindagi ki har aazmaish main pora utarny ki aik misaal ~ Mrs.Seemaab Ashraf




Semaab: agyi App douno
Manaab: Assalam-o-Alaikum Ami g Hum agaye
Seemaab: { Pareshaani sy manaab ki bazo ko dekhty huye } Manou kya hua hai ??? Yeh Kya hai { Haath main manaab ki bazo thamtay huye }
Theek ho na???
Manaab: Kuch nahi hua ami buss woh patah kya hua ...
Seemaab: Kya hua bolo beta
Manaab : Ami Woh .... { Aik Damm Rou parti hai }
Semaab: Kya hua ??? aray Naumana app hi batao kya hua ??? { aur ghabrai hui awaz main Rubaab ko Awaz Deti hain }
Seemaab: Rubaaaaaaaaabbbbbbbb Jaldi aao beta idhar {Rubaab ati hai aur manaab ko dekh kar hairaan ho jati hai aur hairangi sy pochti hai...}


Rubaab Mir Haq

Rubaab Mir Haq Peshay say {by Profession} aik wakeel.Kamran Haq ki zindagi uska pyar.rubaab ki har khushi kamraan sy souroh ho kamran par hi khatam hoti hai.Rubaab Apni behan manaab sy buhat pyar karti hai ju k uss sey 7 baras choti hai aur uski khushi ki khatir har khatray sy lar sakti hai.khoobsurat seerat aur surat ki malik ~ Rubaab Mir



Rubaab:Kya hua Manaab??? Ami kuch poch rahi hain aur tum rouyi ja rahi hou kyun kya hua??? aur ye nemo bi khamosh hai???
Manaab:{Honsla kar k ansoo ponchty huye} Bajo mery scooter ki light toot gayi hai nemo sy aur sheesha toot kar mujhy lag gaya
Rubaab: Oh GOD manou tum bhi nah ... hadh hai ... koi baat nahi manou tum new lagva lena aesy hi ami ko pareshan kar dia... theek ho jaye ga
u ka yeh zakhm aao main tum ko juice bana don
Seemaab: ohh Manou app bhi na beta nayi lag jayegi aur han nemo yeh kesy toot gyi app sy?
Nemo : poophoo woh ... {manaab uski baat kat ti hai}
Mnaab : chorain na ami ... bajo mujhey buhat bhook lagi hai ... kuch lao na khanay kou
Nemo : {andar dining Room Main aty huye} Bajo ajj app gaye nahi apny office
Seemaab: nahi ajj tumhary bhai ne request ki thi k main unnki pasand k murgh chanay pakaon so agyi sb kaam chorr kar tum tou janti hou na ... {sharmaty huye}
Manaab: Samajh gaye hum bajo app khana dou please jaldi sy

{Sab khana khanay lagty hain}

Status SymBol ~ Siraj Mansion Raat 8 Bajay



{Ouliyaa apnay room main apnay Bed par Leta hua hota hai aur tv par lagay songs Dekh raha hota hai saath hi uss k pass uska mobile para hota hai
jis par zartasha ki calls musalsal arahi hoti hain par ouliya koi bhi call receive nahi karta ... Taimoor aur Abid room main enter hotay hain}


T . J : kya hua ouliya baray chup chaap baithy hou {Muskuraty huye}
Abid: Bachi k kamal par hairaan hai yar apna bacha E9.gif
T . J : Bachi ne tou khoob kamal kar dia :d abid dekh tujhey ajj ouliya kuch badla badla nahi lag raha ??? E9.gif
Abid: han yaar sahi keh raha hai gaal dekh na mujhey tou abhi tak ussi bachi ki galoon jesy laal lag rahy hain E9.gif
Ouliya: Bakwaas band karo oye tum dono apni kab sy boli ja rahy hou hunh
Abid: Sach boll rahy hain hum masoom tou B.B.C channel ki tarhan :d yar ouliya tou ne apni vdeo nahi dekhi circus wali ???
ouliya : Matlab kya hai tumhara???
T.J : yar jab woh bachi tujhy dhou rahi thi baaton aur hathon sy E9.gif tab yeh teri palii si video bana raha tha tery hi mobile sy :d
tou nay dekhi nahi???
ouliya: Main ne Mob hi nahi dekha tou video ki baat karta hai hunh
Abid: [ouliya ka mobile pakarta hai aur dekhny lagta hai] haila 88 Missed Calls apni tashu tou gayi
T . J : chall janay dy yaar apni bachi hai woh kab sy humari dost hai aur teri tou kuch zyada hi ouliya E9.gif
Abid: Han yar ghussa chorr day aur sulah kar ly attend kar ly phone smile.gif
ouliya: tujhey kya lagta hai main usko maaf kar donga???
T.J: kya kaha uss laal galon wali bachi ne ajj ??
T . J - Abid {ikhty bolty hain} : Tum Khudah nahi hou Ouliyaa E9.gif maaf kar dy hou gyi ghalti woh bhi insaan hai akhir pyar karti hai tujhsy mera khayal hai
Ouliya: P Y A R main nahi parta inn chakron main islye main kisi larki ko lift nahi karvata k ulta matlab le leti hain sab aur yeh tashu iss sy aesi umeed na thi mujhey
Abid [ tashu ki call recieve karty huye] : han tanshu yeh lou T . J sy baat karo
T . J: pali tashu teri sulah ho jayegi ouliyaa sy buss tou treat rakh humary lye taiyaar kar k
zartasha[ansouon k saath muskuraty huye]: aray tum fikar hi nah karo buss sulah karva dou gy na
T . J : paka samajh lay smile.gif [aur phone rakh deta hai} kar ly yaar tashu masoom hai nadani main hogyi uss se aesi baat
Abid: maaf kar dy tou khudah nahi E9.gif pyar karti hai tery sy woh ho gyi nadani
ouliya: achi nadani hai meri insult karva di sab k samny uss larki sy woh kya naam batay tum logon ny
Abid: hum logon ne tou naam bataya hi nahi abb tou pochay tu bata dety hain
T . J : haan haan yeh tujhe uski info dyga uss ka class fellow ju hai E9.gif
Abid : Naam Manaab Mir ~ zodiac Sign Scorpio ~ height 5 feet 3 inch ~ redish Brown long Curly Hair aur ...
Ouliya: tum kya lagty hou uss k ???
Abid: uska Fan hon E9.gif class fellow hon yar
T . J : kya hua ouliya tum janty hi hou iski adat buss...
Ouliya : han i knw par
T . J : par kya kuch nahi abb hum 2no ne tumko itni info di abb apni circus vdeo dekhou aur han hum sab ki dost tashu ko maaf kar dou
Ouliya: theek hai yar ... Sahi hai ... {Itny main ouliya ki ami room ka door knock kar k andar ati hain]

