
SHUROO ALLAH KAY NAAM SAY JO BARRA MEHERBAN AUR NIHAYAT RAHAM KERNAY WALA HAY
May FG behna rose.gif ka shukriya ada kerty hoon kay unhonay mujhay iss qabil samjha aur
mujhay iss topic par invite kiya .
Dear ye tuo meray liye Honor ki baat hay kay mujhay HC par bulaya
aur HC family bulayae aur main na aaon aisa kasay hosakta hay
FG dear itny piyari welcome presentation ka buhutttttttt shukriya
mainay jaldy jaldy may likha hay sab ( pata nahi kya kya likh diya)
iss liye plz berdasht ker lijyega
* Personal Information......
maira naam GHAZAL hi hay khushboo nik hay ... 16 August mery Birthday hoty hay.
aur may samandar kinaray abaad shehar KARACHI ki hoon..
mery taleem (mainay kuch zada hi perha hay kya bataon)
aray mainay FA kiya hay bas
aur main MASHALLAH aik housewife hoon wonderfull hubby aur
aik buhut hi piyara sa baita
school college life buhut achi theen wasay school life zada achi lagi
buhut acha staff aur friends iski khas wajha rahay..
close friends say abhi bhi intouch hoon..
wasay meri dosti bachon say buhut jaldy hojaty hay
bachon may buhut khush bhi rehty hoon ( shayad issy liye bachpana buhut hay tabiat main
khanay peenay may buhut sada hoon sab kuch shoq say kha laity hoon koi khas dish aisy nahi
jis ka naam loon... (wasay khaty bhi buhut hoon )
meri aik adat Diary likhnay ki bhi thee jo bhi achi ghazal nazm ya koi achi baat perhty
diary may likh laity ... Books reading ..music may ghazlain jagjit singh aur junaid jamshed ( ab uski hamd o naat zaroor
sunty hoon )
mery bury adaton main aik (wasay tuo buhut hain)
kum bolna bhi hay.. jiski wajha say aksar peraisan bhi rehty hoon
( wasay aj tuo ap buhut boleen
ab main apko bataon main graphic designing ki tarf kasay ayee..
pata hay mujhay her kaam seekhnay ka shoq hay
mujhay bulb lagana aur tube light lagany bhi aaty hay plug bhi change ker laity hoon..
aam taur par khawateen ko ye kaam atay nahi haina iss liye bataya ..
thory bhut dress designing bhi ki hay
aur janab main MOVIE MAKING bhi janty hoon may apni family main
achi khasi expert samjhi jaty hoon iss kaam main...
maiany shadi biyah , salgirah , picnic parties par jo movie banaty hoon
ussay khud hi edit aur audio dubbing bhi kerty hoon...
aur sabko mery banai huee movie buhut pasand aty hain..
mainay jo Pakistan kay northern areas ki movie banai hay wo buhut zabardast hay
wo iss liye kay hamara piyara Pakistan hay hi khoobsorat jannat nazeer .
ALLAH TAALA Pakistan ko sada shad o abaad aur azaad rekhay ..Aameen
jab mainay NET par designed poetry daikhi tuo socha khud kyun na try keron
phir mainay inpage aur Adobe seekhi wo bhi Tutorial perh ker..
Adobe may abhi buhut kuch baqy hay seekhnay ko
phir khob practise ki aur ab jo kuch kerty hoon ap sab k saamnay hay.
* Job Responcibilities In HC......
main HulChul main islamic img gallery . SOS aur aaeena-e-sukhan ki moderator hoon
koshish kerty hoon kay apni zimadarian ahsan tariqay say anjam doon..
* And Your Major Success In HC.........
HULCHUL waqy may aik family forum hay hulchul ki kya tareef keron
hulchul may hulchul hay zindagi hay ye buhut barri baat hay jab hum
family kahain aur samjhain bhi... yehan hum sab aik family ki tarah say
hain mil jul ker kaam kertay hain
aik TEAM WORK hay
aur poury moderating Team hi qabil-e-tareef hay MASHALLAH
SABSAY ACHI BAAT JO HC FAMILY may daikhy wo juniors ka apnay seniors
ki respect kerna aur senior ka junior members kay sath shafaqat say paish ana
buhut barri baat hay ye MASHALLAH
Allah swt say DUA hay kay HC ko mazeed taraqi ata kerain Aameen
mery major success tuo ap sab batingay na
mery tuo koshish hoty hay apnay kam ko achay say acha paish keron
aur iss main ap sabki duaain aur hosla afzai shamil hain.
mujhay duaain chahiye sabki bas ..
Akhir may aik baat kohongy kay
humay her haal main ALLAH SWT
kehtay hain Raza derjay may sabar say Aala hay Raza kay maani hain
khush rehna Razi rehna ALLAH SWT
tuo khud bhi khush rehiye dusron ko bhi khush rekhiye
aur mujhay duaaon may yad rekhiye ..aur mery kisi baat say kisi ki
Dil Azaari huee ho tuo may maazrat chahty hoon.
khush rahiye..... Aameen
ALLAH HAFIZ
Ap sabki Ghazal sis : rose:



