urdu digest lahore ka aik mowaqqar maahnaama hai. iskay taza shomaray maiN mustaqil sar dard ka yeh roohani elaaj darj hai
1. agar sar maiN aksar o beshtar dard hota ho to baawazoo hokar aisee Topi pahanay rahiyeh jiskay andar ki taraf "bismillah Alrahman Alraheem" likhee howee 'taweez' munsalik ho. khawateen aisaa hi apnay DopaTTay k saath karsakti haiN.
2. baa wadoo hokar darood shareef paRhaiN, 100 martabah bismillah paRhaiN aur jism k jiss hissay maiN dard ho (including ser) wahaaN dam karaiN.
agar koi iss roohani elaaj ko apnaye to result say agaah karay. waisay iss say bahtouN ka bhala hochuka hai.
wallah alam bissawab