Mrs Anzalah Siraj
Ouliyaa ki mom aur uski buhat hi achi dost bhi.ouliya sab sy zyada apni ami sy pyar karta hai.kyunki woh usko jeena sikhati hain.aur uskay doston k saath bhi unka bartao buhat acha hai aur unn ko woh apny baiton jesa manti hain.aur ouliyaa ki khushi k lye hamesha kuch bhi kar sakti hai.unki zindagi ki sachi khushi ~ Ouliya.aur ouliya ka Mann ~ Mrs Anzalah Siraj.

Anzalah: Kya ho raha hai Bachou Yahan ??? Kya Kar rahy hou ??? Abid Beta Ciggrate buss kar dy phonktaa rehta hai har waqt.Ouliya.Taimoor.Abid aao jaldi nechay Khana kha lou smile.gif Main ne tum sab k lye Pizza banaya hai smile.gif chalou jaldi sabash
{sab nechay akar dinning table par baithty hain Mr.Faisal Siraj bhi wahan hi mojood hoty hain ouliya ko dekh kehty hain ... }

Mr.Faisal Siraj
Faisal kou ager kisi cheez sy pyar hai tou woh hai paisa aur uska yehi gharoor uss k baity main bhi hai.usko ouliya k honay ki pervah hai par uski feelings ki koi pervah nahi hai ouliya uss k lye mazeed paisey kamanay ka zareeyaa hai aur woh chahata hai k ouliya usski madad kary bussiness main par ouliyaa khudh k bal par kuch bananah chahata hai par Feelings ki koi ehmiat nahi hai ager kisi k agay tou woh hai ~ Faisal Siraj

Faisal: Ouliyaa Tum nay woh File perhi ju project main tumhien dena chahata hon ???
Ouliyaa : Dad mery papers honay waly hain unkareeb main ... abhi mood nahi hai mera
Faisal: Ouliyaa paisey hamesha darakhton par lagay nahi millien gy tumhien ... kuch karna seekhou
Anzalah : App usko khana tou khanay dain baki sab bhi baithy hain abhi ... app akelay main [faisal anzalah ki baat kat tay huye}
Faisal : tum chup raho sumjhi.Nalayak bana dala hai isko.paisa kamana aasan nahi.aur kiski pervah karon main inn larkon ki ju mery paise par pall rahy hain
Ouliya: DAD P L E A S E. Ami mujhey bilkul bhook nahi hai aur ju thi bhi woh baki nahi rahi.har koi meri insult kye ja raha hai main ne kab achy results nahi dye?
main ja raha hon sounay.P l e a s e ... Leave me alone okay.
{ouliya aur uss k dost aik aik kar k khany ka table chorr kar chaly jaty hain aur Mr n Mrs Faisal aik dousary ko dekhty rehty hain}

Manaab k ghar Raat k 10 Bajay
Nemo: iss katti phatti bazo k saath luddou khelou gi manaab??? mujhey tum manoo kyun nahi kehnay deti ??? aur sab ilzam me par dal dia hunh
Manaab: oye meri dost meri palli si dost tujhey patah hai tou pehlay sy mazeed gouri ho gyi hai
Nemo: Sachi ??? sach boll rahi hai na tou
Manaab: han bilkul chal phir aa ludoo khelien plz na mera dil kar raha hai
Nemo : buhat ziddi hai tou par itni achi baatien jab tou karti hai na tou main kesy inkaar kar sakti hon smile.gif geetiyan laga yar
{itny main Kamraan Haq ki awaz ati hai ... manaab luddou ulaty huye dorti chilati nechay chali jati hai}

Kamran Haq

A man with a Beautiful Soul jiski zindagi ko naya raung dia uss k pyar rubaab nay aur jiski har khushi rubaab ki khushiyun sy wabasta hain smile.gif Paishay sy woh aik Journalist hain.Manaab k abu k dost k baity jinki apni family abb England~London main settled hai par un k lye apna mulk sab se zyada ehmiat rakhta hai aur iss mulk main rehti unki shehzadi ki khushiyan unki zindagi ka maqsad smile.gif apny in-laws k saath woh apny ghar main islamabad main rehty hain aur iss sehar ko zard patton ka sehar (city) kehtay hain.

