QUOTE(Abu Adnan @ Aug 20 2007, 10:25 AM)

thanx 4 adding nice tips.

no problem

makeup itna kartee to naheen,laila ke camp ki hoon is maamlay mein
lekin "sober" makeup kaise kartay hain iske baaray mein jaanne ka bahot shauq hai.plus skin ki dekhbhaal par bhi cheezein parhnay mein interest hai.
sober makeup se ek sachha waqeya yaad aya.
ek dulhan byaah ke ghar aaye, to nana huzoor ki khidmat mein adab lkarnay gayin,buzurg ne kaha aray bhai yeh tahein (layers) to utaaro asli shakl to dekhoon.
abhi ek friend taazah tazah pakistan se lauteen hain,shadiyaan attend kee wahan,kehnay lageen ke "dulhan ke itna makeup kartay hain ke asl chehra hi badal dete hain".
ek aur baat yaad aayee ke ab bahot see dulhanein ,dulhan ki tarah naheen lagteen,ajeeb be baaki hoti hai unke andaz mein.sar se aanchal bhi aahista aahista peecche ki taraf phisalta ja raha hai,dopatte ka maqsad bhi faut hota ja raha hai,mujhhay bahotttt ajeeb lagta hai yeh sab kucch, kucch arsay baad log pooccha kareinge aray bhai inmein se dulhan kaun see hai.
AA bhai ,aapke main topic se hat gayi hoon ,maa'zrat,
magar likhna to tha