QUOTE(Laila @ Aug 22 2007, 08:44 PM) [snapback]2449663[/snapback]
Wah..!! bari collection dhoondi hai...
prices bhi achi hain..
waisay aaj kal Armani ki ayee hain Meccanico, un ka mechanism trasparent hai..kafi achi lagin hamain, prices bhi casuals ki hi hain,
aap ki collection ka start to kafi impressive hai..yani Rado, Insha Allah aagay bhi behter hoga,
aur main nay to experience kiya hai ke shadi kay baad gifts ziada asaani say liyay ja saktay hain kyoon ki miyan biwi dono nay saal main 2 baar to aik doosray ko gift dena hi hota hai poora saal paisay jama kerain, aur moqay per mehnga sa gift...yeh aisi jagah hai jahan mehnga gift detay hoyay dil bhi nahin dukhta..
waisay mujhay is baar abba nay BD per DKNY ki gift ki hai...
Movado ki watches dekhiyay ga...i really love them
aap nay meray favs ko touch ker diya hai..main to bolay hi chali jaoon gi..
waisay tu designers main i like armani n versache... esp armani k perfumes ki collection tu hay mairay pass.. jaisay HE,She, Black Code etc......
ji Rado k baad DKNY bhi lee theen is martaba....aik gents n aik ladies ,,, in black colour.. looks v beautiful.
rahee baat paisay jamma karnay ki .. tu bagham sahiba yahan say gift nahen laiteen.. Rado tu un k pass bhi hay.. ab mazeed wrist watches woh laitee nahen.. Gold yahan say lainay ka maza nahen hay.. woh PAK say hi hay..(baqool un k )....
waisay I love Blue Fascination by Rado... laikin bohat hi costly hay... utnaay main banda aik ghar khareed lay PAK main.....
Acha agar ap ko Blue dial colour main koi khoobsoorat wrist watch nazar aay tu zaroor bataayay ga... I love black colour, n my bro Likes to have Blue colour..so us k liya gift laina hay....