Manaab: bhaiyaa app ice cream laye ho na mery lye khali {rubaab ko ankh marty huye}
Nemo: Mery lye nahi kya main app ki behan nahi ??? {masoomiat sy}
Kamran: Nemo beta aaisy matt socha karo har insaan ki apni ehmiyat hoti hai jesy k tum smile.gif
Manaab: sahi kaha app ne bhaiya aur woh ehmiyat insaan apni khudh banata hai
Rubaab: khoob kaha manaab tabhie ajj tum ny apni light torr di aur chott lagwa li hai na
Manaab : woh tou Nemo ny ...
Kamran[baat kat ty huye]: Ice cream khaou aur chup ho jao abb han g mery lye murgh channay taiyaar kye meri dulhan ne ya k nahi ???
Manaab-Nemo [ice cream khatay huye]: 6 months Purani dulhan E9.gif Hum ja rahy hain sounay
Rubaab: han ami sou gayi hain tum 2no bhi abb apna shorr kamm karo
Manaab-Nemo: ok g hum chalay apny kamray gud night Love birds {2no larkian sharartien karti apny room main chali jati hain}
Nemo: Manaab abb batien karien ???
Manaab:{BIster par lait ty hi} nahi nemo sohni abb mujhey buht neend agyi hai abb sou jao plz subah jana hai phir univ
Nemo: kya surf excel le kar jao gi ouliyaa ki dhulayi karny E9.gif
Manaab: Shut up n light off kar do gauri
Nemo: makhan na lagao aik light off karny k lye kar rahi hon
[room ki light off ho jati hai aur nemo manaab se batien kar rahi hoti hai par woh sou jati hai]




Airy_Princess
4th and 5th par comments deny k lye app click kar sakty hain inn url links par smile.gif

4th Scene

http://www.hulchul.net/HC/index.php?showto...p;#entry2416483



5th scene

http://www.hulchul.net/HC/index.php?showto...139360&st=0
Airy_Princess
{aglay din classes khtam honay k baad apna bag aur file uthaye
manaab apny scooter ki taraf ghar wapis janay k lye ati hai tou dekhti hai k uss k scooter
par pink color k Roses paray hoty hain unn k saath aik note bhi hota hai}


Manaab: {khud se batien karty huye} aray yeh kis nay yahan par rakh dia {uss par likha
note parhti hai} I Am Sorry Manaab ~ Ouliya Siraj

{note perh kar inteha ki ghussay
main ati hai aur sochti hai k abb kya kasar baki reh gayi thi isski aur car parking
main ja kar check karti hai k Ouliyaa k car kahan khari hai aur uski car k pass
khari ho jati hai kuch dair baad ouliya ata hai aur manaab ko dekh kar kehta hai}


Ouliyaa: Hi smile.gif Flowers Pasand aye Manaab smile.gif Apka fav color hai na Pink tou ...

{Manaab baat kat tay huye off mood k saath}

Manaab : Isski kya zaroorat thi SIR
Ouliyaa : Dont call me sir smile.gif u can call me Ouliyaa
Manaab : No Thanks main app k saath free nahi hona chahati
Ouliyaa : free kar kon raha hai ???
Manaab : app ne kal kam nahi ki thi aur ajj ye drama kyun
Ouliyaa : kamal hai kal apny kaha k main khud ko khudah samajhta hon aur ajj
jab insaan bann k maafi mang raha hon tou ...

{manaab Purse se paise nikalty huye ju usko ouliya ne dia thy}

Manaab : yeh rahy app k pesay sir aur yeh rahy app k flowers.yeh app kisi aur ko dena.mujhey nahi chaheye ye sab
aur haan main ne appko apki intehayi batamizi par maaf kia kyunki main insaan hon ...

{ouliyaa baat cut karty huye}

Ouliyaa : Khudah nahi ho app haina right ...
Manaab : Gee

{ car par phool aur pesay rakhti hai aur chali jati hai aur ouliyaa ussko jatay huye dekhta hai ...
woh palat kar ghussay sy dekhti hai aur chali jati hai par ouliyaa ki nazrien manaab par hi hoti hain
}

22nd March 2007 ~ New York ~ UnitedStates

{ khudh par parti barf ka ouliyaa ko koi ehsaas nahi hota usko mehsoos hota hai k manaab uski ankhon k samny
sy chall kar ajj bhi ja rahi hai uski ankhon se ansoo nikal kar girnay lagty hain aur woh kehta hai}


Ouliyaa: {Routay huye khudh se batien karta hua kehta hai} Manaab ye kyun hua???Kyun???Humaray saath hi kyun???
Main ajj tak tumko nahi bhula paya manaab main ne buhat masroof honay ki tum ko chulanay ki koshish ki...
tum mujhey buhat yaad ati ho manaab...main tum bin buhat adhouraa hon ... buhat zyada ... main sakoon main
nahi hon manaab ... tera ouliyaa khush nahi hai tery baghair ... Main buhat majboor hon Manaab ...
Mujhse jiya nahi jata tumhary bina manaab ... Manaab ... Manaabbbbbbbbbbb

[Aur pechay Background main Aik Song play hota hai...]{Song app download kar k sunien smile.gif usski picturization
lyrics k thorough yahan beyaan ki jayegi}

[tez hawaien chalnay lagtien hain .... aur hawaa main aik shorr sa paida hota hai ... Music ... Song start ...]

Click 2 download the Song

Tou Phir Aao Mujh ko Satao ...
Tou phir Aao Mujhkou Rulao ...
Dil Badal Banay ...
Ankhien Behnay lagien
Aaahien aaisey uthien
jesy ...
andhi chalay ...
tou phir Aao ... Mujh ko satao ...
tou phir aao ... mujh ko roulao ...
abhi jao ... abhi jao ... abhi jao ... abhi jao
abhi jao ... abhi jao ... abhi jao ... abhi jao
Gham Lejaa Tery ...
Ju bhi tounay Diye ...
gham leja tery ...
ju bhi touny diye ...
Ya phir Mujhko Bata ...
inko kesy sahein ...
Tou Phir Aao Mujhko Satao ...
Tou phir Aao Mujhko Rulao
Abhi jao ... Abhi jAo ... Abhi jao ... abhi jao ...o hoo ...


