Batana zarori tu nahi hay or na batanay main kuch jata hay per ajj tak nahi bataya tu phir ajj kuy?waysy app khal nayak keh saktay hain .
Education
[color="#2E8B57"]Matric in Computer science, Diploma of Associate Engineering in Bio-Medical
Likes and Dislikes (Pasand or Napasand)
Favourite Food (Pasandeda Khana)
koi khass pakwan asa nahi jo mujhy pasand ho. jo mil jaye kha leta hon. or waysy bhi khanay sab hi achay hain or khuda ki naimat hain tu phir in mian pasand ya na pasand kahan aa gaye?han Fruits main MALTAY (Oranges) buhat shooq say khata hon or is phall say buhat yadain bhi wabasta hain. khair yadon ka kia woh tu kis bhi say wabastagi bana leti hain....
Friends (Dost)
yaqenan yahan mujhy un logon ki khusu-siyat batani hain jin ko main dost banana pasand karta hon. waysy koi lambi chori fehrist nahi hay. bas bayloos ho. waysy hayrat angaiz batt yeah hay kay ajj tak jitnay bhi meray achay dost banay hain woh sab umer main mujh say baray hain. baz tu 10 or 15 sall mujh say baray hain. kuch hum umer bhi hain per woh school kay zamany kay hain. or internet per bhi jitni dostiyain hoi un main bhi sab mujh say baray hi log hain. khair yeah koi bari batt nahi hay per akk hayrat angaiz cheez hay meri zindagi main jiss kay baray main aksar sochta hon kay akhir mujh say umer main baray logon say hi meri kuy banti hay. sayad is liye kay woh sanjeeda hotay hain. khair ............
Hobies (Mashgalay/shooq)
kisi door main balkay bachpan main key chains or lighter jama karnay ka shooq tha.baqi abb koi khass dilchaspi nahi hay kisi cheez main. han musiq buhat sunta hon abb yeah pata nahi yeah shooq hay ya adadt kuy kay bachpan say hi sun raha hon. or jo bachpan mian sunta tha wohi abb bhi sun raha hon.jis say kafi log hayran bhi hain or parayshan bhi.
Job Responsibilies In HC (Hulchul ki zimmadariyan)
waysy tu 3 sections hain meray pass lakin main help section ko hi ehmiyat deta hon. kuy kay mujhy ehsas hay kay jab kisi ko madad ki zarorat hoti hay tu woh kitna baychaini say moderator ya kisi member kay reply ka wait karta hay kay kab us kay sawal ka jawab aye ga. jab main rozana hulchul per ata tha tu har section main jaya karta tha per jab say kuch kam bhar gaye hain tu sirf apnay hi section main jana hota hay.
Major Success in HC (Hulchul main Numanyain Kamyabi)
Kamyabi tu koi khass nahi hay. pata nahi yeh sawal app nay kiss pass-e-manzar main kia hay.
or koi sawal bhi ho tu app poch saktay hain in 2 dino main.
ALLAH HAFIZ
