ATTENTION Admin's & Moderators
Assalam O Alikum
Main nay aap kuch arsay pehlay HC K ek family member ki request pay HC Join kia thaa aur meray aus dost nay HC ki bouhat tareef karee thee K HC EK Family Board hai aur yahan sub ek family ki tarha rehtay hain. so main nay HC join kia aur aa k bouhat acha bhe laga HC pay abhi last week mera member of the week main Kainat ji nay ek topic bhe banaya interview ki jiss pay HC k bouaht say doston nay bouhat izzat dee mujhay...bouhat pyear dia...jiss ka main shaid autna huqdar beh na hon..magar aun doston nay itna pyear dia jiss ka main aehsan mand rahoon ga.....
main nay abhi ek last post main ye baat kahee thee k hum sub ek family hain aur family main zaroori nahain sub k views ek jaisay hon...aur baz dafa ek ghar main bhe hamaray zehan mukhtalif hotay hain...aur hamaray nazareat bhe ek jaisay nahain hotay...magar phir bhe hum mohabat say rehtay hain....bhalay kitnay he ikhtelagfat na hon...waisay he Current Affairs K Section main zaroori nahain HUM SUB HC Family k nazariat ek jaisay hon yaqeenan hum main nazareati ikhtelafat ho saktay hain...aur wahan hum debate kartay hain...magar ye hamari zaati larai nahain hoti...aur na is ko anna ka masla banana chaheay...hum mohabat aur pyear say bhe apnay views day saktay hain aur daynay bhe chaheain...magar mujhayaaj bouhat afsos hoowa YE daikh k k ek NEW HC member MR.Thakur nay debate ko zaatiat ka rang daynay ki koshish karee hai.........aur aun ka andaz e guftagu bouhat sharamnak raha hai........aun say main nay sirf ek request karee thee k thakur sahab family board pay is tarha ka andaz e guftagu istemal nahain kia jata hum sub ek family hain...umeed hai k aap aainda say khaial karain gay warna main aap ki complain admin & mod say karoon ga jiss pay aaj aunhon nay mujhay HC Family board pay he dhamkian dee hain...aur bouhat ghalat ghaleez zaban use karee hai..hud to ye hai k aunhon NAY MJB Bhai bhai jo k section k moderator hain aun say bhe ghaleez zaban main guftagu karee hai....aur ek jaga nahain aunhon nay is andaz main kai topics aur kai post pay ki hai.....main aap say umeed karta hoon.k apa is mamlay main koi fori action lain gay.....Shukria
Please Cheack This Links
IS Topic main aunhon nay MJB say uljhanay ki koshish ki hai aur apni post main aunhon nay baap dada tak punchnay main bhe koi kassar nahain chordi
Click Here
Phir Doosra Topic jahan inhon nay mujhay sangeen dhamkian deen aur ghalat zaban use karee
Click Here
Teesra Link YEH HAI
Click Here