23rd March 2007 ~ Karachi ~ Pakistan

{Saahil k kinary Bethi Manaab lehron ko dekhtay huye yadoon k samandar main khouye jati hai yak damm
barish souroh[start] ho jati hai...aur uss k ansoo barish k pani main jazb ho jaty hain.woh shikwaa bhari
nigahien utha kar aasmaan ko taktii hai ... aur dekhay jati hai ...

[song ata hai ... backgroud main ...]

Gham Lejaa Tery ...
Ju bhi tounay Diye ...
gham leja tery ...
ju bhi touny diye ...
Ya phir Mujhko Bata ...
inko kesy sahein ...
Tou Phir Aao Mujhko Satao ...
Tou phir Aao Mujhko Rulao
Abhi jao ... Abhi jAo ... Abhi jao ... abhi jao ...o hoo ...

{barish ki bondien usko bhighouti rehti
hain par usko barish ka hona mehsoos nahi hota ...}



July 15th 2001 ~ iSLAMABAD ~ PAKISTAN

{zoron ki barish ho rahi hoti hai.nemo kamraan bhai ki car par pehlay hi ja chuki hoti hai aur manaab
apny scooter par jany ki zidd se abb pachtaa rahi hoti hai k woh bhi pehlay kyun na gyi aur zidd kyun
lagayi par ajj uska educational trip hota hai aur uska jana zaroori hota hai}


Seemaab: Manaab main ne apko kaha tha k kamraan k saath chalay jao app par app buhat zidd karty ho
ab kesy jao gi???
Manaab : chali jaaongi Ami smile.gif appki duaein hain na mery saath smile.gif aur mujhey kya chaheye smile.gif
buss app dua karna smile.gif ok ALLAH hafiz ami Allah Hafiz Bajo
Rubaab: Main chor deti isko yeh bhi na ami ALLAH hi HAFIZ hai tumhara manoo blink.gif
Seemab: janay dou usko hall nikalny aty hain
Rubaab: ami apny isko sar par charhaya hua hai itni ziddi ho gyi hai aur iska jana patah apko
ajj buhat zaroori tha

{Manaab ghar se bahar scooter par nikalti hai tou uss se sahi se scooter nahi chalaya jata kyunki iss se chatri
pakarny main mushkil paish arahi hoti hai usko .. khudh se batien karty kehti hai ...}

Manaab : ALLAH karay ajj kisi ki car kharab ho jaye ... usko lift don gi aur woh meri umbrella pakar le ga
woh bhi khush main bhi hahaha E9.gif
{kaafi mushkilaat se late hoty hoty jab woh road par ati hai tou dekhti hai aik car kharab khari hoti hai dil main kehti hai
k buss uski muraad pori hui .. dekhti hai k usko aik borha insaan theek kar raha hota hai ... sochti hai wah isko tou
lift dainy ka bhi itna maslah na hoga ... woh car k pass jati hai aur kehti hai ...}

Manaab: Baba G apki car kharab ho gayi hai
Baba G: haan beta dekhta hon kab tak theek hoti hai
Manaab : arey fikar not baba g Main apko Lift dy deti hon smile.gif app mery scooter par baith jana smile.gif
Baba g: PAR BETA lift mujhey nahi chaheye Lift to mery malik ko chaheye ju gari main baithy hain
unko jana hai kahin
Manaab: [makhan lagaty huye samajhti hai k baba k malik koi baba g hi hon g] Arey tou kya hua
hum unko bhi lift de dien gy theek hai smile.gif
[Baba g car main baithey apny malik ko kehty hain ju k iss waqt apny mobile par apny dad se baat kar rahy
hoty hain aur sunn chuky hoty hain k woh awaz manaab ki hai ju unko lift dena chahati hai baba g kehty hain ...]
Baba G : Sir app k lye gari ka bandobast ho gaya hai smile.gif
Ouliyaa: baba g app unn se poch lien k kya woh lift dain gi?
Baba g: [manaab k pass jaty hain] beta lift do gi nah ???
Manaab : han g bilkul baba g smile.gif befikar rahien main ju keh don kar k dikhati hon smile.gif
Ouliyaa :[ car se bahar nikalta hai aur kehta hai] How sweet of you smile.gif Tou phir mujhey lift dou na smile.gif
Mnaab: [ouliyaa ko dekh hairan ho jati hai aur kehti hai] Tum!!! kya kar rahy ho yahan
Ouliyaa: yeh aik road hai jis par mery dad ki car kharab ho gyi hai kya lift milay gi
yehi poch raha hon main aur wesy b abb to tumko deni parygi kyunki ...
Manaab: kyunki kya kyunki ???
Ouliyaa:[muskuraty huye] Kyunki tum ju kehti ho woh karti ho aur tum ne keh dia k mujhe lift dou gi smile.gif
Manaab : [ Thandhi aah berhty huye kehti hai] Ahhhhhhhhh Museebat mery lye threaten.gif
Ouliyaa: kya kaha app ny???
Manaab : betho ... aur haan pechay carrier laga hua hai chota sa usko pakar na main speed main chalaongi
Ouliyaa : hum hospital ja rahy hain kya ??? aur main apko nahi usi ko pakron ga
Manaab: you....
Ouliyaa: Ouliyaa smile.gif ouliyaa siraj
Manaab : suno
ouliyaa: han kaho na plz [muskuraty huye]
Manaab: hanso matt hunh ye umbrella tum pakarna mujhse nahi to chalaya nahi jayega
Ouliyaa: sure kyun nahi smile.gif akhir kou ...
Manaab : bolna buss karo {aur scooter start karti hai}
Ouliyaa: [ganaa gatay huye aur manaab ko chiraty huye] Suhana safar aur yeh mausam haseen ...
Manaab: chup nahi reh sakty kya app ???
Ouliyaa: app k saath tou bilkul nahi E9.gif
Manaab : Hunh
Ouliyaa : main tou khudh ko ...
Manaab : Khudah Samajhty ho ... Haina ... aik baar kya keh dia ... har koi meri nakal utarta phirta hai
Ouliyaa : tumhari tou naklien utartien hain mery tou MMS banay thay
Manaab : matlab ???
Ouliyaa: masoom mat bano aur sahi se chalao
Manaab: phir bhi ...
OUliyaa: janti ho tumhara woh thappar ka karara shot abid ne MMS kya sab ko uss video k
woh bhi mery hi phone sy
Manaab : hunh ... jesa karo gy wesa bharo gay ...
Ouliyaa: aik tou jab tum ny helmet pehna hota hai tumhari awaz mujhey sunai nahi deti
Manaab: behray ho kya ???
Ouliyaa : nahi really tum jesa nahi hon speed tez matt karo hum girr jaein gy
Manaab: hum ya sirf tum E9.gif
Ouliyaa: Hum smile.gif kyunki main gira tou yaad rakhna tum bhi giro gi ...
Manaab: apny jesa hi sochna Ultaa main nahi girati tum ko smile.gif
Ouliyaa : Thanks ALot meri car wese abhi thori hi dair main uni pohanch jayegi so wapsi mushkil na hogi mery lye
Manaab: Main ne pocha nahi yeh sab app sey
Ouliya: par main ne bata dia smile.gif app mujhse aaise itna rude kyun bolti ho
Manaab : meri marzi ... kyunki app jesy loag past bhool jaty hain par main nahi smile.gif
Ouliyaa: itna special hon main k meri har purani baat bhi nahi bholti app
Manaab : aesa kuch nahi apki ghalat fehmi hai Main tou buss ... lou uni agyi smile.gif
Ouliyaa: Helmet tou utaro
Manaab: [helmet utarty huye] Kyun ???
Ouliyaa: islye k aesy achi lagti ho tum smile.gif
Manaab : Tum FDON.gif app kaho mujhey smile.gif
Ouliyaa : App smile.gif thankyou smile.gif kya app ne mujhey maaf kar dia smile.gif
Manaab : ye chatri band karo gy tab [muskuraty huye]
Ouliyaa: app hansti bhi ho E9.gif yeah sure ...
Manaab: abb jao ... abb to barish bhi ruk gayi hai
Ouliyaa: main wesy bhi kahan namak ka bana hua hon E9.gif

[Manaab apna scooter park karti hai aur ouliyaa usko musalsal dekhta rehta hai manaab kehti hai]

Manaab: over matt ho ... kabhie larki nahi dekhi kya???
Ouliyaa : haan nahi dekhi tumhary jesi tou bilkul bhi nahi ju shalwar kameez pehan kar scooter chalaye E9.gif
Manaab: You ...
oULIYAA : ouliyaa Siraj hon main
Manaab: patah hai Jaan choro meri
[Ouliyaa chala jata hai aur manaab ussko jatay huye daikh kar kehti hai hunh pagal lagta
hai paka mujhey tou na jany kyun gals iss k agay pechay phirti hain ... aur apny


For Comments ... Click Here
Airy_Princess
[Ouliyaa chala jata hai aur manaab ussko jatay huye daikh kar kehti
hai hunh pagal lagta
hai paka mujhey tou.najany kyun gals iss k agay pechay phirti hain Hunh ...
aur apni nazuk si gori kalayi par bandhi nazuk si ghari dekhti hai
ju k 9 :15am ka time bata rahi hoti hai
woh apny department ki janib jati hai ...
wahan ja kar dekhti hai wahan koi nahi hota hai ...
Buss Nisha bethi apny designs bana rahi hoti hai ...
woh pochti hai ...]


Manaab: Nisha kahan hain Sab???
Nisha : arey yar woh sab chalay gaye koi educational trip tha na ajj humara
woh haan yaad aya Ethnocentrism par kuch wahan gaye hain sab
tum nahi gayi???
Manaab:[emotional mood k saath] Nahi na yaar main late ho gyi.
Nisha: Tumhary jesi larki late hogyi
Manaab: kya matlab mery jesi???
Nisha :Oh ho yaar u r such a brilliant student so ??? kyun???
Manaab: buss yar woh meri Nemo se larayi ho gyi thi
Nisha: [designs banaty huye] woh tumhari cusion Right???
Manaab: Han wohi smile.gif
Nisha: tou ??? Larayee uss se n u trip par nahi gayi???
Manaab: nahi yaar mese subah jaldi utha nahi jata hai.us se larayi thi.usne
mujhey jagaya nahi stupid hai woh buhat
Nisha:[muskuraty huye] E9.gif han yeh tou hai par itni bhi nahi cute hai
Manaab: han woh tou hai.Khair...
Nisha: khair kya ???
Manaab: leave it ... tum kyun nahi gayi???
Nisha: yar mera koi interest nahi hai iss MASS COMUNICATION subject main
I love designing art field par
manaab: par kya???
nisha: par mery papa na meko issi par laga dia hunh
Manaab: chalo u apny papa ka khwaab pora karna smile.gif its so beautiful thing na
Nisha: not for me ... ok
Manaab: ok u apny designs banao mein challi smile.gif
Nisha: kahan ??? uni waly abb u ko bahar nahi janay dien gy Ma'am ne
new orders issue kiye hain E9.gif
MaNAab: oh ok :( ajj ka din hi kharab hai mera

[Manaab apna Bag aur baki sara samaan uthati hai aur cafe mein ajati hai woh buhat udaas
hoti hai na hi uska koi dost mojood hota hai aur sab se bara usko ko apna app mujrim lagta
hai k yeh usne kya kar dia aur kitna important trip miss kar dia Sir ahmad ne kitna zorr dia
tha uss k anay par ... par kya hua ... apna Bag side par rakh kar woh chair par baith
table par head-down kar leti hai aur chup chup kar k rounay lagti hai usko apny father
yaad arahy hoty hain khud se batien karty kehti hai ...]


Manaab : Main achi nahi hon main buhat buri hon.Abu g mujhey maaf kar dena app.mujhse ghalti
gyi... [rounay lagti hai chup chup kar k]

[ouliya manaab ko iss halat main dekh leta hai.ouliya aur uss k dost T.J,Tashu,Abid ajj cafe
main hi hoty hain kyunki unnki ma'am ajj aaien nahi hotien aur unki class free hoti hai ouliya
manaab ko iss halat main dekh zartasha ahista se kehta hai ...]


ouliyaa: tashu woh udhar dekh yeh rou rahi hai i think
zartasha: kahan ??? arey kon ???
ouliyaa: arey pagal
zartasha: tum pagal
ouliyaa: uff oo tum bhi na.woh dekh[isharey se batata hai] woh manaab
achi larki hai yaar.kafi sweet hai par straightfoward bari hai
tou nay usko sorry kaha tha???
zartasha: Nahi blink.gif
ouliyaa: acha bahana mila hai usko hansa dety hain patah nahi kyun ye larki mujhse larti
hi achi lagti hai E9.gif ja na tou dosti ka haath berhaa usko razi kar k mujhse b
dosti kar ly woh smile.gif tum tou uni main sab ki dost ho
zartasha: han sab ki sivaye uss k
ouliyaa: bunn jao na mery lye u ko baat banani ati hai...tum start karo
phir main bhi ajaonga theek hai smile.gif
zartasha: tum bhi na ouliyaa ... khair kuch bhi apny dost k lye
Abid:[tease karty huye] Sirf Dost T A S H U .G E9.gif
zartasha: Tum apni zabaan band hi rakho acha blink.gif
Abid: aNKHIEN na dekhao bibi ... oye T . J tou ajj bara chup hai
zartasha: ajj manaab akeli ju hai uss k saath woh ju nahi hai tabhie E9.gif
Abid: Kon woh Nemo ???
Zartasha: arey nahi stupid Amber E9.gif
Taimoor: Bakwaas band karo apni tashu
ouliyaa: u 2 T.J E9.gif she knws u smile.gif chal tashu meri darling dost ja na meri setting start
kar smile.gif
zartasha: O K

[zartasha cafe k bahar k chotay se garden se aik red rose torti hai aur cafe main wapis akar manaab
k pass jati hai aur uss k saath wali chair par baith jati hai ... aur kehti hai ...]

Zartasha: Manaab Suno app ka naam Manaab hi hai na
Manaab: [ansoo saaf karti hai aik dam se aur sar uthati hai] g main hi hon kaho kya kehna hai appko???
zartasha: mujhey maaf kardo Manaab main ne uss din tumhary saath theek nahi kia tha.bus woh main ouliya
kou le kar kuch sentimental-emotional ho gyi thi
Manaab: 10% Senti 90 % mental smile.gif haina its ok.woh baat main tou abb bhool b chuki hon.koi bhi insaan bura nahi
hota hai zartasha.koi na koi wajah hoti hai ju usko bura banati hai smile.gif tumhien apni ghalti ka ehsaas hua
kafi hai ye mery lye smile.gif
zartasha: oh thankyou so much smile.gif tum buhat achi ho Manaab smile.gif
Manaab: nahi achy tou sirf ALLAH g hain smile.gif khair kaho kya kehna chahati ho tum???
Zartasha: mujhse dosti karlo manaab smile.gif plz
Manaab: arey kyun???
Zartasha: arey kyun kya smile.gif plz na aur wesy bhi insaan k dost zyada dushman kam honay chaheyien
aur main tou iss uni main sab ki dost hon u knw m ...
Manaab: I knw u are Darling Girl of this University smile.gif hai na
Zartasha: yep rite so ... :)wesy bhi mery 2 semisters reh gaye hain aur tumhary tou abhi kafi din hain yahan smile.gif
Manaab: din guzarty patah nahi chalta smile.gif hai na smile.gif

[2no larkian dosti kar k baton main mashghol ho jati hain...ouliya-T.J-Abid hairaan ho jaty hain k yeh kya kamal hogya
aur ouliyaa unn 2no se kehta hai ...]

ouliyaa: arey yaar dekha tum 2no ne abhi ye larkian kehtien hain hum tou batien hi nahi kartien
aur tou aur mery se tou phool leti nahi hai aur ye dekh tashu se kesy le lia
Taimoor: haan yaar sahi keh raha hai tou aur yeh apni tashu ko dekh
Abid: dekh kya bhool gayi humien
Ouliyaa: meiny kaha tha mujhey bulaana bhool hi gaye hai apny dost ko
Abid: Sirf Dost
Ouliyaa: HAN DOST...main tou ja raha hon unn 2no k pass
taimoor: yaar humien bhi le ja humara kya kasoor hai
Abid: mujhey bhi
Ouliyaa: koi kaam mujhey akelay na karny dena .. chalo

[aur 2no uth kar manaab n zartasha k paas chalay jaty hain aur apni seats set kar k 2no se kehty hain ...]

Ouliyaa: arey Tashu main ne ye tou tum ko bataya hi nahi ajj mujhey Manaab ne lift di
Zartasha: ohh acha ... tumhien yahan kisny bulaya
Manaab: aur yeh baki 2 ko bhi
Ouliyaa: Main tou wesy hi agaya wahan se tum sahi se nazar nahi arahi thi na tashu
Zartasha: main ya ... ???
Ouliyaa: tum aur kon [aur dekh manaab ki taraf raha hota hai]
Manaab: jao its ok zartasha main theek hon smile.gif
Ouliyaa: Manaab aik baat kahon tum se?
Manaab: Han kaho [ajeeb si shakal banaty huye]
Ouliyaa: Main itna bhi bura nahi hon jitna app samajhti ho ager apko mera baithna pasand nahi tou its ok
main chala jata hon
Manaab: nahi aesi baat nahi smile.gif [aik damm apna mood theek karti hai] plz baitho app smile.gif
Ouliya: thanks smile.gif Acha Manaab apko patah hai ...
Manaab : g kya ???
zartasha-taimoor-Abid: [3no aik saath kehtay hain] HUm 3no bhi baithay huye hain blink.gif aur ye kya app app ki ratt
lagayi hui hai blink.gif we are friends ... hum dost hain
Manaab : sahi kaha tum sab ny smile.gif
zartasha: main tou sahi hi kehti hon
Manaab: [muskura deti hai aur kehti hai] thankyou tum sab ne mery off mood ko ...
Abid: on kar dia hai na E9.gif sahi kaha na manaab smile.gif
Manaab: han sahi kaha smile.gif kaho ouliyaa kya kehna chahaty thay tum???
Ouliyaa: yeh sab bolnay dien tab bataon na blink.gif
Zartasha: bolo bhi smile.gif
{itny main Amna Nadeem aur Ehsan Iqbal cafe main aty hain aur same table ki sides par mazeed kursiyan lagaty hain}

Amna Nadeem n Ehsan Iqbal



Amna Nadeem Tashu ki schoolmate n paki dost Amber Nadeem ki bari sis aur Ahsan Iqbal ki Fiancee.2no kou jab bhi dekha ikhaty dekha smile.gif inn 2no ki
ager app soch rahy hain k luv marriage hui hai tou bilkul nahi inki engagment arranged thi 2no har aik se dhouka khaa
kar tang agaye thay aur parents ki marzi se rishta jurr lia aur abb inko kisi dost ki zaroorat nahi parti.abb yeh
aik dousary k lye kafi hain.aur aik dousary k saath hi miltay hain har jagah.yeh apko aik dousary se alehda nahi
milnay walay smile.gif

Amna: Hi guyz n Guls kesy ho sab???
Ahsan: Ouliyaa kya batany waly ho tum woh Sir Salman k plan tou nahi
Amna: tum chup karo na ouliya hamesha bolty ho.sab ko hi batao gy tum apny friends ko hum batien gy.
[aik damm hairani se] arey manaab tum yahan tum gayien nahi
Tashu: arey late ho gayi thi ajj woh bechari usko choro hum sab dost hain abb smile.gif
Abid-taimoor: Manaab kya hum bhi abb tumhary dost hain ???
Tashu: oh shutup sirf main {muskuraty huye} hai na manaab
Manaab: {sirf halki si smile pass karti hai}
Amna: ok ... ok
Ouliya: main batata hon na tum sab ...:
Amna: ouliyaa plz chup karo han Ahsan tum bolo na plj
Ehsan: acha g tou suno students iss bar union week december main na hoga ...
tashu: {hairangi sey} par kyun ???? why ???? kis k orders hain ye??? kya masla hai ye sab oye???
Ehsan: batany tou dou yarou
tashu: ok bolo
abid: sunany de na tashu
Ouliya: ahsan main tujhey ...
Ehsan: nahi choray ga hai na ok baad main daikh lein gy E9.gif han g friends tou salman sir jou k old student
reh chuky hain issi insitute k unko apnay zamany main plans union week k kuch pasand na thay
Manaab: I knw hamesha shikayat karty thay
Taimoor: woh tou hamesha lagti hai unn ko E9.gif
Ehsan: g yeh tou hai han tou main kya keh raha tha???
Ouliya: main bataon smile.gif
ehsan: tum chupp raho
Manaab: {hansti hai ouliyaa par aur ouliya usko kehta hai}
Ouliya: Very Funny blink.gif
Ehsan : g ...
Abid : abb boll bhi day yar
Amna: tum tou chupp karo sab
Ehsan: main jaldi se bata don main highlight k salman sir k orders par
iss bar union week 14th august se 20th August tak manaya jayega uni main
zartasha: par kyun ??? yeh kyun ???
Ehsan: isslye kyunki abb december main papers late hongy smile.gif aur hum sab ko mazeed perhny ka waqt milay ga smile.gif
zartasha: par karna hoga kya kya ???
Ehsan: karna yeh hoga k ...

{abhi ehsaan ki baat pori bhi nahi hoti k raad-nemo-Amber cafe main enter hoty hain aur Manaab ko ouliyaa aur uss k friends
k saath baitha dekh hairan reh jaty hain ...}



For Comments ... Click Here
Airy_Princess
[Raad-Nemo-Amber Manaab ko ouliyaa aur uss k doston k saath dekh kar hairaan reh
jaty hain Raad sab se pehlay durr k cafe k andar dakhil hota hai aur manaab k pass akar kehta hai...]

Raad: Manaab tum kahan thi ??? Hum nay tumhara kitna w8 kia
Manaab: han itna k tum loagon ne bus bhi na rukvayi how nice smile.gif aur nemo itni bhi kya narazgi
Nemo : Main tou ... Main tou buss ...
Amber : Manaab Woh ....
Zartasha : arey friends koi baat nahi Manaab ne bhi humary saath kafi njoy kia par woh tum sab ko yaad kar rahi
thi buhat smile.gif
Amber: buss woh na ...
Manaab: koi baat nahi smile.gif main tum main se kisi se naraaz nahi smile.gif ager ...
Abid: app ager yahan hoty manaab k saath tou really hum na hotay E9.gif
Manaab : haan aur mery naye dost kabhie na bantay smile.gif
Raad: D O S T
Nemo : keh tou yehi rahi hai smile.gif ... main tou keh rahi hon dost keh rahi hai manaab smile.gif
Manaab : [muskuraty huye] han dost abb baitho smile.gif g tou app kya keh rahy thay Ehsan
Zartasha: Manaab arey hum dost hain Mushairy main nahi aye cafe main hain islye dont b formal siso E9.gif
Manaab: [muskuraty huye] main aesi hi hon khair app sab kehtay ho tou
Amna: Amby manaab ko de dena notes apny.manaab koi problem hogi tou mujhse poch lena smile.gif
Amber: lou kya don kuch bhi nahi hua hai wahan
Manaab: matlab ????
Raad: tum jou na thien wahan par ...
Ouliyaa: kyun Jharou denay ki zimaydari manaab ki hoti hai kya har trip par pohanchny se pehlay E9.gif

[ouliya k iss joke par sab hans party hain aur manaab buri si shakal bana kar ouliya se kehti hai]

Manaab: very funny Towel-Liya
Ouliyaa: Matlab ???
Manaab: kuch nahi ... bolo amber kya keh rahi thi tum
Ouliyaa: hunh
Amber: yar hona kya tha bus ka driver itna slow tha ... ALLAH ALLAH kar k adha rasta katta tha k bus ka tyre puncture ho gya
aur sir ahmad ko tou tum janti hi ho ... kitnyyyyy slow hain ... aik aur buss hire ki unho ne aur hum sab ko wapis
bhaija university smile.gif
Manaab: wowwwww koi kaam nahi hua yani k
Ouliyaa: han ajj manaab ko ghar ja kar koi homework nahi karna paryga wowwww E9.gif
Manaab: tum se kisi ne kuch pocha ???
ouliyaa: mujhey na kabhie App kehna Ghalti sy bhi ... hunh
Raad: kya mess up kar rahy ho yahan sab
Manaab: hum kuch Discuss kar rhy thay
Raad: Kya ???
Zartasha: app k bhai k kaam smile.gif unn ka idea hai k union week iss baar august 14th se 20th tak hou
Raad: Really ... bhai ne mujhey nahi bataya
zartasha: woh tumhara bhai hai ???
Manaab: lagta nahi hai na ???
zartasha: Bilkul bhi nahi
Manaab: han wahid bhai duniya k jinki shakal nahi milti E9.gif
Ehsaan: tou ju notice lagay hain tum loag kya perh k arahy ho woh???
Amber: han main ne perhay thay
Abid: kya thay
taimoor: bolnay dou na usko tum tou chup karo
abid: main abhi bola hon kab se tum hi na jany kyun chup ho
Amber: 2 departments ko mill kar kaam karna hoga
ouliya: Matlab
Ehsan: iska matlab yeh hai k university k 2 departments ko aik group bana kar Kaam karna hoga
Amber: yani k ouliya jesay tum logon ka management ka department hai aur humara Electro Media ka
tou hum sab ju yahan baithy hain mill kar kaam kariengy just an example smile.gif samajh gaye
Ouliya: han sahi kaha tum ne Samajh gaya tum samjhi tashu??? Taimoor??? Abid ???
tashu: samajhi gyi [muskuraty huye]
taimoor: samajh gaya [ ankh mar kar]
Abid:Samajh gaya [sar hilaty huye]
Manaab: par main nahi samjhi
Ouliyaa: duffer ju ho
Manaab: tum ....
ouliyaa: itni baar bataya hai k main hon O U L I Y A A
raad: ok ... patah hai
zartasha: kyun na hum 2no departments hi mill kar kaam karien ... aur pehla naam apna hi likhvaien smile.gif
Amna-Ehsan: Nice Idea
Amber: par karna ho ga kya
Ehsan : ju aik group bann gya so bann gya usne har jagah mill kar participate karna hoga
islye naam likhvany se pehlay soch lou karna buht kuch pary ga
NEmo: it will be fun main tou razi hon
Manaab: han maza ayega aesa konsa mushkil kaam hoga
Ouliya: ja yar taimoor jaldi naam likhva aa loag apni baat se mukar na jaein
Manaab : hunh main ju kehti hon ...
Raad : karti bhi wohi hai
Ouliya: usko bolnay dou tum kyun beech main ???
Raad: main manaab ka dost hon samjhy
Ouliya : main bhi hon poch lo iss sy hai na manaab???
Manaab: han tum 2no mery dost hou smile.gif
Abid: kya yar socha tha 14th august ki chuti manaein gy ahaaaaaa
Manaab: maza ayega apny views hi tou share karny hain

Ehsaan: aur baki bhi kafi kaam karny hon gy
Nemo: kya kaam ??? Main bhi karongi
Abid: bus ho gaye phir tou sab kaam E9.gif
zartasha: thali k began tum tou chup karo
Abid: acha began ki thaali E9.gif
zartasha: very funny ...
Amber: han tou phir tum sab razi ho kya khayal hai naam de aaien ??? apny sab k
Raad: manaab aik baar phir soch lou inn k saath
amna: kyun g hum sab main kya burayi hai
raad: burayi tum main nahi
Ouliyaa: meri baat kar rahy ho raad???
Raad: abb tum ager aesa feel karo tou its up to u